Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16966
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shab e barat ke gusl ki Niyat aurat kaise kare

Answer: Chahe mard ho ya aurat, niyat ke alfaaz dil se guzrna ya zaban se ye kehna ke "me shab e baart ka ghusl karti hon qurbatan ilallah" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai, yani pata ho ke me ghusl kar rahi hon ye kaafi hai, alag se alfaaz ada karna zaroori nahin hain.albatta aytullah sistani sahab ke mutabiq 15 shabaan ke gusal ka mustahab hona sabit nahe lehaza is 15 shabaan wale gusal ko zarori hay ke rija (yani is umeed ke sath ke allah ko matloob ho )ki niyat anjaam dia jaay (or zarori gay ke niyat me mustahab ki nahe na ki jaay ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #930,635). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17032
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya kable juma sunat namaj -e- juma ke bad padsakte hain

Answer: Namaz e juma ke baad qaza ki niyat se parh sakte hain, Q ke nafila (sunnat) namazon ki qaza karna mustahab hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #723). [Updated on 26-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17066
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Question: jamat se pehle ki konse rakat namaz padh sakte hain? Jaise Fajar mai azan k bad ham 2 Sunat adaa kar saktye hain aise sab namazo ky batta dain please?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Mustahab (sunnat) namazen buhut se hain jinhen naafil namazen bhi kehte hain. Rozana ki mustahab namazen, jume ke din ke alawa 34 rakaten hain. In me se Do(2) rakat subah ki jo naafila e fajar ki niyat se namaz e subah se pehle parhni hain. Aath(8) rakat zuhr ki jo do do kar ke naafila e zuhr ki niyat se zuhr se pehle parhni hain. Aath(8) rakat asar ki jo do do kar ke naafila e asar ki niyat se asar se pehle parhni hain. Chaar(4) rakat maghrib ki jo do do kar ke naafila e maghrib ki niyat se namaz e maghrib ke baad parhni hain. Do(2) rakat isha ki jo naafila e isha ki niyat se isha ki namaz ke baad ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhni hai is liye ye aik(1) rakat shumaar hoti hai. Giyarah(11) rakat namaz e shab ki hain jin ka waqt mashhoor qaul ki bina par aadhi raat hai. Giyarah(11) rakat me se Aath(8) rakat do do kar ke naafila e shab ki niyat se is ke baad Do(2) rakat namaz e shafa ki niyat se aur is ke baad aik(1) rakat namaz e witr ki niyat se khare ho parhni hai. Lekin jumme ke din zuhr aur asar ki solah(16) rakat nafil par chaar(4) rakat ka izaafa ho jata hai, Aur behtar hai ke ye poori ki poori bees(20) rakat zawal se pehle parhi jayen siwaye do rakat ke jo zawal ke waqt parhna behtar hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #752 to 761). [Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17426
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujy kindly ye bta dain k agr tahujd ki nmaz prhni ho to esha ki nmaz kesy prhain phr.? R sunt 4 frz 2 sunt 2 nafl .ab agy wiatr hum tahujd ki nmaz k baad prhain gain .lkn jo esha k 2 nafl hoty wiatr k bad wo kab prhain???

Answer: Note: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. 1: Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhein ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. 2: Isha ki nafila (jo ke 2 rakat beth kar parhi jati hain) ka waqt isha ke bad aadhi raat tak hai, aur behtar hai ke ise isha ke fauran baad parh liya jaye. 3: Namaz shab (tahajjud) ki total 11 rakat hain in me se 8 rakat namaz shab ki niyat se 2, 2 rakat kar ke parhi jati hain, phir 2 rakat namaz-e-shafa ki niyat se parhi jati hain, is ke baad 1 rakat namaz-e-witr ki niyat se parhi jati hai 4: Namaz e shab ka waqt raat ki ibtidaa se shuru ho jaata hai (yani maghrib-o-isha ki azaan ke waqt se subah ki azaan ke waqt tak baaqi rehta hai) lekin behtar yehi hai subah ki azaan ke qareeb parhi jaye. Agar koi shakhs us waqt bedaar ho jub fajar tulo ho rahi ho to ada aur qaza ki niyat ke baghair namaz e shab ada kar sakta hai. aur agar namaz e shab ka waqt baqi na rahe to baad main qaza ki niyat se ada kar sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752,753,& 756 To 762). [Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19603
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Sir mea sawal ye hai k mea accident hwa tha uski waja se Dr ne kaha hai k Beth kar namaz paro chair par. Ab baz mustaib namazon beth kr parne se ek rakat sumar Hoti hai to aur par mustaib namaz k rakat 4 hain to Meri to 2 rakat hongi ya 4?

