Question: wo kon sa pak pani hai jis say wazoo jaiz nahin
Answer: 1-Muzaaf pani kisi najis cheez ko paak nahi kerta.or aisay paani se wuzu or ghusl kerna bhi batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 44). 2-Ehtiyaat e wajib ki bina par aisay paani se wuzu nah kia jaay jo aisi cheezo maslan halaal gosht haywaan k paishab, paak murdaar or zakham ki reem se aloodah ho jin se insaan ko ghin aati ho, agarchah sher,e layhaaz se aisa paani paak hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# before 264). 3-Ghasabi paani se wuzu kerna haram hay or wuzu batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 266) Note: 1-Muzaaf wo paani hay jo kisi cheez se hasil kia jaay, maslan terbooz ka paani, nariyal ka paani, gulaab ka paani waghaira. Os paani ko bhi muzaaf kehtay hain jo kisi dosri cheez say aaloda ho maslan gadla paani(Muddy water) jo is had tak matyala ho k osay paani na kaha jasakay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 13) 2-Ghasab k matlab ye hay k koe shaks kisi k maal par ya huq par zulm (or dhoons ya dhaandli) k zerye qaabiz ho jaay or ye aisa kaam hay jo aqal, Quran or riwayaat k mutabiq haram hay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# before 2509). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: main mazor hun chalpir nhi skta,hathon ma b takat nhi,sirf unglian hila leta hun,plz muje wazu ka tarika bta den,shukria
Answer: Jo shaks khud wuzu nah ker sakta ho, zarori hay k kisi doosray shaks se madad lay, agarchah dhona or masah kerna dono ki musharikat(ya shirkat/participate) se ho or agar wo shaks ujrat maangay tu agar os ki ada,igi kersakta or aisa kerna os k liay maali taur par nuqsaandah nah ho tu ujrat ada kerna zarori hay.Albattah ye zarori hay k wuzu ki niyat khud karay or masah bhi apne haath se karay or agar khud dosray k saath shirkat nah ker sakta ho tu zarori hay k kisi dosray shaks se madad lay jo osay wuzu kerwaay or is sorat main ehtiyaat e wajib ye hay k dono wuzu ki niyat karain or agar ye mumkin nah ho tu zarori hay k oska naa,ib(jo osko wuzu kerwa raha ho) oska haath perkarh ker oski masah ki jagahoon per phairay or agar ye bhi mumkin nah ho tu zarori hay k naa,ib os k haath se tari hasil karay or os tari se os k sar or paon(feet) par masah karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 285). Wuzu k jo af,aal(kaam) bhi insan khud anjaam day sakta ho zarori hay k onhain anjaam daine k liay dosro ki madad nah lay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 256). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mera sawaal yeh hai k Hm (males) ghusal (nahhatey) waqt wazu kaise kr skte hain or us ka tariqa kia hoga, please mujhe zara detailed me is ka answer dijiye. Thanx.
Answer: 1- Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zaroori he k namaz k lie wazoo na karay. Balkeh ghusl istehaza e mutawasitah k siwa tamaam wajib ghuslo or maslah 634 main biyaan karda tamaam mustahab ghuslo k baad bhi namaz perh sakta hay. 2- Agar aap koe aisa ghusl kerna chatay hoon jo na tu wajib ho or na hi mustahab, tu aisay ghusl se wuzu nahi hojaay ga balkeh agar aap bawuzu hona chahtay hoon tu aap ko chahiaay ya tu aap ghusl se pehlay ya ghusl k baad wuzu karain. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: gab aurat ghusal la haiz ka ya ganabat ka to wazo karna lazmi ha?or agar lazmi ha to pak hona ka bad wazo kiya jay ya pak hona sa pahla?
Answer: 1-Aurat k haiz se paak ho jaanay k baad os par wajib hay k namaz or doosri ibadaat k liay (jo wuzu, ghusl ya tayammum ker k baja laana chahiay) ghusl karay,or oska tariqa ghusl e janabat ki terah hay. Ye ghusl wuzu ki jagah kaafi hay.Albatta begter ye hay k ghusl se pehlay wuzu karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 456) 2-jis shaks ne ghusl e janabat kia ho zarori hay k namaz k liay wuzu nah karay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam sir ma namaz pardhane k lye bar bar wazu kart hu lekin aksar meri gas bar bar wazu karne k bawjaod b gas gharji hoti ha .kia meri namaz qabol ho jati ha
Answer: 1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Riyah roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba REEH kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay REEH kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chan namazoon kay liye bhi kafi siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi..*2jo rutubat cher chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni sharamgaah main mehsoos karta hay wo paak hay,Is say ghusl bhi wajib nahi hota aur na hi ye wuzu ko baatil karti hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308-Masala No.345,Pg.No.62. ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: wozu ky farz aur ghusal ky farz bta dian pls
Answer: Wuzu main wajib{farz} hay k chehra or dono haath dhoay jain or sar k aglay hissay or dono paon k saamne walay hissay ka masah kia jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 235). Terteebi ghusl main ehtiyaat e lazim ki bina per ghusl ki niyat k saath pehlay pora sar o garden or baad main pora badan dhona zarori{farz} hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 360). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalam-u-alikum! Please recheck question # 6590 topic wazu, is main theen (3) times dhone ko haram kaha gaya hai. Please check kar ke is ko darost farma dain. Jazak Allah
Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Wuzu mein chehray aur haathoon ka aik baar dhona wajib, doosri dafa dhona mustahab aur teesri dafa ya is se ziada martaba dhona haram he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 247) Note: oper biyaan kia gaya maslah bilkul durust hay or is ka hawala bhi bilkul durust hay. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam. I have heard from an aalim that Ayatullah Sistani has given fatwa that permanent tattoo is jaiz because the ink becomes part of your body. Is it true? WHat is the correct full fatwa of Ayatullah Sistani regarding permanent tattoos?? Iltemaase Dua.
Answer: It is permissible to have a tattoo if: a. The tattoo allows the water of wudhu and ghusl to reach the skin while performing wudhu or ghusl. b. Having a tattoo does not involve forbidden touch or look. c. The tattoo does not encourage corruption or corrupted ideas or beliefs. d. The tattoo does not have the names of Allah his almighty or Quran script. e. for woman, if that is considered as a beauty item then it must be concealed from non-mehram man ref : email rec from ayatollah sistani d.b. dated July 9, 2012) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalamwalequm janab mai ye janna chahta hu ki mai saudi arab me job kar raha hu waha sab sunni h isliye mai masjid ko nhi jata aur mai office me namaz padhta hu kya wazu shoes pahen kar kiya ja sakta
Answer: Taqiyae ki surat mai joutay aur mozay par masah karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 258) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Hath par ink lagi honay ki surat mai wazoo k baray mai kia hokum hai?
Answer: Agar wo ink pani k khal tk pohnchnay mai rokawat na ho to wazoo shi hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 6, pg # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)