Question: A. O. A mera Masla yh his k me jb b wazu kro toot jata ha Reh ki waja sy bar bar me Kya kro plzz
Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #306-311). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa.sir mujy kabi kabi namaz men bar bar hawa harij hoti mehsoos hoti hy to mai dubara wazu kar k jab namaz parhta hon to namaz phir mukamal ni ho pati mai kitni baar wazu karon agr aesa ho to...
Answer: Agar kisi shaks ko riyah(gas) baar baar youn aati ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu agar har dafa wuzu kerna os k liay dushwaar nah ho tu ehtiyaat is main hay k pani ka bartan apne qareeb rakhe or jab bhi riyaah kharij ho fauran wuzu kare or baqi maanda namaz perhe agarcheh azhar ye hay(yani fatwa ye hay) k agar wo aik namaz aik wuzu se perh le tu bhi kafi hay. (Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #314). Update on dated 22-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualeikum mera wazu har rakat mai tut zata hai to mujhe baar baar wazu karna chaiye ke nahi? tarabhi mai baar baar aur her namaz mai baar baar wazu tut jata hai to mai kya karu?
Answer: Agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #308-314). Update on dated 30-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: bar bar vazu tute or namaz mukammal na ho pae to kya karen
Answer: Agar kise shaks ko ye aarza lahaq ho kay riha(gas) roknay per qadir na ho to zarore hai k un logo kay mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhnay per qadir na ho. agar kisi ko peshab ya phakhana bar bar you ata ho kay isay wazo karkay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhall na ho to us ka 1 wazo chand namazo ke liye bhi kafi hai albatta behar ye hai ke har namaz ke liye 1 baar wazo karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #308-314). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-aleykum. Mera sawal ye hey k kya bathroom mein wazo karna jaiz hey. yani Baitul Khala or Nahaney ki jagah 1 ho wahan wazo karna jaiz hey.?
Answer: Jiaz hay. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mujy ye pata karna hai ki wazu may moo aur bazo'on may pani dhalnay ky baad kitni baar haat pherna lazmi hai?
Answer: Wuzu main hath phairna wajib nahi hay , wajib faqat ye hay k chehra or dodno hath mukammal dhul jain or koe wajib miqdaar khusk nah reh jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #236,245). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Q about name tattoo? is that allowed in islam?
Answer: It is permissible to have a tattoo if: a. The tattoo allows the water of wudhu and ghusl to reach the skin while performing wudhu or ghusl. b. Having a tattoo does not involve forbidden touch or look. c. The tattoo does not encourage corruption or corrupted ideas or beliefs. d. The tattoo does not have the names of Allah his almighty or Quran script. e. for woman, if that is considered as a beauty item then it must be concealed from non-mehram man (Ref: E-mail rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012). Update on dated 11-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir mujhay qatro ka masla hay... Bar bar atay aur kapray ganday ho jaty hay bar bar kapron ko paak krna bohat mushkil hay q kay zida tar mein office may hota hu aur namaz reh jati hay may kiya karon?
Answer: 1-Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329). 2-Is ratobat ko mazi kehte hain or ye paak hay or is se wuzu bhi nahi tut,ta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,71). 3-Bock Pharma #69 paishab k qatro ki wajah se kaprhay napaak hona or qatre qatre paishab aana. (Address: ST-I, v,c, Shop#11 Jinah Post Graduate Collage, Opp. Board Of Secondary Education, Nazimabad#5, Karachi. Phone: 021-36617486.).Update on dated 18-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: DOING WAZU IN SOCKS IS APPLICABLE OR NOT?
Answer: Wiping(masah) on socks is invalid. So wuzu is not applicable. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #258). Update on dated 02-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir jab bhi mai istanja karta hoon to istanja karne ke baad penis ko jatka dene par peshab ki boond nikal jati hai.peshab na nikal ne ka koi upay .ischeej ki waje se muje lagta hai ki me napak hoon aur me namaz jod deta hoon.
Answer: Wazifa: Sorah zumar(sorah#39) ki ayat # 67 qatray qatray peshab aanay k liay likh ker mareez ki kamar main bandh dain or zaafran se likh ker pee lain tu aap ko ifaqa hoga.(Ref: nawaay saliheen,Mafhoom e pg#329).Update on dated 22-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).