Question: Agar ap na mehndi laga li ho or bad ma pata chala ka wo wazoo ma rukawat kar rahi ha or atar bi ni rahi ho to kia huq a shara ho ga . As bar ka liya
Answer: Mehdi ke hawale se sharaei maslah janne ke liye darj zel do link par cilck karen. link: https://youtu.be/Pvt_avO_nK0 link: https://youtu.be/L9wy47TcLME [Updated on 14-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere dono bazoo pe zakhm hai. Mein 3 dafa kulli aur 3 dafa naak mein Pani daal k tayammum krta hun. Kya yeh Amal theek hai ghusl e janabat ka
Answer: 1: Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab (behter) ye hai ke zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa toota hua ho to zaroori hai ke ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai. 2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lekin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi baatil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,659,709). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I'm a student and usually my hands are covered with pen ink with small spots here and there kia hathon pr pen chale hone k bavajud wuzu hojata h ?
Answer: Agar siyahi(ink) aise jirm aur maade par mushtamil nah ho ke jo jild aur paani ke darmiyan rukawat ho to us ke upar wuzu aur ghusl sahi hon gay aur agar rukawat hona mashkook ho to saaf karna aur hatana zaroori hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #79). [Updated on 21-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alaekum.Mera sawal ye hai ke mere baal bre hain or sar ka mash krte waqt baalo ki jild tk pani phnchna lazim ha ya nh?
Answer: Lazim nahin hai ke sar ka masah sar ki jild par karen, balke sar ke aglay hisse ke balon par bhi sahi hai; Lekin agar sar ke aglay hisse ke baal itne barray hon ke agar maslan kanghi kare to is ke chehray par aa jate hon ya sar ke kisi dosray hisse tak puhnch jate hon to zaroori hai ke balon ke is hisse par masah karen jo kanghi karne ke baad sar ke aglay hisse ki had se kharij nah hotay hon, isi tarah maang nikaal kar baal ki khaal ya sar ki jarr par bhi masah kar sakte hain; Lekin agar woh baal ke jo chehray par aa jate hon ya sar ke kisi doosri jagah puhnch jatay hon, use sar ke aglay hisse par jama karen aur is par masah karen, ya sar ke kisi doosri jagah ke balon par jo sar ke samnay walay hisse par aaye hue hon, us masah karen, to aisa masah baatil hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #276). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr aurtoun ki qameez k bazu tang ho to kesy masah kry bazu ka
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aap apne kisi maulana se is silsilay me rabta karen shayad aap ka maslah hal ho sake, Albatta fiqh e jafferiya ke mutabiq bazu ka masah nahin kiya jata balke sar ke aglay hisse aur paaon ke saamne wale hisse ka masah kiya jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #235). [Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: When should we make wuzu for fazar ? After sehri or before sehri ?
Answer: Wuzu sehri se pehlay bhi kar sakte hain aur baad bhi kar sakte hain, Q ke wuzu jab bhi kiya jaaye, chaahe namaz ka waqt aane se kuch pehlay, kaafi dair pehlay ya namaz ka waqt aa jaane ke baad, agar “Qurbatan Illallah” ki niyyat se kiya jaaye to sahi hai. yeh zaroori nahin hai keh waajib ya mustahab hone ki niyyat ki jaaye balkeh agar galati se wajib hone ki niyyat kar lay aur baad mein maloom ho ke abhi wuzu waajib nahin hua thaa to bhi wuzu sahi hai. Isi taraf agar yaqeen ho ke namaaz ka waqt daakhil ho chuka hai aur waajib wuzu ki niyyat kare Lekin wuzu karne ke baad pataa chale ke abhi waqt daakhil nahin hua tha to wuzu sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #319,320). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr wuzu Sirf namaz ki niyat se kya tha to us wuzu se Quran pak padhe sakte he?
Answer: Jee han, Parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,320,321). [Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum sir mera wazu br br tot jta h wazu krny k kbhe foran bd bhe aur nmaz ma bhe wazu kr k ao to phr tot jta h is ka koi solution bta dyn plz
Answer: 1: Agar koi aise marz me mubtela ho ke ise peshaab ke qatre ghairte rehte ho, ya pakhana ya Riyaah(gas) rokne par qaadir na ho, to Agar use ko Yaqeen ho ke Namaz ke Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaye ga ke wuzu kar ke Namaz parh sake to zaroori hai ke is waqfay ke dauraan namaz parh lay aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz ke wajibaat ada karnay ke liye kaafi ho to is dauraan sirf namaz ke wajibaat anjaam day aur zaroori hai ke Mustahab Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2: Agar us ko wuzu kar ke Namaz ka kuch hissa parhne ki muhlat milti ho aur Namaz ke dauraan aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hota ho to ehtiyat e Lazim ye hai is muhlat ke dauraan wuzu kar ke Namaz parhe lekin Namaz ke doraan Lazim nahin hai ke Peshab kharij hone ki wajah se dobara wuzu karay. 3: Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai ke namaz ke liye aisi theli istemaal kare jis me ruei (cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jaghon tak puhnchne se roke aur ehtiyat e wajib ye hai ke har namaz se pehle najis shuda maqam ko dho lay. 4: Akhrot ka har roz khana peshab ke qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Note: 1. Aap ko mashwara hai ke aap kisi achay doctor se ilaaj karwain. Or is beemari se nijaat hasil karen. 2. Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh hone ki koshish kia karen, Q ke baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari ho jati hai. 3. Khana khoob chaba kar khaya karen. Takeh khana sahi tareeqe se hazam ho or riyah(gas) ka maslah nah ho). Aap Masood homeopathy company ki mother tincture HR-35 ko istemaal karain, Inshallah aap is beemari se nijat paa jain gay.(https://masoodstore.com.pk/product/hr-35-gastronex/) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #299,306,307,311,314. + Kitab Makhzan e Amaliat, pg #79) [Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Without wudu can we touch Quran
Answer: Agar wuzu se nahin hain to Quran ke alfaaz ko mass (touch) nahin kar saktien yani apne badan ka koi hissa Quran ke alfaaz (tehreer) se lagana Haram hai lekin agar Quran ka farsi, urdu ya kisi aur zabaan mein tarjemah kiya gaya ho to us mass (touch) karne mein koi haraj nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315). [Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Without wudu can we touch Quran
Answer: Agar wuzu se nahin hain to Quran ke alfaaz ko mass (touch) nahin kar saktien yani apne badan ka koi hissa Quran ke alfaaz (tehreer) se lagana Haram hai lekin agar Quran ka farsi, urdu ya kisi aur zabaan mein tarjemah kiya gaya ho to us mass (touch) karne mein koi haraj nahin. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315). [Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]