Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16274
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wuzu me lulli Krna or naak me pani dalna jayez nhi uski Surat kya hai?

Answer: Kulli karna wuzu me Jaiz hai, bakle wuzu shuru karne se pehle Teen martaba kulli karne aur is ke bad Teen martaba naak me paani dalne ko mustahab shumaar kiya gaya hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Edition #1443, Maslah #347). [Updated on 14-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16355
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA, tasali se ghusl karne k baad yeh wehm hota hai k koi jga khushq reh gai hai is ka kia ilaj hai?

Answer: Ghusl me baal barabar badan bhi agar dholne se reh jaaye to ghusl batil (yani galat) hay. lekin agar ghusl ke baad shak kare ke ghusl sahi kiya hay ya nahin to dobara ghusl karna zaroori nahin. Aur agar ghusl ke baad maloom ho ke badan ka khuch hissa dhulne se re gaya tha or wo hissa badan me se ho to ghusl ke baad sirf usi miqdaar ka dho lena kafi hai is tarah se ghusl sahi ho jaaye ga.or agar sar or gardan dholne se regahe ho tu ehteyaate wajib ki Bina per zarori hay ke itne miqdaar dhone ke baad DOBARA badan ko dhoe.or wuzu me (shatani waswase ko pechaanne ke lie zaabta ye hay ke jab koi aam tuor per paish aane wale shuqooq se bar kar shak karne laghe tu wo waswaase hoa karta hay or is surat me faqat aazaae wuzu per Pani daal kar is maqaam per mutaaarif miqdaar me hath phiar Lena kafi hay chaae ise tamaam hisso Tak hisso Tak Pani pouchne ka yaqeen bhe na horaha ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #373,383,364). (Mujtahid se pouche ghe sawalaat ,hissa 2,PG no.25) [Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16375
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: گیلے بالوں میں مسح ہو سکتا ہے یا نہیں

Answer: Wuzu men sar aur paon ka masah karte waqt sar aur paon ka khushk hona zaroori hai, lihaza agar sar aur paon is qadar tar (gheele) hon ke hatheli ki tari us par asar na kare to wuzu baatil hoga. lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho ke wo hatheli ki tari se khatam ho jaye to phir koi haraj nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #255). [Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16452
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As Salam O Alaikum 18:02 Agr Jism Ke Kisi Hisse Par Chot Lagi Ho Jisko Pani Se Mehfooz Rakhna Lazim H, Or is Halat Me Mani Kharij Hojae Galti Se Ya Jaan Boojh k To Gusl E Jinabat Kese Kyaa Ja Sakta h??

Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai. 2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16578
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Isha ki namaz ma Shaq ai k magribain k lye wuzu kia tha ya nhi toh namazon ka kia hukm h?

Answer: Magharib ki namaz jo parh chuke hain wo sahi hai, lekin ehtiyat e wajib ki bina par wuzu kar ke isha ki namaz dobara parhain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #303,304). [Updated on 15-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16612
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa! Mera ya sawal Hy k agr ak aurat NY nail polish lagai Howe Hy r usny ghusal b kr Lia namaz b parh li lkin nail polish nae utri wesy hi lagai Hy to is Ka orat k honey waly bachy py Kia asar ho ga r us aurat k liay Kia azab Hy kindly inform me

Answer: Bazat e khud nail polish lagane me koi ghunah nahin ke jis ke asraat bache par muntaqil hon gay. Han albatta nail polish ki ki wajah se wuzu aur ghusl nahin ho sakta, Q ke nail polish rukawat hay. aur wuzu, ghusl ki sharaait me se aik ye hai ke wuzu, ghusl ke aazaa (parts) par koi aisi rukawat nah ho jo pani ko jism tak puhanchnay nah day. Khawateen ke lie nail polish Lagane ke baad Apne nukhunu ko na-mehram se chupana . Zarori hay . (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #289 to 297,376,377,jadeed masail ,aqa sistani ,jild no.4,pg:17). [Updated on 26-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16721
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia face or hath pao per teel laga k wazu ker sakty hain Matlab hath pao per koi bhi oil laga ho to usy Saban sy dohoe Bina wazu kia ja Sakta he?

Answer: Agar baqaaida taur par itna oil lagaya jaye ke paani ke puhunchnay men rukawat bane to wuzu nahin ho sakta, balke wuzu se pehlay use hatana wajib hoga, lekin agar sirf chiknahat hai to is se koi faraq nahin parhay ga Q ke wuzu ke sahi hone ki sharait me se aik shart ye hai ke wuzu ke aaza tak paani puhanchne me koi cheez rukawat nah bane. (Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, sawal #9, pg #26. + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, maslah #289, pg #54, shart #11). [Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16727
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam halat e namaz ma agar gas arahe ho our usee ane se rokhe to ky wazu sahi hai

Answer: Riyah (gas) ke kharij hone se wuzu baatil ho jata hai. lekin agar gas ko rok ke rakhen aur kharij nah ho to wuzu sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, #42, maslah #322). [Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16835
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslaam o alaikum, Kia Oong(neend ka jhatka) Ane se bhi Wuzu Tot jati he ?

Answer: Wuzu ko baatil karne (torne) wali cheezen saat (7) hain in me se aik Neend hai. aur is se muraad aisi neend jis ki wajah se nah ankhein dekh saken aur nah kaan sun saken, lekin agar ankhein nah dekh rahi hon magar kaan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322) [Updated on 05-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16866
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gusal kia ho or wazoo bhe krlia ho lekin lipstick lagi rehgae ho to kia gusal dubara krna parta h

Answer: 1: Jo cheez badan tak paani puhunchne main rukawat ho to zaroori hai ke insan use hata day aur agar us ke hat jaane ka yaqeen karne se pehlay gusl kare to us ka gusl batil (yani sahi nahin) hai aur dobara ghusl karna hoga. 2: Agar shaq ho ke koi cheez jild tak paani puhunchne main rukawat hai ya nahin to zaroori hai us cheez ko hata day aur pani nichay tak puhunchaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #289,376,378). [Updated on 10-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!