Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 415
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shukrane aur hajat ki namaz ka treeka kya hai . what is the procedure of ahukrana and hajat namaz

Answer: bismehi taala, shukrane aur hajat ki namaz ko namaze fajar ki tarh hi padhi ja sakti he aur is ka koi khas tareeka mazkoor nahi he (ref: tawzihul masail Aytulla Seestani (d.b.) masaala no.774)

Id: 424
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz-e-Shab ada karnay ke liye peechli tamam farz Namazain ada honi zaroori hai?

Answer: bismehi taala, jis shakas par kisi namaz ki qaza (wajib) ho woh musthab namaz padh sakata he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1382)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 598
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum mujhe tahajjud ki namaz ka complete tarika bataie ye

Answer: w.s. namaze shab ki 11 rakaato me se 8 nafela-e-shab ki niyyat se aur 2 rakaat namaze shafaa ki niyyat se aur ek rakaat namaze vitr ki niyyat se padhi jati he aur nafela-e-shab ka mukammal tariqa dua-o ki kitabo me mazkoor he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.773)

Id: 686
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam alaikum,,,,,namaz-e ghufaila ko maghrib aur isha k darmiyan padhna chahiye,,,chahey maghrib isha ki namaz hum kabhi bhi qaza hone se phle padhe,,,ya koi specific time he ki azan k 1hrs k ander ho jani chahiye,,,,plz suggest

Answer: w.s. maghrib ki janib ki surkhi k chale jane k sath hi namaze ghofyla ka waqt khatam ho jata he, albatta baad me namaze ghufiyla padi ja sakti he (ref.www.sistani.org/arabic/saltul gofayla/q4&5)

Id: 729
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,namaze Nafla aur mustahab namaz bahar k ulawa kia ghar me bhi chalte phirte parh sakte he,agar koi buhut masroof ho tu kia hukum he,plz reply

Answer: Mustahab namaz raasta chaltay hoay or sawari ki halat main bhi perhi jasakti hay or in dono halato main zarori nahi k namazi ka rukh qiblay ki janib ho. (ref:Ayat ullah Ayat Ullah Seestani (d.b), (D.B), Tauzee hul masail, Maslah #769).

Id: 1786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun Alaikum: What niyyat I do when I reciting 4 rakaat Namaz Jafar-e-Tayyar, Thanks

Answer: A person should offer prayers with the intention of Qurbat, that is, complying with the orders of the Almighty Allah. (ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b., 01-28- 2011)

Id: 2399
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Can you tell me the procedure of Namaz -e-Abuzar Gaffari R.A. or kindly gave me the link. thankinhg you. Mohammad Haider

Answer: Please refer to the books that mention that. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : August 1, 2011)

Id: 2639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam o alaicum mujhy btaeen k shukranay k nawafil ya wese hi agr nafal prhny hon tau uska time kab kab hota he waziha btaye ga shukria

Answer: Yomia namazon ki mustahabat(nawafil) ka wqt moyin hai jese Zuhar ki nafila(jo k 8 rakat hen) zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke wqt parhi jati hen or us waqt tak baqi rehta hai jab tak inko namaaz-e-zuhar se pehle ada krna mumkin ho, isi tarah Asar ki nafila(jo k 8 rkat hen) asar se pehle parhi jati hen, Magrib ki nafila(jo k 4 rkat hai) maghrib ke bad parhi jati hen or jahan tk mumkin ho ise magrib ke waqt ke andr anjam diya jaye. Esha ki nafila(jo k 2 rkat beth kr parhi jati hen) ka waqt Isha ke bad aadhi raat tak hai, or behtar hai ke ise baad-e-esha foran parhliya jaye. Fajar ki nafila(jo k 2 rkiat hen) is se pehle pahri jati hen, or is ka waqt namaz-e-shab ke waqt ke itni der bad hota hai jis men namaz e shab pahri ja sake.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #756,757,758,759,760).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2870
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: eid ul adha ka phrny ka tarika complete

Answer: Eid-e-qurban ki namaz 2 rakat hai,jis ki har rakat mai alhamd aur surah k baad 3 takbirain parhi jaein aur behter hai k pehli rakat mai 5 takbirain kahi jaen aur har 2 takbir k darmiyan aik qunoot parha jaey, aur 5th takbir k baad aik aur takbir kahay aur ruku mai chala jaey aur phir 2 sajday anjam day aur 2nd rakat mai alhumd aur surah k baad 4 takbirain kahay aur har 2 takbir k darmiyan qunoot parhay aur 4th takbir k baad aik aur takbir keh ker ruku mai chala jaey aur ruku k baad 2 sajday karay aur tashahud or salam parh ker namaz tamam karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1500). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 3760
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, Ramzan ka chand dekhnay ki namaz batai? plz inform me .thnx.

Answer: Riwayat hai k har islami mahinay ki pehli tareekh ko 2 rakat namaz parhay. Pehli rakat mai surah e al-hamd k baad 30 martaba surah e ikhlaas aur doosri rakat mai surah e al-hamd k baad 30 martaba surah e qadar parhain. Namaz k baad kuch sadqa dain aur wo dua parhain jo takeebaat e namaz mai darj hain. (ref : Takeebaat namaz pocket size pg # 15) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!