Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13534
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamualikum Ager rat ko paon dho kr tail laga kay socks pehn k Soo jayen tu subah fajar time socks kay oper say masah krsakty hen? Or ladies hijab/ chader kay oper say balon ka masah krsakty hen k Nhi?

Answer: Sar ka masah chadar par karna batil hai. wo baal jo sar k agle hisse main ugte hain or sar k agle hisse main hi rehte hain tu on baal per masah kia jaa sakta hay or agar wo baal lambe hon tu on k os hisse per masah karna jaiz hay jo jo sar k agle hisse main rehtay hon. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 249,250). Mozay or jutay per masah karna batil (Ghalat) hai. (wazu nahi ho sakta).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 251,258) [Updated on 28-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13608
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal yeh hay k agr ring pehn kr yeh challa phen kr wazu kia jae to wazu jaiz hoga k nhi.?

Answer: wsalam. Mayaar paani pohnchana hai agar ring pehen kar paani pohanchne ka aap ko yaqeen hai tou wuzu durust hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 289). [Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum.. Agar sar ka massa karne se pehle wuzu ka paani khushk hojae to aurat k liyein kiaa ahkamm honge

Answer: Dobaara wuzu karay gi.(Ref:Tauzeeh ul masail jaame, part#1, ayatullah seestani,mafhoom e maslah#278). [Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13678
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: neend se ut kar wazoo karne se pehly istinja karna hy ya nhi

Answer: Wuzu karne se pehly istinja karna zarori nahi hay. (Ref: Aayatullah Seestani(d.b), Tauzeehul masael, Edition# 39, Mafhoom e Maslah # 322 ). [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13702
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya work place jesy office waghera mein namehram sy hath milany (Hand shake) sy unki janib dekhny sy ya guftugo karny sy Wazu batil ho jata hy or adaigi namaz k liye dobara wazu krna zaroori hay?

Answer: Jee nahi is se apka wazu batil nahi hota, kyun keh yeh mubtilat e wazu me se nahi hai. (Ref: Aayatullah Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no # 322 ). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13710
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA. Agr apko bht arsy bd maloom ho k ap jahan wazu krty rhy hen bessn wgyra men, or us bessn men koi pagal peshab krta rha hai to kya wo besan napak hai or us jgah wazu krna kesa hai? wo peshab krk pani baha deta tha phir wo jgah pak hui ya napak??

Answer: 1: Wuzu ho jaey ga, wuzu k liay basin ka paak hona zaruri nahi hay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition# 35, Mafhoom e Maslah #264-297,322). 2: Agar koi cheez peshab se najis ho jay tu os per qaleel ya kur pani 2 dafa bahana zurari he. albatta jaari paani(maslan chashma{ spring/fount}) main aik baar dhona kaafi hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 154). [Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14078
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr hath me plaster ho to gusal ki jaga tayamum kse krna hoga

Answer: Agar haddi toti hoi ho aur zakham nah ho tu ghusl kia jaey ga or jabira k oper masah kia jaey ga (yani geela hath phaira jaey) . Jabira per plastic bhi bandhi ja sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael jaame, Mafhoom e Maslah #391) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14144
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: وضو کرنے کے بعد اگر عضاۓ وضو پر پیشاب یا پاخانہ لگجاۓ تو کیا وضو باقی رہےگا

Answer: is sai wuzu baatil nahi hota albatta namaz k liye paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 322). [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14172
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri ammi ko gas ki bohot problem hai. Namaz paehty hue bhi unki gas nikal. Jati or us k ilawa aam halat m bhi control nhi rehta. Kya unko wazu bananaa zaruri hai? Agr zaroori hai toh unko baar baar wazu banana pary ga.. namaz quran parhty bar bar?

Answer: Agar kisi ko riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu os ka aik wuzu chand namazon k liay bhi kaafi hay. siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabiee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Note: 1: Aap ko mashwara hay k aap walida ka kisi achay doctor se ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karaen. 2: Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia kare, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari hojati hay. 3: Khana khoob chaba ker khaya kare. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or gas ka maslah nah ho ). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14201
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sirf hawa kharij hone se hi wuzu toot jata hai ya badboo ya awaz ana zaroori hai wuzu tootnay k liye? Kindly Answer me

Answer: Riyaah(hawa) kharij honay say wuzu toot jata hay chahe awaz ho ya na ho, chahe boo(Smell) ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #322). [Updated on 06-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!