Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10727
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wuzu kin kamo ke liye zaruri hai?

Answer: 6 cheezo k liay wuzu zarori hay: 1)namaz e mayyit k alawa wajib namazo k liay. Mustahab namazo k liay wuzu sahrt e sehat hay. 2) bhole hoay sajde or tashahud ko anjam daine k liay jabkeh on k or namaz k darmiyan koe hadas is se sarzad hoa ho hoa ho maslan os ne peshab kia ho magar sajdah e sahv k liay wuzu karna wajib nahi. 3)Khana e kaaba k wajib tawaf k liay jo hajj or umra ka juz hota hay. 4) wuzu karne ki nazar ki ho ya ehed kia ho ya qasam khae ho. 5) jab kisi ne manat maani ho keh maslan quran majeed ka bosa lay ga. 6) Najis shuda Quran majeed ko dhoone k liay ya baitul khalaa waghaira se nikaalne k liay jabkeh mutaalliqa shaks majbor ho keh is maqsad k liay apna hath ya badan ka koe or hissa Quran majeed k alfaz se mask are laikin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #315). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10986
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: In winter is it comulsery to wash feet in each wazu or can we do away with washing feet?

Answer: According to Fiqh e Jaffaria , You do not have to wash feet while performing wazu, but you have to do massah of feet. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Masla no # 235 ). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kapry py napaki lagi ho tu tajmam ho jata hy

Answer: Wazu ,tayamum aur karne ke liay kapron ka paak hona shart nahi hai.(275-278). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11084
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Kya mard ka penis napak hota h ? Matlb usy hath lagany sy hath napak hojata h ya srf us mae sy niklny wala liquid napak hota h ?

Answer: Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام و علیکم وضو میں منہ کا ایک بار دھونا واجب دوسری بار دھونا مستحب اور تیسری بار دھونا حرام ھے؟ کیا یہ بات درست ھے؟ آغا محمد رضا کراچی پاکستان

Answer: wazu men chehre aur hathon ka ek dafaa dhona wajib, dosri dafa dhona mustahab, aur teesri dafa ya usse ziada baar dhona haram hai. aik dafa dhona us waqt mukammal hoga jab wazu ki niyyat se itna pani chehre ya hath par dale keh woh pani poray chehray ya hath par puhanch jaye aur ahtiyat ke liay koi gunjaish baqi na rahe lihaza agar pehli dafa dhone ki niyyat se das baar bhi chehre par pani dale take pani tamam maqamat tak puhanch jaye to usme koi haraj nahi hai aur jab tak wazu karne ya chehray dhone ki niyyat na kare pehli baar dhona shumar nahi hoga , lihaza agar chahe to chand baar chehre ko dho le aur akhri baar chehre dhote waqt wazu ki niyyat kar le lekin dosri dafa dhone mein niyyat ka moutabar hona ishkal se khali nahi hai aur ahtiyat e lazim yeh hai keh aik martaba chehre ya hathon ko dho lene ke baad dosri baar dhone ke liay aik baar se ziada na dhoye agar cheh wazu ki niyyat se na bhi ho. (ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, tauzeeh ul masail, edition 41, masla no 247 ). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11165
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namz k Duran nak mao khun aje tu wazu tOt jata h starting se namz phrna h phir?

Answer: jee nahi is se wazu nahi toot ta hai aur namaz sahi hogi.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 322 Mafhoom e masla). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11179
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya m namaz beemari ki halat m prh skta hn? mjy peshab ka msla h uski wjha sy nlki lgi hwi h?

Answer: Agar paishaab k qatre aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day. laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).jis ko ya bimari ho to namaz kay doran lazim nahi hay ky pishab hony ki waja say dobara wazu karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#307) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaamun Alaikum, Meherbani farma ker ye bata dain ke kia mozay/juraabain pehen ker wuzu ho sakhta hai, kia mozon ke saath pairoon ka masa ho sakhta hai? Wussalaam.

Answer: Mozay or jootay par masah karna sahi nahi hai, haan aisi sardi ho k mozay utarna mumkin nah ho to phir ehtiyaat e wajib hai k mozay par masah karay or saath main tayammum bhi karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 258). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11376
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe sardi se allergy hai .Or kai dafa me namaz nahi padh pata hu iski vajah se to kya me bina vuzoo ke bhi namaj padh sakta hu kya bistar me baith kar hadis ki roshni me mujhe please samjhaye.

Answer: agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659) [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11385
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hair par agar colour material mujod hu to kia esky sarh nimaz ada hu sakte hai

Answer: jee han , kyun ke yeh namazi ki sharait me se nahi hai. (Laikin ye color wuzu ya gusal me pani pouchne me rukawat na ho .(Mafhoom e Masla) (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 787). [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!