Question: Napaki ki halat me ksi ko sadqa dee saktey hain ?
Answer: Namaz, roza, ya is tarah ki ibadaten jin ke liye wuzu, ghusl ya tayammum ka hona zaroori hai un ke liye pak hona shart hai, lekin sadqa, khairaat ke liye pak hona shat nahin hai, lihaza napaki ki halat me bhi sadqa de sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,356). [Updated on 18-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Maine mushtzani Kari jiska maani aur apni sharmgah ko dho lia haath ko bhi dho lia maani khi pe bhi nhi lga to kya uske baad Qur'an padh skte hai
Answer: 1: Istimna (masturbation, mushtzani) or khud lazzati karna Haram or Gunah e kabira hai chaahe hath ke zariye ho ya sexy film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is tarah ki cheezon ke zariye se ho. Aur istimna karne ki wajah se ghusl e janabat bhi karna parhta hai, ghusl e janabat kiye bager insaan hadas e akbar se pak nahin hota. 2: Quran ki wo ayaat jin ke parhne ki wajah se sajda wajib hota hai in ke alawa poora Quran parh sakte hain albatta is ke ba wujood bhi Quran ki 7 se ziyada aayaat ka parhna makrooh hai. 3: Janabat ki halat me insan ke liye apne badan ka koi hissa Quran majeed ke alfaaz ya Allah Talaa ke naam se chahe woh kisi bhi zabaan mein ho mass karna Haram hai aur behtar yeh hai keh Ambiya(a.s) aur Aimah(a.s) aur Hazrat Zahrah(s.a) ke naamon se bhi apnaa badan mass naa kare. 4: Is gunah ki wajah se Allah taala ki barghah me Sache dil se tauba karen, Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Surah e Tahreem (surah #66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baargah main tauba kijiye. 5: Tauba ka sahi mafhoom ye hai ke sub se pehlay sharmindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain ke is gunah ko dobara anjaam nahin dain gi. 6: Taqwa e ilahi k zariye se is se nijaat hasil ki jaa sakti hai or jin cheezon or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jaye. or Allah talaa ka kasrat se zikr kiya jaye or is se bachne ke liye sakht koshish ki jaye is tarah se ke aap apne ghar walon ko shadi ke liye kahen aur unhen manayen. 7: Isi tarah gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho ya aurat, agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam (jaise ke masturbation, mushtzani) me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. (yani wese to shadi karna aik mustahab amal hai lekin aap ke liye shadi karna wajib ho gaya hai Q ke agar shadi nahin karen ge to gunah me mubtela hon ge). 8: Ghunah ka jab khayal aaye to hameshah yeh yaad rakhain ke Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahe hain or Allah ki na-farmani kar rahay hain. aur koshish karain ke khuch mufeed kaamon main khud ko masroof kar lain jaisay sports, parhayei waghaira, or har os cheez se bachain jo jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karay. Agar khud par qabo nah paa sakte hon to roza rakhain Q ke roza ghunahon ke muqabilay me dhaal ka kaam karta hai. 9: Hazrat Imam Ali Riza (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq waqt e zawaal(e aaftab) 150 baar "yaa quddoos" ka wird karne se dil noorani ho jata hay or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hay. aur waswase ke liye "Laa haula walaa qoowwata illaa billaah" parhain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #544. + link: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 . + Tauzeeh ul Masail, Edition #42, Maslah #344,354,355,2407. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). + Dunya or akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #20. Mafati jinah, pg #208). [Updated on 19-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia janabat ki halat mai face wash kr k towel use karay to kia bo towel nijs ho jae ga isi tarha janabat ki halaat mai kisi bhi fheez ko geelay hathon sai pakray to go mijs hy?
Answer: Janabat ki halat me insaan ka poora badan najis nahin hota, sirf wo maqaam najis hota hai jahan mani lagi hui hai lekin is ke alawa baaqi poora badan paak hota hai, Han agar wo mani badan ke kisi dosre hisse ko lag jaye to wo hissa bhi najis ho jaye ga lekin jahan mani nahin lagi wo hissa paak hai chahe gheela hi q na ho aur kisi doosri cheez (jese towel wageera) ko najis bhi nahin kare ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #115,119). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi Sirf Apne Haath Se Shohar Ki Mani Kharij Kiya To Kis Par Gusl Farz Hota Hai. Kis Par Gusl Nahi.
Answer: Shohar par ghusl wajib hoga, Biwi par ghusl wajib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344). [Updated on 25-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum.....Agr Ahtalam ho jai ksi mard ya aurat ko aur bimar ho lakin ghusal na karo sakta sakti ho tu shariyat ka kiya hukam ha.
