Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10854
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa sir mujhe ye janna h agr hmbistri k bd gusl nhi kiya ho or phr fateha k liy khana bnana shi h ya ghlt...pls rply urgent

Answer: Ghusl e janabat se pehle fatiha k liay khana banaya jaa sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #354-5). Update on dated 28-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10855
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.A sir mera q ye ha k agr koi orat bger intercourse kiy romance krny sy ya husband k hath sy bar bar chuny sy farig ho jay to kia uspy gusal farz ho ga?

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)۔

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10865
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nafs may say shehwat k ktry aaty hain namaz may bht mushkil hoti hai

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai.or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). Update on dated 03-11-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10931
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai agar main apni biwi k sath Leta ho or usko thoda ched dia to Kya main gusal k bad namaz Ada kruga

Answer: Do cheezon sai insaan mujnib hojata hai aik jimaa or doosra mani k kharij honey sai or in dono sai insaan par ghusl e janabat wajib hojata hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 343 and 344). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11036
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ehtelam ke gusal ki niyat keshe kare yani ab ehtelam ho or gusal lena ho to uski niyat Bhi gusale jannatab kehke karni hogi ye ehtelam kehke

Answer: ehtilam hone se ghusal e janabat wajib hota hai lihaza niyyat bhi ghusal e janabat ki hi hogi (mafhoom e masla), (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla # 344). [Updated on 30-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11186
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kaya agar jism mani nikalne ki waja se napak ho to sabon yani soap ke bagir nahen to gusal ho jatah ha?

Answer: 1) Ghusl e Janabat 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai. 1)tartebi 2)irtemasi. 1)Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) 2)Irtemasi ghusl 2 tareeqo sai anjam dia ja sakta hai 1)dafei 2)tadregi. 1)Ghusl e irtemasi dafei mai zaroori hai k aik lamhay k lie pura badan pani mai ghar jae laikin ghusl krnay sai pehlay aik shakhs ka pani sai bahir hona zaroori nhi hai bal k agar badan ka kuch hissa pani sai bahir ho aur ghusl ki niyat sai pani mai gota lagae to kafi hai. 2)Ghusl e irtemasi tadregi mai zaroori hai k ghusl ki niyat sai urfi eitebar sai aik hi dafa mai badan ko pani mai dbo dai aur is ghusl mai zaroori hai badn ka pura hissa ghusl krnay sai pehlay pani sai bahir ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 59-370) 2) Jis jagah mani lagi ho wo hissa pani se aik baar dhone se paak ho jata hay, sabun se dhona lazim nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 156) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11191
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Raat ko sonai k baad agr ehtalam hojai or jiska maloom na ho k kese kharij hoe tu kya gusal wajib hota hai or nimaz k time aankh khulai tu kya gusal e janabat wajid hojata hai ya nimaz k wazo kr k or kaprai change kr k nimaz ko qaim kya jasakta hai?

Answer: Agar ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga (namaz perhne k liay ghusl e janabat karna wajib hoga.). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356). [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11192
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Raat ko sonai k baad agr ehtalam hojai or jiska maloom na ho k kese kharij hoe tu kya gusal wajib hota hai or nimaz k time aankh khulai tu kya gusal e janabat wajid hojata hai ya nimaz k wazo kr k or kaprai change kr k nimaz ko qaim kya jasakta hai?

Answer: Agar ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl wajib hojaey ga (namaz perhne k liay ghusl e janabat karna wajib hoga.). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11204
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mani ko bhr na nikalny diyaa jay or wo wapis chali jay to gusal wajib hoga?

Answer: Mani agar kharij hogi tou ghusal wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,345). [Updated on 02-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11208
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera questiin yeah h k koi banda jub intercrause start karta h... Or wo kisi waja say start main hi chor daita h... Donu hi discharge nahi hoty.. To kia un donu par gussal wajib h??

Answer: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #344 ). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!