Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr wazo krny ky bad moo pr jo dany hoty hn un sy thora sa khoon nikal aye to wazo toot jye ga

Answer: jee nahi apka wazu sahi hai , kyun ke yeh mubtilat e wazu me se nahi hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah No 322 ). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nafl parhne k liye wazu krna zarori hai???

Answer: Mustahab namaaz k liye wuzu shart e sehat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11463
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa sir nikah ki rat nafal parhne k liye wazu krna zarori hai???

Answer: Mustahab namaaz k liye wuzu shart e sehat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11533
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslm u alykm main ny pochna tha k agar hum wazu kerny k bad nailpolish laga lyn...usk bad dusri namzon k wazu k liye nailpolish utar k wazu krna hga yan aisy wazu hojay ga nailpolish m?

Answer: Agar aap ka wuzu baqi hai dusri namaz k liay to wuzu ki zaroorat nahi hai, warna phir aap ko wuzu karna parhega aur us k liay Q keh nail polish rukawat banti hai is liay nail polish ko hatana hoga , Q keh yeh wuzu ki sharait me se hai ke wuzu k aaza tak pani puhanchne me koi rukawat na ho.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no # 289). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11626
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa myra sawaal ya ha k hum jahan basin per wazu karty hain agar chooty bachy ko wahan peshab ya pampers k liy wash kiya jay tu wahan wazu hu jy ga?

Answer: 1) Wuzu ho jaey ga, wuzu k liay basin ka paak hona zaruri nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #264-297,322). 2) Jo cheez aisay sheerkhaar lerkay ya lerki k paishab se najis ho jay jis ne dhoodh k alawa koe ghiza khana shuru nahi ki ho, agar os per aik dafa pani, agarchah kam ho, is terah dala jay k tamaam najis maqamaat per pohanch jay tu wo paak ho jay gi laikin ehtiyaat e mustahab ye hay k mazeed 1 baar os per paani dala jay. Libaas, qaleen or dari waghaira ko nichoorhna bhi zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 155,162) [Updated on 20-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11646
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mery sath kuch aesi kefiyat he k main peshab kr k ajat hon phir jab koi zor wala kam krta hon to kuch qatry phir se kharij ho jaty hen to aesy me namaz ki pabandi kesy mumkin he?

Answer: Agar paishaab k qatre aanay ki bimaari ho tu agar osay ye yaqeen ho k namaz k awwal waqt say lay ker aakiri waqt tak osay itna waqfa(time) mil jaay ga keh wuzu ker k namaz perh sakay tu zarori hay k is waqfay k doraan namaz perh lay or agar ossay sirif itni muhlat milay jo namaz k waajibaat ada kernay k liay kaafi ho tu is doraan sirif namaz k waajibaat injaam day or zarori hay k mustahab kaam maslan azaan,iqamat or qunoot ko chorh day.laikin zarori hay k namaz say pehlay apnay kaprhay, badan ko paak ker lay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#306).jis ko ya bimari ho to namaz kay doran lazim nahi hay ky pishab hony ki waja say dobara wazu karay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#307). [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: doran e namaz ya wazoo krne ke bad zra brabar bhi gass kharij ho jae ya andesha ho ke gass kharij hone wala hai to kya wazoo toot jaega?

Answer: 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1)peshab 2) pakhana 3)riyaah(gas)(yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5)aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6)aurat ka istehaza 7)janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322). [Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11694
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam dear may jab peshab karta ho pir khob kosish kar ky k koi qatra na rih jy pir wozoo kar ky pir jab nimaz k liy kara hota hon to sijdy my ya rokogh my pir ik qatra nikal jata hay to kiya karo mara nimaz ho jata hay ki nahi sir mera rehnomai kary

Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghairte rehte ho to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11747
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa.... Kya kitchen m wazoo kiya jaa sakta hai..... ?

Answer: Jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#854-879). [Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11753
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy? Reply me quick sir G

Answer: Agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!