Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14357
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr wazu kya huva ho or hath pe pishab lag jaye to kya wazu dobara karna hai ya sirf hath pak kar lena kafi hai ?

Answer: Wuzu dobara nahin karna hai balke sirf hath ko pak karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(de.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #154). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurat ka Wazu k bd loudspeaker mai bolne se kiya wazu toot jata hai ya makru hojata hai

Answer: Aurat ka Wazu buland loudspeaker mai bolne se sai wuzu baatil nahin hota. ( or na he is se wuzu makroh hota hay) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 03-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14529
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ek finger pe bandage laggi ho to wadu kese karen. Kya us finger ko wash kiye bina wadu ho jaega

Answer: Jee nahin, balke Agar pati ko utar kar pani dalna nuqsandeh na ho to zaroori hai ke usi tarah wuzu karen jese aam taur par kiya jata hai, aur agar pani dalna nuqsandeh ho to zakham ke aas paas ke hisse ko is tarah upar se niche ki taraf dhoen jese wuzu men kiya jata hai. aur behtar ye hai ke agar zakham par geela hath khenchna nuqsandeh na ho to geela hath us par khenchen aur is ke bad pak kapra zakham par dal den aur geela hath us kapre par khenchen. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #323,324). (Note: Wo cheez jis se zakham ya tooti hoi hadi bandhi jati hai aur wo dawa jo zakham ya aisi hi kisi cheez par lagaei jati hai wo jabira kehlati hai aur aisi cheez par jabira wuzu kiya jata hai ). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14824
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khana khane se wuzu makrooh ya toot jata h ? Plz tell the answer immediately.

Answer: khana khane se na wazu tootta hai or na he makrooh hota .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14947
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jis shaks ke hatho mein Mom aur tel laga ho, tou kya us shaks ka Wudhu ho jayega?

Answer: Agar baqaeda tour par itna oil ya mom laga huwa ho ke paani ke puhanchnay men rukawat bane to wuzu se pehlay use hatana zaroori hoga. lekin agar sirf chiknahat hai to is se koe faraq nahin parhay ga.(Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part #4, pg #26). [Updated on 30-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15099
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya wuzu sy pehly istanja krna wajib hai

Answer: agar aazaae wuzu ke sewa badan ka koi hissa najis ho tu wuzu sahe hay ( yani aise halat me wuzu karsakte hay) laikn agar pakhane ya peshaab ke maqaam ko paak na kia ho tu phir ehteyaate mustahab (behter hay laikin zarore nahe hay) ye hay ke pehle inhe paaak kare or phir wuzu kare.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 276) [Updated on 23-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15245
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar wuzoo na ho to kia Qabaristan me sooratoun ki tilawat ki ja skti h?

Answer: Jee han, Poore Quran ya chand suron ki tilawat ki ja sakti hai lekin baghair wuzu ke mass nahi kiya ja sakta.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #316). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15349
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya wazu k pani ko jo ap k chehry py mojood hota hai wazu krny k baad kisi saaf kapry se khushkk krna makroh hai?. Meine abi recently aik kitaab prhi jis mein likha tha k makroh hota hai.

Answer: wuzu karne ke baad wuzu ke pani ko rumaal,ya tuliyah wagaira puochna ko Ulama ne makrooh shumar kiya hai . (Ref: https://www.facebook.com/M.AlMustefa.Women/posts/437519859693378/ ). (ref: urwaturwusqa, aqasistani,jild :1 ,pg:149) [Updated on 05-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Esha Ki namaz shuru ki aik rakat parhi aur aisa lgaa wuzu nahin kia toh kyaa karein

Answer: Agar namaz ke dauran shak ho ke wuzu kiya tha ya nahin to ehtiyat e wajib ki bina par us namaz ko kafi na samjhe balke zaroori hai ke wuzu kar ke dobara namaz parhay.(Ref: Tauzeeh ul masail jame, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #332) [Updated on 26-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15502
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wazu ke bad ungali uthanakia ha

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq ya kaam anjam dena na wuzu ko sahi karta hai or na hi wuzu ko batil karta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #235 to 259). [Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!