Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12144
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr makeup se pehle wazu kiya ho aur wazu na rahe to tayammum kr k namaz parhi ja skti hai???

Answer: Jee nahin, dobara wuzu kar k namaz perhna ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12158
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir muje lekoria problem ha.gela pan sa feel hta ha.her namaz k sath shalwar bdalna kia lazmi ha????

Answer: Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), email rcvd) [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12167
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.. Main apse pochna chahta hu k agr hath pay ball point ki ink lagi ho maslan lakeerain hu tou kya wo mitaye bagair ghusal ho sakta? Matlab agr pata na chalay k ink lagi hay aur ghusal karlia jaye tou kya ghusal hoga?

Answer: Agar lakeerain itni ziyada hon ke ghusl k aaza tak paani pouchne me rukawat dalain to gusl sahi nahin hai laikin agar rukaawat na dalain to gusl sahih hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah # 289,373,377) [Updated on 19-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12277
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum,kya wazu karte waqt sar per rubatta hona zaroori hai

Answer: ye zaruri nahin hai, han agar jahan aap wuzu kar rahi hain wahan koi na-mehram bhi mojod hai to un se parda karna zaruri hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah #322,2397). [Updated on 23-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we recite drood without wozu

Answer: G han wuzu ke bager drood parh sakte hain, Jab bhi Insan Hazrat Rasool e Akram s.a.w.w. ka ism e Mubarak maslan Muhammad s.a.w.w. , Ahmed s.a.w.w. ya laqab aur quniyat maslan Mustafa s.a.w.w. , aur Abul Qasim s.a.w.w. zaban say ada karay ya sunay to chahay wo namaz may hi q na ho mustahabb hay k dorood bhejay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1111). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12439
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya pair ke ghutne khule ho to waju ho jayegi

Answer: Jee jee wuzu ho jaey ga is mai koi haraj nahi ye cheez wuzu k batil hone ka sabab nahi hai,(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322) [Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bhol k bina wazo namaz adda ker li to wo namaz ho jay ge ya phr sy wazo kr k prhni chy

Answer: Dobara wuzu kar k namaz ada karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315). [Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12525
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1 dafa wozu karne se poora din nemaz ada kar sakte Han.

Answer: agar wuzu barqaraar hai yaaney poora din mubtilaate roza mai sai koi kaam anjaam nahi dia hai jese peshaab ,pakhana, aise sona k aankh dekh na sakay or kaan sun na sakay wagaira.....tou phr usi wuzu sai namaz anjaam di jaa sakti hai.Ref:(tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 315,322). [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12548
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya nailpaint lgi hone pr gusl jaiz hai

Answer: Agar wo paani k pohanchne mai rukaawat hai tou pehle usay hatana zaroori hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 376). [Updated on 10-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12549
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum kya mobile use krny sy wazu sy wazu toota hai or kya mobile py scroll krty kch dikh jaye lkn intension sy nhi bs nazar sy guzar jaye ghlt pic ya kch bhi ksi ki tu kya wazu toot jata hai?

Answer: wsalam. Jee nahi ye mubtilaate wuzu mai sai nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!