Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mn chahti hn k hr waqat wazo mn rahon magar bar bar wazo tot jata he aj kal sardian hn kea mn jorabon p masah kr sakti hn

Answer: Mozay or jootay par masah karna sahi nahi hai, haan aisi sardi ho k mozay utarna mumkin nah ho to phir ehtiyaat e wajib hai k mozay par masah karay or saath main tayammum bhi karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 258). [Updated on 05-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam agar nahany ky bad wuzoo kren or phir kapry pehny tw wuzu qaim rahta hai?

Answer: Ji han wuzu to qaim rahy ga lekin wuzu men sar or paoun ka masah kartay waqt sar or paoun khushk hon, lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho kay wo hatheli ki tari say khatam hojay to phir koi haraj nahi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 255 ) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam Zamin ya Angoothi Haqeeq pehne k liye Wazu mai hona lazmi hai ya nahi?

Answer: Nahi wuzu men hona zarori nahi hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 315) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10161
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-o-alikum. Mera sawal hai k kya sirf hwa kharij honay pr istanja dubara krna prta hai ya nhi?

Answer: Istinja dubara nahi karna balkay wuzu karna hoga. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #61/322 ) [Updated on 15-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10212
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o alaikum sir... sir Mara swal ye h k ager hawa sir jay mtlb paad ajy tu astanja krna lazmi h ya nhi plz reply fast sir.

Answer: Was Salam. Jee nahi reeh k khaarij honey par istintijaa zaroori nahi albatta is say wuzu baatil ho jata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 322) [Updated on 07-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10235
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamwalikum mere sawal hai ki Allah ka zikr Kar ne ke liye Wazu kar na zaruri hai??

Answer: wsalam. Namaz k liay wuzu shart hai isi tarah quran k alfaaz ko mas karne k liay wuzu laazmi hai lekin is k alawa faqat quran parhne ya zikr e khuda k liay wuzu shart nahi hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315,316). [Updated on 04-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10245
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar serf ges haraj ho jaye to serf wazo karne chaheya ya sharam gah be done chaheya

Answer: sharamgaah dhone ki zaroorat nahi q k reeh k kharij hone sai insaan najis nahi hota or reeh bazat e khud reeh nijaasat mai sai nahi hai lehaaza ye kisi ko najis bhi nahi karay gi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 80,322). [Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10521
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alykum. Agr hairs may ya body par kaheen oil ya koi b chiknahat lagi ho or is ko proper soup se remove koy bina gusal-e-janabat kiya jay to kia sirf pani k bahany se gusal ho jay ga?

Answer: Sirif chiknahat say koe faraq nahi parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay kay paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana zarori hoga. (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat part 04, pg#26). [Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10558
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar hathon me mehandi lgi ho to kea ghusle haiz ho sakta ha?

Answer: Agar mehandi ki wajah se wuzu, ghusl k aaza tak paani pouchne me koe rukawat nah ho to wuzu sahi hai. (Ref: ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41st edition before maslah#289). [Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya uzw e tanasal ko bina kapray k hath laganay se wuzu toot jata hay????

Answer: Jee nahi, ye mubtilaat e wuzu mai sai nahi hai lehaaza is sai wuzu baatil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#322) [Updated on 24-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!