Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16859
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janabat ki halat me imam bargah ja sakty hain

Answer: Jee han, janabat ki halat me imambargah me, jaa sakte hain. lekin masjid e haram aur masjid e nabvi men jana, ya masjid e haram aur masjid e nabvi ke alawa men theherna, ,asjid men koi cheez uthane ke liye daakhil hona haraam hai or ehtiyat e wajib ki bina par imaam e masoom ke asal harm me daakhil na ho jaaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355). [Updated on 08-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16891
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr janabat krte qlwaqt aurat farigh na ho or mard farigh hojaye tou kiya aurat pr gusal hota?

Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar (khatnagha ke maqaam )tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe mard aur aurat faarigh ho ya nah hon, dono junub ho jate hain. (yani mard aur aurat dono par ghusl e janabat aa jata hai). Lekin agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar se kam dakhil ho ya sire se dakhil hi na hua ho balke sirf upar upar se touch hua ho to is surat me aurat par ghusl wajib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #348). [Updated on 12-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16940
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAMOALAIKUM AGAR KOI ISTIMNA KARE AUR APNE MUSCLES KO CONTRACT KR K MANI KO NIKALNE RAUK LE TO KYA US PAR GHUSAL WAJIB HAI AUR SHEHWAT BHI HO LEKIN MANI NA NIKLE

Answer: Istimna (masturbation, mushtzani) aur khud lazzati karna Haram aur Ghunah e kabira hai, aur jab tak mani baahir nah aaye ghusl wajib nahin hota. Lekin agar mani baahir aa jaye to chahe kam hi q nah ho ghusl wajib hoga.agar mani apni jagha se harkat kare laikin kharij na ho ya insan ko shak ho ke mani kharij hoe hay ya nahe tu is per wajib nahe hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #351,344,345). [Updated on 21-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16950
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr gusul wajib hojaye nimaz aayegi

Answer: Agar ghusl wajib ho jaye to is halat me (yani bina ghusl kiye) namaz parhna sahi nahin hai (yani jo namaz ada karna wajib thi wo ada nahin hogi aur apni wajib zimme daari ada karne ke liye ghusl karna wajib hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition 42, maslah #354,356). [Updated on 25-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16963
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اگر ہم حالت جنابت میں ہو اور غسل سے پہلے ہمیں حیض ہو جائے تو کیا ایسی حالت میں قبرستان جا سکتے ہیں

Answer: Halat e janabat aur halat e haiz me qabristaan jaa sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,448). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17013
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusle Janabat kiye bgair Quran prh skty h?

Answer: Halat e janabat me Quran majeed ki tehreer (writing) ko chona Haram hai. isi tarah Quran majeed ki un chaar aayaton ka parhna bhi Haram hai ke jin ke parhnay se sajda wajib ho jata hai, lekin in chaar aayaton ke alawa baaqi poora Quran parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Men ne pochna he k aurat halat e junabat men bachy ko doodh de sakti he

Answer: Jee haan, Halat e janabat men maan apne bache ko doodh pila sakhti hay Q ke Halat e janabat main mujnib par 5 cheezain haram or 9 cheezain makrooh hain. lekin in main doodh pilana shaamil nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355). [Updated on 01-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17141
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sehri se pehle agar mila jae husband ke sath kia fajar se pehle lazmi hai paak hona ?

Answer: Jee han, maah e ramazan main azaan subh se pehle ghusl e janabat karna laazmi or zaroori hai Q ke maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17154
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Paikhana karte waqt pennis se safed(white) paani nikal ta hai wo kya hai aur isse gusul karna zaroori hai?

Answer: Woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain. aur ye rutoobat is surat mein paak hai jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab nah hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70). [Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17184
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaikum... Kya aurat ka aane wala paani najis hai ya paak.... Aksar aurto ko musalsal paani aane ki shikayat rehti hai aise me namaz roza kaise ada ho... Bara e karam wazahat farmaye ?

Answer: Wo rutoobat jo khawateen mulaabat ya shehwat anghez tasawwuraat ke waqat apni sharamghah men mehsoos karti hain or wo ratoobat itni miqdar men nah ho ke doosri jaghah ko aalooda karay wo paak hay or us kay liye ghusl nahin hai aur wuzu ko bhi batil nahin karti hai, Han! agar rutobat is qadar ziyada ho ke inzal kehlaye or libbas ko aalooda kare jabke sath sath aurat hijan e shehwat ki intihaa ko puhnch jaye or mukammal razamandi (orgasm) ho to najis or janabat ka moojib hai balke agar hijan e shahawat sath nah bhi ho to bhi ehtiyat e lazim ki bina par najis aur janabat ka moojib hai aur in maqamat par jahan aurat shak kare ke rutoobat is had se ziyada puhnchi ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone men shak kare to ghusl wajib nahin hai aur wuzu aur ghusl baatil nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345). [Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!