Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9489
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya ager chehre or hathon per cream lagi to wuzu ker sukte hein, ya soap se dhona zaroori he.

Answer: Agar wo pani kay puhachy men ruqawt nahi hay to wuzu sahi hay.(Ref: Urwat ul wusqa,Part#1,pg#170). Update on dated 20-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khula badan wazu bana skte h

Answer: Jaiz hay or is tarah wuzu kerna durust hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297). Update on dated 14-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9589
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me path wig pehent hunyani 50% pr wig hai masa kaise kroun.. K wazu hojye

Answer: Agar aap k sar k saamne wale hissey mai wig nahi hai tou zaroori hai k sir k saamne waley hisse mai masah kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #248-49 ). Update on dated 11-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). or agar saamne wale hisse mai wig lagi hai or us wig ko hataya ja sakta hai tou zaroori hai k usey hata dia jaey.(Ref:Jadeed fiqhi masail fuqaha wa mujtahideen ki nazar mai,jild 2, baqoul ayatollah seestani,pg no 95)or agar wig aisi hai jisey utara nahi ja sakta ya us ka utarna shadeed takleef ka sabab hoga tou us shaks ka fareeza tayamum hai, lekin agar wo wig tayamum ki jagah par ho yane (peshani k kuch hissey par bhi ho)tou zaroori hai k wuzu or tayammum dono karey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #337). Update on dated 09-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9608
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai "SIR MEIN TEIL (OIL) LAGA KR NAMAZ HOJATI HAI?

Answer: Tail laga ker namaz tu perh sakte hain laikin wuzu k waqt sar main tail laga ho tu agar tail is miqdar main ho k masah k liay rukawat ho tu phir tail ko hatana zarori hoga.(Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part#4, pg#26) Update on dated 12-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9666
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Voting ka nisan ungil par ho to namaz ka kya hukam he ?

Answer: Agar yeh nishan paani key pohonchney mein rukawat banta ho to wuzu sahi nahi hoga. Agar shak hai keh paani pohnchay ga ya nahi tu zaroori hai keh is ko ko hata liya jaey, or agar hata mumkin nah ho tu wuzu or tayammum kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #337). Update on dated 31-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w).

Id: 9683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wuzu mey massa karney ki koi shart ha kiya ?eg paon utha kar massa kia ja sakta ha...massa kitni unglio sey kiya jae ...???

Answer: Wuzu mai sar (head) ka or paon (foot) ka massa karna wajib hai,sar or paon ka massa kartey waqt sar or paon ka saakin hona zarori hai, or zarori hai k sar ka massa sar k saamney waaley hissay par kia jaey is hissay mai jahan bhi or jis andaz sai massa karey kaafi hai albatta ehtiyaat e mustahab hai k lambae mai aik ungli ki lambae or chaurhae mai teen(3) mili hoe ungliyo k lag bhag massa kia jaey.or paon ka massa paon ki kisi aik ungli sai le kar paon k jorh tak massa karna zarori hai or ehtiyaat e wajib ki bina par paon k ubhaar tak massa karna kaafi nahi hai or ehtiyaat e mustahab hai k seedhe haath sai seedhe pair ka massa or ultey haath sai ulte pair ka massa kia jaey or paon par massa chaurhae main jitna bhi ho kaafi hai lekin behtar hai k teen mili hoi ungliyon sai massa kia jaye or behtar hai k poori hatheli sai massa kia jaye.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 248,249,251,252). Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9724
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sallam sir my question is kya sar pe surgery kar ke baal ugana haram ha ??

Answer: Jee baal ugana jaiz hai lekin wo baal natural hoon yaani surgery k baad qudrati tor par baal aana shuru hojain tu koi maslah nahi hai lekin agar is tarah k baal hoon k un ki size aik hi rehti hai,wo barhte nahi hoon yani wo masnooi baal hoon to aise baal bhi lagana jaiz hain lekin wuzu k doraan jo masa kia jaye ga wo khaal(jild,skin)par masa karna zaroori hoga. (Ref:Jadeed fiqhi masail fuqaha wa mujtahideen ki nazar mai,jild 2, baqoul ayatollah seestani,pg no 95). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9834
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SW ghusl e haiz k dauran aank me kajal laga ho aur ghusl ho jane k baad namaz parh le aur baad me pata chale k aankh me kajal nahi chuta hai.To kya ghusl sahi hua?Agar nahi to kya kare?

Answer: Agar kajal us jagah lagaya gaya hai jo badan ka baatin shumaar hota hai tu ghusl sahi hoga dobara karnay ki zarorat nahi hai lekin agar kajal ankh k bahar lagaya hoa tha or wo hissa dhulne sai reh gaya hai tu ahtiyaat e waajib ki bina par utni miqdaar dhone k baad poorey badan ko dobaara dhoey.agar rukawat badan k zahir per lagi thi tu phir namaz ko dodbara perhna zarori hoga.(Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 364). Update on dated 09-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9950
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ریاح کے مسائل

Answer: Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 308,314) Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: 1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain. 2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay. 3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.

Id: 9966
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Ya Ali Madad , Wazu karne ke lye niyat kab karni chahye or kis tarha karni chahye

Answer: Wuzu ki Niyat zaban se kerna ya dil main kerna zarori nahi hay, balkeh agar wuzu k tamaam afaal Allah k hukum per amal kerne k liay baja laey tu kaafi hay. Wuzu ki niyat wuzu kerne se fauran pehlay kerni chahiay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #280). Update on dated 29-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!