Question: Kya aurat nangay sar wodhu kr skti hai?
Answer: Agar koe na-mehram nahi dehkh raha hai to aurat nangay sar wuzu kar sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 264-289) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: a a wazoo kay farz aur mujtahid kitnay hjain
Answer: Wuzo main 5 cheezain wajib hain. 1)Niyat 2)chehray ka dhona 3)Dono hathoo ka dhona 4)Sar ka masah 5)Dono pair k samnay walay hissay ka masah karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam.. kya nakun k andar ko mail h wo mail jo nails k andar h jo umoman leg k thumb k side p hota jise saf kar mushkil h to wajib gusal kaise kare
Answer: wssalam o alykum, ager mail ki jaga jism ka androni hissa shumar ho to gusal ke sahi hone ke liye mail ka hatana zarori nahi hai, or agr jism ka zahiri hissa shumaar ho or pani ponhanchne main rukawat ho to is ka hatana zarori hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 373 , 374 , 375 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Salam,kia baitul khala main wazzu karma haraam hai?makroo or haraam main kia farq hai? Kiya dono aik hai?
Answer: Bait ul khala main wuzu karna jaiz hai haan agar wuzu ka pani barah e raast flesh main giray tu makhrooh hay. (Ref :Email rcvd, Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul) (ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae). Haraam her us amal ko kehte hain jis ka tark karna shariat ki nigaah main zarori ho, jab ke makrooh her wo amal hai jis ka anjaam dena haraam na ho mager is ka tark karna behter hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # fiqha istilahaat , pg # 475 , 479 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Assalam mara saval ye hai k kya hum wozoo kernay k bad agar socks pahenlay or phir hum washroom jaye per hum na socks nhi Uttara to Kay hum wapas wozoo kerta waqt socks per se massa ker sakte hai??? Plz answer
Answer: Moze or jutay per masah karna batil (Ghalat) hai.(wazu nahi hosakta).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalam o alaikum mera sawal hai kia jild per likne se namaz ho sakta hai ?
Answer: Agr kisi shakhs ki maloom ho k us k wazu k uzwon pr koi chiz lagi hui hai lekin is bare men use shak ho k aya wo chiz pani k un uzwon tk pohnchhne men rukawat hai ya nahi to zaruri hai k ya to us chiz ko hatade ya pani us chiz k neche tak pohnchaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah #289).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye
Question: Assalam alekum mera sawal h agr peshab krne k bad uth te beth te peshab ka qtra niklta h to kya gusal wajib ho jata h agr nhi to kya ham nmaz parh skte h Plz jwab jldi dena ?
Answer: Wssalam o alykum, do chezain insan per ghusl ko wajib kar deti hain, 1
Question: Kya hair ko colour karne se namaz hoti hai jo aaj kal women apne balon par apply karti hai jaise garneir.loreal etc
Answer: Ager colour masah k sahi hone main rokawat bane(yani masah ki tari baloo ki jarh tak na pochne de) to namaz sahi nahi ho gi, or ager rukawat na bane or namaaz k sahi hone ki baqi tamaam sharaait hon to namaz sahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 298 , 250 , after 928 , 1113 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Kya aurat balon mwin color lagane se namaz ho jaengi
Answer: Ager color masah k sahi hone main rukawat bane(yani masah ki tari baloo ki jarh tak na pochne de) to namaaz sahi nahi ho gi, or ager rukawat na bane or namaaz k sahi hone ki baqi tamaam sharaait hon to namaaz sahi hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 298 , 250 , after 928 , 1113 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: namaz to naapaki me padh nahi sakte .kya rat me dua padh skte hai,,,,,,,,,,,,
Answer: Gee han bilkul parh sakte hen faqt un ammal ko anjam dena mana hai jin k liye wazu ya ghusl krna parta hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah #448 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).