Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 28
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: HUM KO YEH KAISE PATA CHALEY KE JO RATOOBAT HUMARE BADAN SE KHARIJ HOI YEH KE AYA YEH MANI HAI YA KOI AUR RATOOBAT.

Answer: Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein pehlee aur dosri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352

Id: 58
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam alaykum, Ghusl janabat ya koi aur wajib ghusl ke baad wazu karna jaeyz hai? khuda haifiz

Answer: Salam un alaikum, Siwaaye Gusl-e-Istehaza-e-Mutawassita key baqi tamam wajib guslon key baad wuzoo kee zaroorat nahi hay, aur wuzu kiye bagair hee namaz ko anjaam dey saktay hein. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe. No. 397

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 170
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam walekum mera sawal yeh hai kai agar kisi shaks ko ahtelam ho to kia us kai liye yeh zarori hai kai woh apni bedsheet aur clothes ko wash kare ya sirf gusl -e- janabat karlena hi kafi hai plz reply me soon waslam

Answer: BedSheet ko paak karna wajib nahi hay,aur kapray agar un umoor main istemaal karay kay jis main kaproon ka paak hona shart hay masalan Namaz to wajib hay kay kaproon ko paak karay.Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.

Id: 242
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my question is that " agar kisii larkay say baat kartay howay rutubat niklay too kia gus e janabt wajib hay ?"

Answer: Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.

Id: 307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal yeih hai ka agar ko e jawan howa aur us ki mani bhi nilalti hai lakin us ko ghusal ka pata nahi tha kay kis tarah kartay hain aur ghusal kay baghir he namaz ada karta raha to ab us ko kya karna chaiyay kya ko e kafara ada karna ho ga

Answer: A.Sistani kay nazdeek us ki namazain batil hain,aur usay tamam namazoo ki qaza karni hogee magar koi kaffara nahi hay.*:Agar usay ghusl kay hawalay say hi maloom nahi tha aur us nay ghusl nahi kiya balkay wuzu kar kay namazain parh lee to wo chahay Jahil-e-Qasir ho ya Jahil-e-Muqassir ho is ko tamam namazoo ki qaza karni hogee.*:Agar usay ghusl kay hawalay say to maloom tha laikin ghusl ka tareeqa maloom nahi tha to agar us nay ghusl is tarah say kiya kay pehlay sar dhota tha to is ka ghusl sahih hay aur agar aisa nahi karta tha to agar wo jaahil-e-qaasir tha to namazoo ki qaza nahi hay aur agar jahil-e-muqassir tha to qaza laazmi hay.....** Jahil-e-Qaasir:Jis kay liye masala maloom karna mumkin na ho...** Jahil-e-Muqassir:Jis kay masala maloom karna mumkin ho aur wo kotahi karay ya jaan boojh kar maloom na karay.Ref:Jadeed Masail Book-2 Pg.No.92,Mujtahid say poochay gaey sawalaat Book-3 Pg.25,Book-1 Pg.No.23.

Id: 373
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya miya biwi k hum bister hone k baad miya ka back side say ana magar kerna wahaan say he jahaan say ejazat hai islam may jaiz hai k nahi?

Answer: bismehi taala, miya-biwi jis tarh bhi dono razi ho ek-dusre se lazzat utha sakte hain. haiz ki halt me jemaa karna jaiz nahi he or maqaad me dukhul nahin karna chahiye.(www.sistani.org. topic: ham bistari q.5)

Id: 397
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: MIAN BIVI IKATHAY HOON KAPRAY BHI UTRAY HOON IKATHAY LIPTAY HOON LEKIN INZAL NA HO TO KIA GHUSAL WAJIB HOTA HAY KE NAHEEN

Answer: bismehi taala, do chizo se insan junub ho jata he awal jema aur duwwam mani k kharij hone se (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 351) (junub hone ki surat me gusale janabat wajib hota he)

Id: 456
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hum bistri karnay kay bad ghusal karna parta hai ager mani na nikle ho to is sorat main ghusal karna partay ga ya nahi

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs jema kare or uzue tanasul supari ki miqdar tak ya us se ziyada orat k faraj me dakhil ho jae to khawah mani kahrij ho ya n ho dono mujnib ho jate hain(ref: tawzihul masail, Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 348) (ghusale janabat karna zaroori hoga.)

Id: 458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr koi shatain ke behkawe me aa kar fahas tasveer dekhe aur us ke ek ya do qatre nikel jae to us ke lie gusal farz hai ya phir wazo kar ke namaz par sakta hai

Answer: b.t. Salam un Alaikum, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352

Id: 471
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aurat ko us ka husband peechay se fuck kur sukta hai?

Answer: b.t. aur peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. REF: www.sistani.org

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!