Question: kya aiytalkursi ba wazu padna zaroori hai
Answer: Ager is ke alfaaz ko haath na laagaain to bger wazu k parh sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 315 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: kya hum wuzoo k begair ya napaki ki halt ma tsbi pr kalma sharif ya kch b prh skty han?
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #315) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir i have A Question that kya hum wazu k bina Quran pak jo k hamen yad ho hum parh skte hen ya nhn,,,
Answer: G Han parh sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 315 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: 1) Mera sawal ha k kiya MURD or AORAt key wazu karny ka tariqa ek hai?? matlab kiya aurat Massah usi tareeky se karti h jistrha mard karta hai? 2) kiya bina duppaty k aurat ka wazu hojata h??matlab ager duppata sar per ya galey mein naa ho...
Answer: Aorat aur mard ka wuzu same hai , Wazoo mai 5 cheezain wajib hain. 1)Niyat 2)chehray ka dhona 3)Donoo hathoo ka dhona 4)Sar ka masah 5)Donoo pair k samnay walay hissay ka masa karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259) Agar aurat ko koe na-mehram mard na dhakh raha ho to aurat beghair duppate k wuu kar sakte hai, albatta agr wazu krte wqt koi na-mehram mojud ho to sharaee parde ka khyal rakhna hoga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #264-288, 2399 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: me jab jumme ki namaz parhta hn to wazoo krte waqt aisa waswasa ata hai k wazoo tut gaya hai phr dubara wazoo krta hn plz is ka hal batain
Answer: Jab tak wazo ke tootne ka yaqeen na ho tab tak ap halat wazo main hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 299 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kia samandar k pani se wazoo ho sakta hy??
Answer: Samander ka pani mutlaq hota hay is liay is se wuzu kerna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #415 se pehle ki ibarat ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam bismillhahir rahman ar rahim............is it neccessory to perform masah after woozu at the same momemt or at the same palace..or can be perform after2-5 foot step
Answer: wuzu k dourain chalna phirna jaiz hai maslan agar koi chera aur haath dhone k baad chand qadam chale aur phir sar aur pair ka masah kare to us ka wuzu sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 284,282) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kya mehandi lgane se wazu hojati hai
Answer: Agar mehandi se wuzu k aaza tak paani pouchne me koe rukawat na ho to wuzu sahi hai aur namaaz perh sakte hain laikin agar rukaawat ho to wuzu k lie rukawat ko door karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah # 289) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mere zkr sy qatry nikLTy rehte hen kbi garhy kbi hlky kia in halat m mri namaz hogi,gusal wajib h ya nhe'aur in sy kese chutkara paya jaskta hai plz detail sy btaen apki mehrbani hogi
Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #306-311). Update on dated 27-04-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Wazifa : Surah e zumar surah #39 ki ayat 67 likh kr apni qamar par bandh lain aur zafraan sy likh kr pi lain tou qatra qatra pishaab ki bemari khtam hojaegi.(ref:book nawaey saleheen, Mafhoom e pg#329). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: peshaab se farigh ho jane ke ... ke bad bhi mujhe peshab ke khatre ate hi hai kya mai namaaz padh sakte hai ya nahi jamaton ke sath?
Answer: Ager imam e jamat ke dair tak namaz pharane ki waja se, ap paak halat main namaz nahi phar sakte to jamat ke sath namaz nahi pharain, balke ese waqt main namaz pharain jis main ap paak halat main namaz phar sakte hon, or ager ap namaz ke mustahabbat (azan o aqamat o takber ul ehraam ke ilawa takberain ect) ki waja se pori namaz paak halat main nahi phar sakte to namaz ke mustahabbat ko chorh dain or sirf wajibaat ko parhain, or ager namaz k faqat wajibaat pharne ki sorat main bhi namaz k doran 1 ya chand baar peshab k qatre nikal jate hoon to ager namaz k doran wuzo karna asaan ho to aik bartan main pani rakh kar wuzo karain, or ager her baar wuzo karna mumkin na ho to phir pishab k qatro ki parwa na karain or namaz ko pora karain. (Ref : Ayat ul Allah Koei(r.a),Tauzeehul masail , Mafhoom e maslah # 313 to 316). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).