Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16585
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum. Agr intercourse k bad nahana mushkil ho pani ki wja sy 1 partner shower lai ly but dosra thandy pani ki wja sy na naha paye but nijasat saf kr ly to kya 1 sath so skty hn ?

Answer: Ghusl e janabat kiye bager sona jaiz hai, aur nah haram hai aur nah hi makrooh hai. lekin jab namaz ka waqt ho to namaz aur is tarah ki ibadaton ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. (Ref: Minhaj ul Saleheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, maslah #5. + Tauzeeh ul masail, Edition #42, Maslah #356). [Updated on 17-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya ehtelam ki halat mai padai kar sakhtay hain?

Answer: Jee han, parhai kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), editon #42, maslah #354,355). [Updated on 25-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16620
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: If the girl experienced weat dream but the three sings of mani are not present then does she will perform gusal?

Answer: Agar sirf is tarah ka khuwab aaye to is se ghusl wajib nahin hota. Lekin agar badan se koi rutoobat kharij ho aur wo ye na janti ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo ratoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karne ka sabab bane gi), lekin agar in teen alamaat main se saari ki saari ya kuch alamaat maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Lekin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rutoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakhe gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345). [Updated on 25-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16678
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir agr monee Kay kxh Qatar fahish video deknay say kapray par lagain to kapray napak Hun gay?

Answer: Jis rutoobat me ye 3 nishaaniyan hon wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat ke saath niklay. 3) badan sust ho jaye. jis libaas par mani lag jaaye to wo jagh napak ho jati hai jis jagh mani lagi ho aur use qaleel pani se aik dafa dhone ke baad agar nichor liye jaaye to libaas paak ho jaata hai. aur mani ke nikalne se ghusl bhi wajib ho jaata hai. Albatta jis rutoobat me ye 3 ya kuch nishaaniyan na hon to wo mani nahin hai misaal ke taur par agar sirf shewat ke sath nikle aur baqi 2 nishaaniyan na hon to wo mani nahin mazi kehlaye gi aur mazi paak hai, aur is se ghusl wajib nahin hota aur libaas bhi napak nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345). [Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16684
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Mera sawal yah hai k ma jab b apny husband k sath betho to mara white Pani kharish Ho jata hai or mujhy phir shak ho jata hai or ma ghusal kr laiti ho Kia ap batye gay k yah Pani Pak hai yah najis plz guide me

Answer: Wo rutoobat jo Khawateen mulaabaat(مُلاعَبَتْ) ya shehwat angez tasawwuraat ke waqt apni sharamghah mein mehsos karti hain aur wo rutoobat itni miqdar me na ho ke dusri jaghon ko aaluda kare, to wo pak hai aur is ke liye ghusl nahin hai aur wuzu ko b batil nahin karti hai. (Note: Mulaabaat(مُلاعَبَتْ) yani aik dusre ke sath khelna ya milna, hansi mazaaq karna, chairr chhar, bose o kinar, gilaay lagana). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #345). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16685
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ٱلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ ٱللَّٰہ Sir mera question yeh hae ky husband ka money wife ko lagy intercourse ky bina to wife py be gusal wajib ho jaye ga? Dusra husband wife ky private part sath play kary to kia es sy be gusal wajib ho jata hae

Answer: 1: Biwi pe ghusl wajib nahin hoga lekin mani lagne ki wajh se wo jagh najis ho gayei hai lihaza namaz ke liye us jagh ko pak karna hoga. 2: Agar is surat me biwi mani mikle to ghusl karna hoga lekin agar mani na nikle to ghusl wajib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #119,345). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera sawal yeh hai ky halat e haiz ky baad or ghusal sy pehly jamah kar skty hain ya nai?

Answer: Haiz se paak hone ke baad aur ghusl karne se pehle jima karna jaiz hai, lekin ehtiyaat e lazim ye hai ke sharamghah dhone ke baad, jima kiya jaye, aur ehtiyaat e mustahab (behtar) ye hay ke ghusl karne se pehle mard is se jima nah kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #457). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16716
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum wa rahmatullahi wa barakatahu/ mera sawal a hai ki na Pak ki halat me Qur'an ki aayat suna sakte hain ya nahi

Answer: Jee han, halat e janabat me Quran ya Quran ki aayat sun sakte hain is me koi gunah nahin hai. balkeh halat e janabat main Quran majeed ka parhna bhi jaiz hai. lekin 7 se ziyadah ayaat ka parhna makhroh hai (yaani 7 ayaat ke baad se sawaab kuch kam milay ga), aur wo 4 aayat parhna jin ke parhnay par sajda wajib ho jata hai, parhna Haram hain lekin sunna jaiz hai. aur janabat main Quran majeed ki tehreer (writing) ko chona bhi Haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355). [Updated on 10-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ahtlam ho jaye or jisam ganda na ho to wazu kar ky namaz ho jaye gi?

Answer: Agar ahtilam ho jaye to namaz aur is jaisi ibadaat ke liye ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,356). [Updated on 21-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16853
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghusal e janabat ka tareeqa

Answer: Tarteebi Ghusl ka tareeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar aur gardan dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen (left) taraf aur baad men baaen (right) taraf se dhoya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360). [Updated on 07-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!