Answer: Namaz aur is jaisi ibadaat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. Han agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib(عیب) ya marz ke paida hone ya maujooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya ilaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne ya kisi tareeqe se zarar ko door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ( khatam ) ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,659,709). [Updated on 03-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Humbistari ke baad aurto ka sar se nahana jaruri hai ya bas shoulder se naha ke namaz padh sakti hai jabki thand ka mausam hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aurat ho ya mard sab ke liye ghusl ke tareeqa aik jaisa hi hai. Tarteebi Ghusl ka tareeeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar or gardan dhona aur is ke bad me badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad me baaen taraf se dhoya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360). [Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salaam mera salam yeh hai kia aurat ki sharmgah main ungli dal ke hilane se kia gusal wajib ho jata hai aurat
Answer: Agar is ke nateeje me aurat ki sharmgah se mani kharij ho to ghusl wajib hoga warna nahin. Wo rutoobat jo Khawateen mulaabeat ya shehwat angez tasawwuraat ke waqt apni sharamgah mein mehsos karti hain aur wo ratubat itni miqdar me nah ho ke dosri jaghon ko aaluda kare, pak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko b batil nahin karti hai. Haan Agar rutoobat is qadr ziyada ho ke inzaal kehlaye aur libaas ko aalooda kar day, jabke sath sath aurat heejan shehwat ki inteha ko puhunch jaye aur mukammal raza mandi (Orgasm) ho to najis aur jinabat ka moujib hai. Balke agar heejan shehwat sath nah bhi ho to bhi Ehtiyat-e-lazim ki bina par najis aur janabat ka moujib hai aur un maqamat par jahan aurat shak kare ke ratubat is had se ziyada puhunchi hai ya nahin aur ya khud rutoobat ke kharij hone me shak kare to ghusl wajb nahin hai aur wuzu aur ghusl bhi batil nahin hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,345). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. Mera sawal ye ki shehwat k saath to mazi b kharij hojati hai to kya mazi b najis hui? Lekn mazi to pak shunar kya jata hai na?
Answer: Mani ka mazi, wazi or wadi se farq Insaan ke badan se nikalne wale deegar mayaat (liquids) aur mani ke darmiyan fuqha ne farq bayan kia hai aur mani ke alawa nikalne wale mayaat (liquids): mazi, wazi or wadi ka naam liya hai. Mazi: aisa maaye (مایع liquid) hai jo kam shehwat ya mulabat (ملاعبت) {khaas taur jinsi mizah, chher chhaar waghera} ke mauqa par insaan ke uzoo makhsoos se nikalta hai. yeh maaye (مایع liquid) chiknahat par mushtamil hota hai lekin mani ki alamtain nahin payei jati hain. aur mardon ki nisbat aurton mein ziyada paayei jati hai. Wazi: aisa maaye (مایع liquid) hai jo kabhi kabhar mani nikalne ke baad nikalta hai. Wadi: aisa maaye (مایع liquid) hai jo kabhi kabhar peshaab ke baad kharij hota hai. Shia fuqha ke mutabiq mazi, wazi or wadi najis nahin hain aur is se wudu, ghusl bhi baatil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70, 344,345. + link: https://ur.wikishia.net/view/%D9%85%D9%86%DB%8C#%D9%85%D9%86%DB%8C_%DA%A9%D8%A7_%D9%85%D8%B0%DB%8C%D8%8C_%D9%88%D8%B0%DB%8C_%D8%A7%D9%88%D8%B1_%D9%88%D8%AF%DB%8C_%D8%B3%DB%92_%D9%81%D8%B1%D9%82 ). [Updated on 17-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye ha k agr husband apni bv k hath se mushtzani krwata ha or husband ka discharge bv k hath pr lg jata ha to bv pr gushal wajab ho ga? Note bv disharge nhi hoi just husbnd ka discharge us k hath pr lga ha?
Answer: 1: Faqat shohar mani(semen) biwi ke hath par lagne se biwi par ghusl wajib nahin hota. 2: Albatta ye yad rahe ke agar dono ke darmiyani jima(intercourse) hua hai to faqat jima ke zariye se hi mard or aurat dono junub ho jate hain yani dono par ghusl wajib ho jata hai. 3: Agar koi shakhs aurat se jima (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani (semen) kharij (exit) ho ya na ho, ye dono junub ho jatay hain. (yani mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib ho hata hai). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,348). [Updated on 19-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam Alykum... Agr kissing ke duran mard auraat ko penis se onke vigina ko touching krke os se aurat discharg ho aur mard discharg na ho to kya ghussal wajib ho gya dono pr? Ya sirf auraat pr ghussal wajib ho gya?? Aur mrd pr nahi ?
Answer: Agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani (semen) kharij (exit) ho ya na ho, ye dono junub ho jate hain. (yani mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib hoga). Lekin agar uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar se kam dakhil ho ya sire se dakhil hi na ho balke sirf upar upar se touch ho to is surat me faqat aurat jo ke discharge ho chuki ho, junub hogi. (yani sirf aurat par ghusl e janabat wajib hoga). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,348). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]