Question: Wazou be wazou kia parainh . Kia ham bager wazou ke drood Sharif par sakte hain?
Answer: Baghair wuzu durood parha ja sakta hay.(Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #315). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Bawzu quran padh skte hain ki nhi
Answer: Jee haan, bu-wuzu ho kar quran perh sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #321) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: SALAM MAIRY OFFICE MAI ATTACHED BATH NAI HAI OR FUZU K JAGA B MANSIB NAI BEPARDGI KA IMKAN REHTA HAI AKSR SLEEVES B UPPER NAI HOTIN KYA MAI FUZO TOILAT MAI KRSKTI HOON YA AGR SLEEVES K UPER C BAZOO P PANI POHCHANA MUMKIN HO TU ISTRH FUZU KYA JASKTA HAI?
Answer: Bathroom mai wazoo kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-343)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: SLAM. mera quetion yeh ky kia asay locket wagra jin pe PANTAN PAAK ya PANJA wagra bana hua ho aur jin pe QURAN pak ki ayat wagra likhi ho wo banda penh kar toilet men ja skta hy ?
Answer: Agar locket par Allah ka nam likha hua ho to ba-wazoo ho kar hi pehna ja sakta hai. aur behtr ye hai k Rasool e Akram s.a.w.w. aur aima a.s. aur hazrat Fatima s.a. k asma e Mubarak walay locket ko bhi bagair wazoo na pehnain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315-321)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia bal katnee ke bad wazo karan chaiee
Answer: Jee nahi baal katnay k baad koi khas wazoo wajib ya mustahab nahi hai albetta namaz aur is jaisi doosri ibadaat k lie wazoo krna paray ga agar pehlay sai wazoo na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 315-322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salm mairi ammi k pairo mai zakahm hain jin k vja c musa krty wqt unk pairo mai harkat hojati h tu is situation mai unhy kya krna chy/ regards s.sadafkazmi
Answer: Agar masah kertay waqt pair mamoli harkat karta ho tu masah theek hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah#254). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Wazu mein hath aik dafa dho saktey hy kya...
Answer: Wazoo mai chehray aur hathoo ka aik dafa dhona wajib, doosri dafa dhona mustahab aur teesri dafa ya is sai ziada bar dhona haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 247)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KIYA WUZU K DORAN BAT KARNA MANA HAI? AGAR MANA HAI TO KISI HADEES YA QOOL KA REFERENCE DE DEN.JAZAK AALAH
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Wazoo k doran batain karnay mai koi haraj nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 264-297)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Theek wazu na aata hoo aur baad mein insaan seekh le tu kya pichali namaze ho jaye gee
Answer: 1)Agar namaz guzar jahil e qasir ho or doraan e wuzu aisa khalal perh jay jis jahil e qasir ka wuzu batil nahi hota . misaal k taur per wuzu main (wuzu k paani k alawa) nay paani se masah ker lay tu aisay namaz guzaar ka wuzu durust samjha jay ga or os ki namaz sahi qaraar paae gi. 2) or agar wo shaks ehkaam ko seekhnay main jahil e muqassir raha ho 3)ya os k wuzu or main aisa khalal perh jaay jis se har halat main (chahay jahil e qasir ho ya muqassir)wuzu mutaassir ho sakta hay. misaal k taur per wuzu k doran jin aaza ko dhona wajib tha, onhain nah dhoay tu aisay shaks namaz guzaar ka wuzu durust nahi samjha jay ga or os ki namaz bhi batil qaraar paae gi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah # 74) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam, Jo ink vote cast karne per hath key anghotay per lagai jati hay and jis ink se thumb impression lagaya jata hai, kya us per wuzuu hojata hai ya tayammum bhi karay.
Answer: Agar wo ink pani k khal tak pouchnay mai rukawat na ho to wazoo sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 6,pg # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).