Question: Kya humbistari hone ke baad ek din baad gusul karsakte hai???
Answer: Namaz parhnay k liay zaroori hai k janabat ki halat main nah ho lehaaza namaz sai pehle ghusl e janabt karna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 344,345) [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh he k miya se phone pr bat krte hwe agr ghila pan mehsos ho or us se badan b na sust ho or uchal kr b na nikle us se gusal wajib he orat pr yan nai yan nai?
Answer: Badan ka sust hona ya uchal kar nikalana yeh mard ky liay hy na k liay wo rutoobat jo aurat say shahwat k saath khaarij hoti hai agar is hud tak ho keh ose inzaal kaha jaa sake aur libaas ko a’loodah kar de, jo a‘am taur par os waqt nikaltee hai jab aurat jinsee shahwat tak pohanch jaay, to yeh najis bhi hai aur aurat mujnib bhi ho jati hai. ( wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat k waqat apni sharam ghah men mehsoos karti hen or wo ratoobat itni miqdar men nah ho ky doosri jaghah ko aalooda karay paak hy or us k liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan aghr rutoobat is qadar ziada ho k inzaal kehlaey or libbas ko aalooda karay jabkeh sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaey or mukammal razamandi (orgasm ) ho to najis or janabat ka mojib hay balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis or janabat ka mojib hay or in maqamaat par jahan aourat shak kary keh rutoobat is had say ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat k kharij hony men shak karay to ghusl wajib nahi hay or wuzu or ghusul batil nahi hay).Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 345) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 01-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: To ab masturbation k bad gusl janabat kiya jaega ya bas gusl e pak ki niyat karu or naha lu? Masturbation ki tauba karna hoto kia tasbi parhni hai??
Answer: Ghusul e janabat hi krna hoga.or khuda se tauba kerni hogi. (Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #344 ) [Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikom. Aghar penis ko female main andar kia jayee serf andar. Awr phir bagheer kese ekhraj ki wapas nikal dia jayee tu ghusal wajib hota hai ki nahe
Answer: Ji haan ghusul wajib ho jaey ga.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 344) [Updated on 09-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asa ghusal e janabat larkio ke liye kab wajib hota hai or ratubat ka miqdar kitna hona chahiye?
Answer: Agar rutoobat is qadar ziyaada ho k inzaal kehlaaye aur libaas ko aalooda kar day jab k saath saath aurat heejan shehwat ki intiha ko pohanch jaey or mukammal riza mandi ho tu najis hai or janabat ka mojib hai balkeh agar heejan shehwat saath nah bhi ho tu ehtiyaat e laazim ki bina par najis hai or janabat ka mojib hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345). [Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhe private jagah infection hogaya Hai aur waha se pani jaisi chiz nikal rahi Hai to kya mai namaz padh skta hu
Answer: Jab tak aap ko yaqeen nah ho keh wo mani hai tab tak aap namaz parh sakty hen.(Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 70/344) [Updated on 23-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir mein apni girlfriend sey jab bi baat karta hun koi galat baat bi ni karta tu mani kay qatray q nekalty hai kya es kay bad gussal faraz hai
Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan hoon wo mani kehlaye gi. 1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).nikalne k baad badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liya jaey tu libaas paak ho jata hay, or mani k nikalne sai ghusl bhi wajib ho jata hai. Jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein nah ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirif shehwat k saath nikle or baqi 2 almatain nah hoon tu wo mani nahi hay mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusl wajib nahi hota or osi kaprho main namaz bhi ada ki jaa sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156). [Updated on 01-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ghusal krne k baad ghussal k Pani ki cheentain Jo Dewar waghera pe hon or ghusal k baad wo paani ak jism pe dobara lag jae to Kia ghusal dobara krna hoga ?
Answer: Was Salam. Jab kisi par ghusl e janabat wajib hota hai tou us ka jism najis nahi hota lehaza mujnib ko jo pasina aata hai wo paak hai or us ka jism bhi paak hai is liay ghusl ka paani paak hai.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 114). [Updated on 04-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia ala tanasal ko furj k andar dal k so skty hn or es sy ghusal wajib ho jata h bina farigh hony k
Answer: Biwi sai har qism ki lazzat haasil kar saktay hain or faqat dukhool sai ghusl wajib hojaata hai mani ka kharij hona laazmi nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344,348). [Updated on 23-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u alikum sir mera sawal ya hai k rat ko sune k bad jb subbah utta tu mery kapro pai pani laga tha ur mujhe mehsoos tak nhe hua k khwab k duran kisi k sath sex hua ha ya nahe? ur na koi lazzat ya susty mehsoos hue tu is halat me ghussal farz ha?
Answer: Agar aap ko yaqeen ho k ehtilam hoa hay tu phir aap per namaz or is jaisi degar ibadaat k liay ghusl e jabat karna wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #344,356). Update on dated 20-04-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).