Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9764
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar sex k doran larki farig na ho to us per gusal lazim ha ya ni?

Answer: Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dukhool fraj(agle sharamgah) me ho ya pichle maqam me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur donoo per ghusl e janabat wajib ho hata he.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 348). Update on dated 16-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9771
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar rat ko poora ihtelam na ho kuch drops nijasat k nikal jae to kia gusal lena wajib ha?

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaey keh yeh rutoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jarye gee or ghusul wajib hoga. Aur agar maloom nah ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengi. 1) Shehwat ke saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney k baad badan sust ho jaey. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur teesri alaamat zaroori nahi hay. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345). Update on dated 13-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9781
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar miya bibi raat ko humbestri kr ke subah ka namaz pade toh kya ho zayaz hain ya nhi

Answer: Humbistari k baad, namaz or is jaisi digar ibdaat k liay ghusl e janabat kerna wajib hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #356). Update on dated 15-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9798
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hand job krk privet part ko dhul k nmaj pdh sakte gai ya gusl krna zaruri hota hai..

Answer: Istimna gunahan e kabeera mai sai hai. Mani chahey ikhtiyaar sai nikle ya be ikhtiyaar ghusl wajib hojata hai. (Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah#344). Update on dated 23-10-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9825
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr kapry napak ha to kya (mani lgi us par ihtlam sy) ghushal kr k wohi kapry pehn skta ha?

Answer: Jee haan, laikin agar geela badan os kaprhay k najis maqam se lagae tu badan ka wo hissa najis ho jaey ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #115). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9874
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kesi k bry mai sochny sy many kharij hojaye or ziada na nakly bs halki halki to kya us sy ghusal lazim hy or jb washrm jao peshb krny k lye to usky sath b ek do katry nikl jaye pr wo bilkul white ho to kya ghusul wajib hy

Answer: Agar us rutubat men yeh 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or ghusl bhi karna hoga warna wo mani nahi hogi or sirf wuzu kerna kafi hay. 1- Shehwat k sath nikly. 2- Uchal ker nikalay. 3- Uskay nikalnay k bad badan sust hojaey. Lekin beemar insan k liay yeh kukum nahi hay us say sirif shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi. (Ref: Minhajus Saliheen, part#1, maslah#169). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 20-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9884
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Sir G Sawal: Namaz ki niyat kar ke wazu ke dauran agar banda discharge ho jaye or es ke baad wazu kare ao namaz parhe to kaisa he.?

Answer: Mani k kharij hone k baad namaz k liay ghusl e janabat karna zarori hay or zarori hay k ghusl kar k namaz k liay wuzu nah karay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 344,345,389). Update on dated 17-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9972
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir agar ap ghusal yani janabat ki halat main hain to agar ap geely ya sooky hato sy kisi b chez ko tuch kary ge to wo chez napak ho jae gi maslann kapry

Answer: junub shaks k badan or libas ka faqat wo hissa najis hota hay jis per mani lagi ho or baaqi tamam libas or badan paak rehta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #114). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9975
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa , kia halate haiz mai gusle janabat kia ja skta hy ?

Answer: Halat haiz main agar ghusl janabat kia jaey tu ghusl durust hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus Saliheen, maslah #233). Update on dated 03-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9976
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aya mazi, Jo shahwat se nikle uspe koi bhi qasm ki ghusl wajib he? Or ispe AYatullah Sistani(d.b)ka kya hukm he?

Answer: Agar us rutubat men yeh 3 alamatain hen to wo mani kay hukum men hogi or ghusl bhi karna hoga warna wo mani nahi hogi or sirf wuzu kerna kafi hay. 1- Shehwat k sath nikly. 2- Uchal ker nikalay. 3- Uskay nikalnay k bad badan sust hojaey. Lekin beemar insan k liay yeh kukum nahi hay us say sirif shehwat k sath nikalay tab bhi mani shumar hogi. (Ref: Minhajus Saliheen, part#1, maslah#169). Wo rutoobat jo kabhi kabhi shehwat ubharne par mard k aalah-e-tanasul se kharij hoti hai ose “Mazi” kahte hain, wo paak hai. Ilawah azeen wo rutoobat jo kabhi kabhi mani k bad kharij hoti hai, jise “Wazi” kaha jata hai ya wo rutoobat jo baaz auqaat peshaab ke bad nikalti hai aur jise “Wadi” kaha jata hai, agar peshaab is se nah mila ho to paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #70 ). Update on dated 27-07-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!