Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4206
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Wazoo k waqt eye lens k istemal ka kia hokum hai? Kia wazoo shi krnay k lie inhain niklna zaroori ho ga?

Answer: Jee nhi, is aetibar sai k wazoo mai aankh k androhni hissoo ko dhona zaroori nhi. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 7, pg # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4219
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wazu men masah kis tarah kiya jay.

Answer: 1)Donoo hath dhonay k baad sar k aglay hissay ka masah wazoo k pani ki os tari sai krna chahea jo hathoo ko lagi reh gae ho aur ehtiyat e mustahabb ye hai k masah dain(right) hathili sai kia jae aur upper sai nichay ki taraf ho. 2)Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah krna chahea is hissay mai jahan bhi aur jis andazay sai bhi masah karain kafi hai. agar cheh ehtiyat e mustahabb ye hai k lambai mai aik ungli k lag bhag aur chorai mai 3 milli hui unglioon k lag bhag jigha par masah kia jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 248-249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 4279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: does we need to do wadoo for hearing the quran majeed from media or on mobile phone from Youtube do I have to be in Wadoo or without wadoo I an hear the tilawat and translation

Answer: Wazoo is Mustahabb for For reading, writing, or touching the margin or border of the holy Quran, or for keeping it with oneself and for haering it is Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Mustahabb to do wazoo. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 321) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4301
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum sir main bohat tenshzn main ap koi hellp kar saktay hain main jab b wozu karta hun namaz k leyeh tu thori dair baad huwa nikal jati hai wuzo tot jata hai main kia karo es ka koi masla hal kar dain main jawab ka intazar karon ga plz plz plz

Answer: 1)Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba huwa kharij hoti ho to ehtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay huwa kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307-314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4461
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir, Vazu kaa paani, izajat key bagair vazu karey toh. woh namaz qabul hoti..hy.plz is maslye ko clear karey...

Answer: Aisay pani sai wazoo krna jo gasab kia gya ho ya jis k baray mai ye ilm na ho k is ka malik is k istemal par razi hai ya nhi haram aur batil hai. aur namaz bhi batil ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 266) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa..plz mujhe ye bata den k wazu karte waqt agar side me mang nikli ho to sir ka massah ho jata hy??

Answer: 1)Sar k 4 hisso mai sai peshani sai mila hua aik hissa wo maqam hai jahan masah karna chahea. 2)Ye zaroori nahi hai k sar ka masa jild par kiya jaay balke sar k agle hisso k baalo per karna bhi sahi hai laikin agar kise k sar k baal itne lambay hon k maslan agar kangha kare to baal chehray par aa jain, ya dosere hissay tak ja pouche to zaroore hai k wo balo ki jaro par masah kare. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 250 ) Note : Side ki mang par masah nahi ho ga.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4615
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wuzu me kitne wajib hain

Answer: Wazoo mai 5 sheezain wajib hain. 1)Niyat 2)chehray ka dhona 3)Donoo hathoo ka dhona 4)Sar ka masah 5)Donoo pair k samnay walay hissay ka masa karna. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 235-259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4781
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia sardioon main bagar paoon dooee wasoo ho jata ha

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Wazu me paoon nahi dhoae jate bal k in per masah karna zaroore hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 251) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4804
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam-0-Alikum Mera question hai k socks(jurabain) pehan kar foot(paon) k uper se masa kar lain to wazoo ho jata hai kya ? ager ho jata hai to maza karny ka kya tareeqa hona chahiye ?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Mozay aur joutay per masa karna batil hai.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4864
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya socks pehn k or bazo sy sweatr oper na ki jaye to wazoo ho jata hai?

Answer: Socks par masah kerna batil hai haan agar sakht sardi ho ya chaur ya darinday waghera kay khoof say jootay ya mozay na utaray jasakain tau ehtiyaat-e-wajib ye hay k mozay par masah karay aur tayyam,mum bhi karay.laikin taqayye ki surat mai mozay par masah kerna kafi hai,aur tayyamum ki zarorat nahi hai. Agar bazo(kohni say le ker unglion k siray tak) par sweater k oper say is terha pani dala jaey k koe hissa bhi dhulnay say baqi na rehta ho tau phir sweater oper kernay ki zarort nahi hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #235,258). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!