Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15825
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr aurat sir main pani dalna bool jaye to kiya nimaz ho gi

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15855
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A sex k baad pata chala k menses hoye hai to menses khtm hony k baad pehly haiz or pir janabat ka ghusal alag alag kr skty hai ya pir ik saath krna zaruri hai?

Answer: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai. (Note: is fatwe se 2 baatain wazeh ho rahi hain: 1- Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz or ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai. Maslan kisi aurat par ghusl e janabat or ghusl e haiz wajib hai to agar aurat ghusl e janabat niyat se ghusl kar lay to phir us par wajib nahin ke ghusl e haiz bhi anjam day. 2- Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam de or phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #387). [Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15863
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya halat e janabat Mai hambistari jaiz hai

Answer: Jee han, jaiz hai.aik dafa jima karne ke baad dobaara gusal janabat ke begaire jima karna jaiz hay or makroh bhi nahe hay laikin ahtelaam (mani nikalne ke baad ) gusal karne se phele jima karana makroh hay ,laikin jaiz hay . (Ref: Minhaj us saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1439, jild #3, maslah #5). [Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16020
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ky janabat ki halat mai majlis karsakte hai?

Answer: Janabat ki halat men 5 chizien haram hain: 1) Apne badan ka koi hissa Quran Majeed ke alfaz ya Allah taala ke naam se mas(touch) karna. 2) Masjid ul haram aur Mausjid-e-Nabawi mein jaana, khuwah aik darwaze se dakhil ho kar dosre darwaze se nikal aaye. 3) Masjid ul haram aur Mausjid-e-Nabawi ke alawa dosri masjidon mein theherna, aur ehtiyat-e-wajib ki bina par aimah(a.s) ke harm mein theherne ka bhi yehi hukum hai. Laikn agar in masjidon mein se kisi masjid ko ubour kare, maslan aik darwaze se dakhil ho kar dosre se bahir nikal jaye to koi harj nahin. 4) Kisi masjid mein koi cheez rakhne ke liye dakhil hona. Ahtiyat-e-wajib ki bina par yehi hukum masjid se koi cheez uthaane ke liye bhi hai chahay masjid mein dakhil nah bhi ho. 5) Un aayaat mein se kisi aik ka parhna jin ke parhne se sajdah wajib ho jaata hai. wo aayatien: (1) Surah-e-Mubaraka Sajdah aayat #15. (2) Surah-e-Mubaraka Haa-meem Sajdah aayat #37. (3) Surah-e-Mubaraka Wan Najam aayat #62 (4) Surah-e-Mubaraka Alaq aayat #19 mein hain. Albatta agar Aurat mimbar par beth kar zakiri kar sakti hai, majlis ke farshe aza par ja sakti hai or majlis karsakte isi tarah taboot ki ziyarat kar sakti hai. laikin agar ye cheezen kisi masjid me hon ya kisi Imam ke Harm me hon ya majlis, masjid ya kisi Imam ke Harm me ho rahi ho to Janabat ki halat me wahan nahin theher sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354). [Updated on 25-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16035
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shuhar sirf hip main sex kry to kya aurat par ghusal wajib hoga?

Answer: Agar koi shakhs aurat se jimma (intercourse) kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij(Exit) ho ya na ho dono junub ho jatay hien. (yani mard or aurat dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai) lekin agar aisa nahin hua yani uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil nahin hua (na farj me aur nah hi dubur me) to aurat mujnib nahin hogi, aur mard ki bhi agar mani kharij huei hai to mard mujnib hoga lekin agar mani kharij nahin huei to mard bhi mujnib nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348). [Updated on 05-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16052
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: In our masjid, no time is give for 16 rakat asr nafila prayers. As soon as zuhr jamat prayer is done, asr is started right away. My question is: Should I skip Asr jamat so that I can read 16 rakat of Asr nafila or forgo nafila and offer Asr with Jamat?

