Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 11226
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o Alikum Agr ghusal janubat Rat reh jye subha mensis ajye tu Es Surat mAin kya krna chahye?

Answer: Agar koi aurat ko haiz aa jaey to woh ghusl e janabat kar sakti hai aur uska ghusal sahi hoga, aur isi tarah wuzu aur mustahab ghusl bhi sahih hai , albattah ghusl e juma ehtiyaat e lazim ki bina par sahi nahi hoga. (Ref : Ayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Minhaj us Saliheen part 1, Maslah No 233). [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11304
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia lokoria sy orat napak Hoti ha ya sirf kapra napak hota ha.or hr namaz k wqt kapry dhona ya change krna lzmi ha q k ye bht muskil hota ha,. kindly mjy jldi answer dain..

Answer: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota.or aap inhi kaprho main namaz perh sakti hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). [Updated on 08-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11338
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gusal farz ho jay to kya hum masjid ma ja k byth sakty hain?

Answer: Janabat ki haalat mai masjid e nabavi or masjid ul haraam k ilaawa kisi masjid mai teherna haraam hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 354). [Updated on 10-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11349
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA, Halat e Janabat me baal katwana or color lagwana jaiz hai ? kya hum aisa krne k bad ghusal krle to pak ho jaige or apni ibadat kr sakte hain ?

Answer: Halat e janabat mein baal katwana mubah hai, jab keh mehendi ya is se milti julti chiz se khizab karna mujnib ke liay makrooh hai.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail, Edition 41, Masla no 354-355) [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11481
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hambastry sa pehla ana wala qatron Ka alaj

Answer: Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11532
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alikum Mera sawl ye hy k agr aytelaam ho or pta no lgy or suba s shaam tk ke nemazen b phar li hon kia hukum hy? Kia gusal wajib hy ? Kia on nemzen lotana hon gen?

Answer: Jin namazo k bare main osay yaqeen ho keh wo os ne mani kharij hone k baad parhi theen, on ki qaza kare laikin on namazo ki qaza zarori nahi jin k baare main ehtimaal ho keh wo os ne mani kharij hone se pehle parhi theen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#353). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11625
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Humbistari k waqt agar aurat ka mani ni nikle bas mard ka nikle to kya uss aurat pe bhi ghusul wajib hoga ya ni wo paak rahegi, namaz roza kar Sakti hai.

Answer: Ghusl do chezo se wajib hota hay: 1) Mani k nikalne se 2) hambistari se(Intercourse). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #344) (Note: Agar intercourse ke baad mani na bhi nikle tou bhi dono per ghusl wajib hojata he.) [Updated on 20-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11645
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ladkiyon par gusl e janabat kab wajib hota h

Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ethalam hojaye(ek khatra) aur malum na ho tho nmz hojayingi?

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho to wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho to wo mani nahi balke mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota. or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose Mazi kahte hain, wo paak hai chahay jitni miqdar ho. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise Wazi kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise Wadi kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. aur uske sath namaz bhi parhi ja sakti hai.(Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani,Tauzeeh ul masail, masala#70) [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11845
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia janabat ki halat main koe dua sun sakthy hy

Answer: Jee han jaiz hai koe harj nahi. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 354,355) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!