Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11754
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy? Reply me quick mujtahid sir G

Answer: agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11755
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy? Reply me quick sir G

Answer: agar pani ka istemal kisi shaks ke liye jaan lewa ho ya us ke badan mein kisi aib ya marz ke paida hone ya maujoodah marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaj mualijah mein dushwari paida hone ka sabab ho to us ke liay zaroori hai keh tayammum kare. lekin agar pani ke zarar ko kisi tariqay se door kiya ja sakta ho masaln yeh keh pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke wazu ya gusl kare. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 659) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11770
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Question: Agar admi k jisam k Koch hesy k leye pane acha na ho yene pane jazab karty ho.yene hat tota ho our plastar ho our is sorat adme apne beve sa humbestare Kary to ghosal kasy Kary? Reply me quick sirG.

Answer: Agar haddi toti ho zakham nah ho tu ghusl kia jaey or jabira k oper geela hath phiara jaey. Jabira per plastic bhi bandhi ja sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #391). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11821
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ky bina wazu k yaseen pad sakte hain jo dusre kitaab me english me likhi gayi ho?

Answer: 1) Jo shakhs ba-wazoo na ho Us k lie Quran majeed k alfaz ko mas karna haram hai. laikin agar Quarn majeed ka farsi zaban ya kisi aur zaban me tarjuma kiya gaya ho us ko mas kar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 316) 2) Baz faqha kehtay hein k Quran parhnay k lie wazu karna mustahib he. Lakin ye wazu mustahib hona sabit nahi he. Albetta agar koi shakhs mustahib honay k ethimal honay k sath wazu karay to os ka wazu sahi he. Aur is wazu k sath har wok am kar sakhta he job a wazu ho kar karna zurari he maslan is wazu k sath namaz parh sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321). (Note: Jee han Aap parh sakti hain.) [Updated on 27-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11838
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hy ke kya Paon ka masah krnay ke baad paon dho skatay hain?

Answer: Jaiz hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#275). [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11940
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, aksar wuzu ki halat mein, mein social media use kr raha hota hn, to us pa aksar kuch nazaiba pictures a jati hain, ya ad's a jaty hain kuch na munsib, kya un pa nazar parhnay sy wuzu toot jata ha?

Answer: Jee nahin is se wuzu batil nahin hota, 7 chezain wuzu ko batil karti hain. agar in 7 main sa koe bhi cheez ho jaay tu wuzu batil ho jata ha. 1) peshab 2) pakhana 3) riyaah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maq,ad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil hojata hay 4) Wo neend jis ki wajah se aakhain nah daikh sakain or nah kaan sun sakain tu aisi neend se wuzu batil hojata hay. Laikin agar aankhain nah daikh rahi hoon magar kaan sun rahay hoon tu wuzu batil nahi hota. 5) aisi halat jis se aqal zaa,il ho jaay 6) aurat ka istehaza 7) janabat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 322) [Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11992
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusal khana mein wazoo karna chahiye kya nahi chahiye

Answer: Jee han Gusl khane mai wazoo kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-343) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12020
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal yea hai ke husband apni wife ki sharam ghah ko chat sakta hai agar chat sakta hai to kise book se sabit hai

Answer: W/Salam, Mard ki mani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 84) 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh (mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. q k khud sharamgah najis nahi hai balkeh us sai niklnay wali ratubat najis hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA, Ajkl jo bathroom me besan lgay hotay han jin me wuzu b kr lete han waha chotay bchay ki poti dhotay han aksar khawateen. To kya esay besan me wuzu jaiz ha jis me poti b dhoi jati ho bchay ki.

Answer: Jaiz hai. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12085
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal ye hai ki WASHROOM k andar washbasin hai to agar us washbasin me main agr wuzuh karu to mera wuzuh hoga ya nahi?

Answer: Jee han, washroon me wuzu Jaiz hai. (Ref: Mafhoom e Email rcvd from Ayatullah Sistani d.b). [Updated on 13-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!