Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sar ka masa necha sa uper ki tarf krna jaiz ha kia?

Answer: Jee han, jaiz hai. lekin ehteyat-e-mustahab (yani behtar) ye hai ke masah upar se neche ki taraf kiya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #248). [Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17492
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASALAM O ALAIKUM! Jab mein wuzu mein hota hoon toh aksar hawa kharij hote hote khud hi ruk jati hai toh kya is halat mein mera wuzu toot jata hai ya nahi? Rehnumi kijiye ga!

Answer: W.slm 7 cheezon se wazo batil hojata hai, un me se 1 Riyah yaani maide or aanto ki hawa jo makam e pakhana se kharij hoti hai, bhi shamil hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b),44th edition, maslah #322). [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17678
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam jis pani sy wazu ya ghusl janabat kia jaye woh pani kaisa hona chaiye pani mai agr badbo maujood ho to kia ussy kiya wa ghusl e janabat ya wazu sahi hoga.

Answer: Jis pani se wazo ya ghusal kia jae zarori hai k vo pani mutlaq ho yaani aisa pani ho k jise daikh k urf e aam pani keh skte hon, Chahe uss pani me smell hi q na arhi ho.. Muzaf pani yani Aisa pani jis ko pani na kaha jae uss se wazo ya ghusal batil hai.. (Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 264) [Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17731
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya giley jisam par wazu karna theek hai yani agar pehle hath muu sabun se ghoo len uske bad wazu karen to kya ye sahi hoga?

Answer: NULL

Id: 19193
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا کھانا کھا نے سے وضو ٹوٹ جاتا ہے

Answer: Jee nahin, khana khane se wuzu baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19217
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya koi kholi na dekhne sa wazu tut jata hai?

Answer: Agar aap ka sawal neend ke hawalay se hai to wuzu us soorat me baatil hoga jab neend aisi ho ke jis ki wajh se nah aankhen dekh saken aur nah kaan sun saken lekin agar aakhen nah dekh rahi hon magar kaan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322). [Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19283
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا خواب میں مشت زنی کرنے سے وضو فرض ہو جاتا ہے؟ لذت ہو لیکن پانی خارج نہ ہو

Answer: Agar koi Khuwab me mushtzani karte hue dekhe to is wajah se wuzu ya ghusl wajib nahin hota, Isi tarah agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin huei (yani ihtelam nahin hua) tab bhi ghusl wajib nahin hota. Han! Agar neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij huei (yani ihtelam hua) hai to phir ghusl karna hoga. Q ke Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me, kam ho ya ziyada, shehwat ke sath niklay ya bagher shehwat ke, aur uska nikalna ikhtiyar me ho ya na ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344). [Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mehndi kay ahkam

Answer: Agar mehandi ki wajah se wuzu ya ghusl k aaza tak paani pouchne me koe rukawat nah ho to wuzu ya gusl kiya jasakta hai. Aur agar rukawat ho to phir us rukawat ko hatana zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, before maslah #289). Mazeed janne ke liye darj zel do link par cilck karen. link: https://youtu.be/Pvt_avO_nK0 link: https://youtu.be/L9wy47TcLME [Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19397
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai ky hum wazu karnay sy phelay paon dhotay hain ousky bd wazu kartay hain lekin kya hum wazu karnay ky bd paon dho lain toh kya yai sahi hai ya nhi?

Answer: 1: Agar wuzu shuru karne se pehlay paon dhaoye jayen to masah karte waqt paon ka khushk karna hoga warna masah sahi nahin hoga. Q ke wuzu men sar aur paon ka masah karte waqt sar aur paon ka khushk hona zaroori hai, lihaaza agar sar aur paon is qadar tar (gheele) hon ke hatheli ki tari us par asar na kare to wuzu baatil hoga. lekin agar us par nami ho ya tari itni kam ho ke wo hatheli ki tari se khatam ho jaye to phir koi haraj nahin. 2: Wuzu shuru karne baad, jab wuzu mukammal ho jaye (yani chehra, dono hath dhone ke baad sar aur paon ka masah bhi kar liya jaye) to phir paon dho sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.), edition #42, maslah #255). [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19407
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: واجب نماز کے لیے وضو کیا ہو تو کیااسی وضو کے ساتھ قرآن کے الفاظ کوچھو سکتے ہیں یا الگ سے وضو کرنا پڑےگا

Answer: Jee han, usi wuzu ke sath Quran ke alfaaz ko chho sakte hain. Alag se wuzu karna zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,316). [Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!