Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15507
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Vaginal gas pass hone se wuzu tootjata hai?

Answer: 7 chezain wuzu ko batil karti hain. in men aik Riyaah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maqad {back} se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil ho jata hai. Albatta jis ka zikr aap ne kiya hai us se wuzu batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15557
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia humbistri k baad ghusal lie bagair bache ko doodh pila sakte hain? Ya wazu karna bhi zaroori hai??

Answer: Jee han, bager wuzu ke pila sakti hain, or wuzu karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355). [Updated on 22-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Chota peshap aty hoye namaz par skty hai ?

Answer: Jee nahin, nahin parh sakte Q ke peshab se wuzu toot jata hai. or agar koi aisi ibadat karni ho jis k liye wazu zaroori hai to peshab k bad wazu karna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 28-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15665
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat ka sir khul jaye to wodhu tut jata he?

Answer: Jee nahin, Is se wuzu baatil nahin hota. Q ke wuzu ko baatil karne wali cheezen saat (7) hain un me se sir khul jana nahin hai: 1) Peshaab or jo masshkook ratoobat peshaab ke bad aur istebraa se pehle insaan se khaarij hoti hai woh bhi peshaab ka hukum rakhti hai. 2) Pakhana. 3) Riyah yani made aur aanton ki hawaa jo maqad (peeche ki sharamghah) se khaarij hoti hai. 4) Neend jiski wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. 5) Aisi halat jin mein aqal zaail ho jaati ho maslan diwaangi, massti ya behoshi. 6) Auraton ka Istehaaza. 7) Janaabat balkeh Ehtiyaat-e-mustahab ki bina par har woh ka jis ke liye ghusl karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 27-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15666
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aurat ka sir khul jaye to wodhu tut jata he?

Answer: Jee nahin, Is se wuzu baatil nahin hota. Q ke wuzu ko baatil karne wali cheezen saat (7) hain un me se sir khul jana nahin hai: 1) Peshaab or jo masshkook ratoobat peshaab ke bad aur istebraa se pehle insaan se khaarij hoti hai woh bhi peshaab ka hukum rakhti hai. 2) Pakhana. 3) Riyah yani made aur aanton ki hawaa jo maqad (peeche ki sharamghah) se khaarij hoti hai. 4) Neend jiski wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. 5) Aisi halat jin mein aqal zaail ho jaati ho maslan diwaangi, massti ya behoshi. 6) Auraton ka Istehaaza. 7) Janaabat balkeh Ehtiyaat-e-mustahab ki bina par har woh ka jis ke liye ghusl karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 27-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16023
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya cosmetic permanent lip color krwa skte hain

Answer: 1: Wuzu aur ghusl ke sahi hone ki chand sharait hain: in me se aik ye wuzu aur ghusl ke aaza tak paani puhanchne me koi cheez rukawat nah bane. lihaaza cosmetic permanent lip colour karwana to jaiz hai lekin cosmetic permanent lip colour karwaen to ye cheez wuzu ya ghusl ke aaza tak paani puhnchne me maane (rukawat) bane to zaroori hai ke ya to is cheez ko hata dien ya paani is ke niche tak puhnchaayen. 2: Aur dusre baat ye ke aisa kaam karna jis ki wajah se taweel arsay tak tayamum karna parre, (aisa kaam karna) ehtihyat e wajib ki bana par jaaiz nahin hai. 3: Agar maloom ho ke wuzu ke aaza par koi cheez lagi huei hai lekin is bare mein ise shak ho ke aaya wo cheez paani ke un aaza tak puhnchne me maane (rukawat) hai ya nahin to zaroori hai ke ya to is cheez ko hata diya jaye ya paani us ke niche tak puhnchaya jaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #289,376,377. pg #51 to 54 Link: https://www.sistani.org/persian/qa/13370/ ). [Updated on 23-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16048
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum , please tell me kiya urine ki jaga sy agar hawa kharij ho to wazu tuut jata h ??? Pakhany ki jaga sy hawa kharij hony py to tuut jata h but urine ki jaga sy agar hawa kharij ho to ussy bhii wazu tut jata h kiya??? please guide me

Answer: Jee nahin, Q ke saat (7) chezain wuzu ko batil karti hain. in men aik Riyaah (gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maqad {back} se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil ho jata hai. Albatta jis ka zikr aap ne kiya hai ke (vagina urine wali jagah se gas kharij hona) is se wuzu batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16173
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baaz afraad yeh kehte hain Kay agar tamam nakhunoun me se ek nakhun chorh kar baqqi sub nakhunoun par nail polish lagali jay tau wudhu hojata hay,Kiya ye sahi hay? ,or Kiya tamam nakhunoun par se wudhu Ka paani guzarna zarori hay?

Answer: Agar nail polish haath ki ungliyoon par lagi ho to wuzu nahin ho sakta, Q ke nail polish rukawat hay. aur wuzu ki sharaait me se aik ye hai ke wuzu ke aazaa (parts) par koi aisi rukawat nah ho jo pani jo jism tak puhanchnay nah day. lekin agar nail polish pair (foot) ki ungliyoon par lagi ho or dono pairon ki aik aik ungli par nah lagi ho, to pairon ka masah us aik ungli say (jis par nail polish nahin hay) lay kar pair ke jorh (joint) tak masah kiya jaa sakta hay. Q ke pair ke masah main pair ki aik ungli say lay kar jorh tak masah karna wajib hay. (Note: Wo maslah paon ke masah ke baare me hai, misal ke taur par agar chehre aur hathon ko dhone ke baad jab paon ka masah karna ho to agar paon ki ungliyon me se kisi aik ungli ke nakhun par nail polish na lagi ho to us par masah kiya jaa sakta hai. lekin Hathon ke baare me ye maslah nahin hai balke hathon me to zaroori hai ke rukawat ko hata liya jaye). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #251,289 to 297, pg #49,54). [Updated on 07-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16213
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia geele balon me masa hota hai? Khawateen aur mardo k liye dono ka btae

Answer: Wuzu men sar aur paon ka masah karte waqt sar or paon ka khushk hona zaroori hai, lihaza agar sar aur paon is qadar tar (gheele) hon ke hatheli ki tari us par asar na kare to wuzu baatil hoga. lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho ke wo hatheli ki tari se khatam ho jaye to phir koi haraj nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #255). [Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16268
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar wazu karny sy pehly chehra tar ho lakin sir r paon khushk hoon to kya aic surat ma wazu karna sahe a

Answer: Jee han, wuzu sahi hoga.(wazu me srif sar ke mase ki jagha or paou ke mase ki gha kusak ho Yani is qadar tar na ho ke in per mase ka asar zaahir na ho ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #255). [Updated on 10-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!