Question: AoA sir mara sawal ya ha k aurat ko jb anzal hota ha to usay pata chal jata ha kia k us ka anzal ho gaya mtlab wo release ho gai hai. Or agr aurat ko na pata chalay to is ka kia hal ha.
Answer: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwurat k waqat apni sharam ghah men mehsoos karti hain or wo ratoobat itni miqdar men nah ho keh doosri jaghah ko aalooda karay, paak hay or us k liay ghusl nahi hay or wuzu ko bhi batil nahi karti hay, haan aghr rutoobat is qadar ziada ho k inzaal kehlaey or libbas ko aalooda karday jabkeh sath sath aurat heejan e shehwat ki intiha ko puhanch jaey or mukammal razamandi (orgasm ) ho, to najis or janabat ka mojib hay balkeh agar heejan e shehawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyaat e lazim ki bina par najis or janabat ka mojib hay or in maqamaat par jahan aourat shak karay keh rutoobat is had say ziyada puhanchi ya nahi or ya khud rutoobat k kharij hony men shak karay, to ghusl wajib nahi hay or wuzu or ghusul batil nahi hay .Ref:Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 345) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 20-Jan-2024 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey] [Updated on 20-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia janabat ki halat ma balon ko khazab kr skty han?
Answer: Kar sakte hain lekin makrooh hai ke na kiya jaye.( Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani ,Tauzeeh Ul Masail, Edition 41, Masla no 354-355) [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr kisi shakhs ko subh jag k apny kaprun pr koi rutoobat nazar aa jaye lekin us me mani ki alamaten na hun ya use shk hu k alamaten mojud hy ya nahi to iska kya hukm hy???
Answer: Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.62,Masala No.345,Pg.25,Masala No.70. Answered By Quran-o- [Updated on 11-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi shkhs ehtelam ki halat me neend se jag jaye lekin us waqt koi rutoobat kharij nahi huwi hu thori der bad buht choti meqdar me esi rutoobat nikly jis me shk kary k mani hy ya nahi to iska kya hukm hy???
Answer: jab tak mani jisam se baahir na aaye ghusl wajib nahin hota. Lekin agar mani baahir aa jaye to chahe kam hi q nah ho ghusl wajib hoga.agar mani apni jagha se harkat kare laikin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij hoe hay ya nahe tu is per wajib nahe hay. .Agar kisi shakhs kay badan say koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay ye mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo rutoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur uskay nikalnay kay baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar ib teen(3) alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo rutoobat mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemaar ho to phir zaroori nahi kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust ho jaey balkay agar sirf shehwat kay saath niklay to wo rutoobat mani kay hukum main hoge. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #351,344,345). [Updated [Updated on 08-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar sperm nikal aaye anjaane me to napaak honge ya nahi
Answer: Do cheezon se insan mujnib hojata hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se khuwah woh neend ki halat me niklay ya jagtay me , kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke , aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 344 ). [Updated on 17-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gusul jinabat ka bad jo Pasina ata ha Najis ha ya Pak ???
Answer: Pak hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 360) [Updated on 13-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamualaikum Kya intercourse jitni Martabaa Karey utni Martaba gusul Karna Chahiye
Answer: Jima k baad baghair gusl e janabat k doosra jima kerna jaiz hay or aisa karna makrooh bhi nahi hay. aur kafi aik hi gusl kiya jaiga.(Ref: Minhajus saliheen, edition 1439, jild#3, maslah#5,(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#1, maslah #210) [Updated on 08-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Raat ko agar neend mai koi larki dekhay or ausi waqt neend mai janabat ho , lkain jab neend say uthay to janabat ka koii nishan na ho
Answer: Agar koi Khuwab me dekhe ke mani kharij hoi hai aur neend bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin hoi to is se mujnib nahin hota, Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me , kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke , aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla No # 344 ). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mustahab ghusal say pehly wuzu kay baaray me kya fatwa hai? Aur wuzu ka mashah karnay kay baad paoon dho sakty hen?
Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur masla no 634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakhta he agarchah ethiat e mustahabb ye he k wazoo bhi karay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla #389) [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Need mea mjy Bina kisi waja k lazat jese jhatky lagy suba mea khushk thi Kia mea gusal KR sakti hou?
Answer: Agar koi Khuwab me dekhe ke mani kharij hoi hai aur neend se bedaar ho aur dekhe ke mani kharij nahin hoi to is se mujnib nahin hota, Insan Do cheezon se mujnib hota hai aik jima (sex) aur dosra mani ke kharij hone se chahe woh neend ki halat me niklay ya jagtay me , kam ho ya ziada, shehwat ke sath niklay ya beghair shehwat ke , aur uska nikalna ikhtiar me ho ya na ho.. Wo ratubat jo aurat se shewat k saath kharij hoti he agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aaloda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344, 345) [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]