Answer: 1: Namaz e asr ko jamaat ke sath parhen aur nafila ko baad me qaza kar ke parhen is liye ke jamaat ke sath namaz parhne ki buhut fazeelat warid hui hai. 2: Mustahab hai insaan yomiya namaz ko jamaat se parhay, muatbar riwayaaton mein manqool hai ke jamaat ke sath namaz parhna furada namaz se 25 guna afzal hai aur namaz subah, maghrib or isha khusoosan masjid ke parosi ke liye aur is shakhs ke liye jo azaan ki aawaz ko santa hai ziyada takeed ki gai hai aur isi tarah mustahib hai ke doosri wajib namazon ko jamaat ke sath parhay lekin ehthyat e wajib ki bana par namaz tawaf aur namaz ayaat, sooraj aur chaand girhan ke alawa jamaat se parhna saheeh nahi hai. 2: Mustahab hai insaan intzaar kare taake namaz, jamaat se parhay aur woh namaz e jamaat jo mukhtasir parhi jaye us furada namaz se jis me tool di jaye, behtar hai aur isi tarah namaz e jamaat, us namaz se jo awwal e waqt me furada parhi jaye, behtar hai. 3: Be ehtinahi barattey howe namaz jamaat main shareek nah hona jaiz nahin hai aur insaan ke liye yeh munasib nahin hai ke bagair uzr ke namaz jamaat ko tark kare. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1873,1874,1875). [Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16060
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamoalaykum condom se humbistari kare our mani ka katra wife per na gire to kya us halat me wife per gusal wajib he

Answer: Aurat par ghusl phir bhe aaye ga Q ke agar koi shakhs, aurat se humbistari kare aur uzo e tanasul (penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil (enter) ho jaye to chahe ye dukhool farj (vagina/agli sharamghah) me ho ya dubur (anal/pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij (exit) ho ya na ho, chahe condom ya is tarah ka cover use kiya ho ya na kiya ho, dono junub ho jatay hien. (yani mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib ho hata hai). (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348). [Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16096
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nend mai mani nikal jaye tho ghusal kar k namaz padna padega ya wahe jaga saf kar namaz aida kar sakte hai

Answer: Sotay (yani neend ki halat) men mani k kharij hone ko ehtilam kehtay hain. Aur do cheezen ghusl e janabat ka sabab banti hai: aik Jima (intercourse) karna aur dorsri Mani(semen) ka nikalna, ab chahe mani, neend ki halat main nikle ya jaagte men, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikale ya baghair shehwat ke aur iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. lihaaza sote me mani kharij ki wajah se aap par namaz aur is tarah ke ibadaton ke liye ghusl karna wajib hai. Aur us jagah ko bhi paak karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,344,356) [Updated on 19-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16131
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Husband wife close hone ke baad jaldi pani q nahna chahiye??

Answer: 1: Insaan do cheezon se mujnib ho jata hai. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani (semen) ke nikalne se, chahay mani neend ki halat main nikle ya jaagte main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikle ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahin. aur namaz aur is jesi dosri ibadaat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. 2: Agar koi kisi bhi tarh (Jima se ya Mani (semen) ke nikalne se) aur kisi bhi waqt mujnib ho jaye to usi waqt ghusl kar sakta hai. lekin is par fouran ghusl karna bhi wajib nahin hai balke namaaz se pehle ghusl kiya jaa sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #344,356,1605). [Updated on 28-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16147
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Mani nikly ehtlam ma pr kapro pe na lagy or fori Tor pe peshab kr k saaf kr li jaye agy se rok kr kia namaz parh skty wazo kr k

Answer: Jee nahin, agar ehtilaam hua hai to chahe mani kapron pe nahin na bhi lagi ho tab bhi namaz ke liye ghusl karna zaroori hoga. Q ke Insaan do cheezon se mujnib ho jata hai. 1. Jima(intercourse) se 2. Mani (semen) ke nikalne se, chahay mani neend ki halat main nikle ya jaagte main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikle ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahin. aur namaz aur is jesi dosri ibadaat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,356). [Updated on 31-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!