Answer:

Id: 19798
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Kiya namaz e vitar jamaat k sath adaa ki jati hai

Answer:

Id: 20084
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam elekum mere kuch sawallat hain : 1) kia namaz-e-shab parhna bohat zaroori hai aru na parhne wale ko gunah mile ga. 2)namaz kai liye libas mein kon kon si cheezon ko chupana zaroori hai. 3)kia majlis mein niaz ki niyyat sai jaana jaiez hai. 4) islam mein larke aur larki kai darmiyan mohabbat kai bare mien kia hukum hai shukaraya wsalam

Answer:

Id: 20261
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: sir jee agar mujhse 4 rakat sunnat miss ho gayi hai aur maine jamat ke sath farz pardh liye hai tu main 4 rakat sunnat nimaz ke baad pardh sakhta ho ya nahi mujhe iska 5 times nimaz ka batana hai apne acha yani ke fajar zohar asar magrib isha ki sunnat ke bare main batana hai agar miss ho jaye tu uska tareeqa kiya hai thanks

Answer:

Id: 21646
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: 1. AB WINTERS KO MAUSAM START HO GAYAH HAY .TO GAS NAHI HAY AUR HAMMAY COLD WATER SAYWQZU KARNA PARTA HAY.KIYA APP HANDS AND FACE TOWEL SAY DRY KAR SAKTAH HAY WAZU KAY FORAN BAD. 2. MA APNI QAZA NAMAZAY BHI ADA KAR RAHA HOO.MA NAY FAJAR KI ADA KAR DI HAY AUR ZOHAR KI BHI ALKOST DONE HAY. NAMAZ SHAB 3 RAKAT ( SHAFA TWO . WITAR ONE) PARTHA HOO TAQREEBAN 10 BAJAY .KIA TIME THEEK HAY KIYO K MA ABHI STUDENT HOO AUR AGE 24 HAY.KIA APP NAMAZ SHAB ISHA KI NAMAZ KAY FORAN BAD ADA KAR SAKTAY HAY.AKSAR VILLAGE JANA HOTA HAY TO WAHA JAGA BHI NAHI AVAILBLE AUR BAQI RELATIVES KO BATA BHI NAHI SAKTA IS LIYAH UN SAY TAQIYA KIA HOTA HAY AUR NAMAZ KO YA ACHAY AMAL KO MA DOOSRAY K SAMNAY KARNAY SAY SHARAM MAHSOOS KARTA HOO TO KIA APP ISHA NAMAZ KAY BAD FORAN NAMAZ SHAB ADA KAR SAKTAY HAY. 3.LAST 2 YEARS SAY BEMAR BHI HOO ANXIETY KA PROBLEM HAY. HEART RATE BOHAT TEZ HO JATA HAY AUR DOCTORS NAY TENSION KA KAHA HAY. QUESTION YAH HAY K PEHLAY MA ROZA POORAH RAKHTA THAA LAKIN AB IS RAMZAN 1433. HIJRI SIRF 4 RAKHAY BOHAT MUSQIL SAY. AB MERAY OPER QAZA KIA HAY. JAB K MERI EDUCATION ( ACCA ) ABHI COMPLETE HONAY WALI HAY US KAY BAD ARTICLESHIP AUR JOB.ROZA RAKHNA AB MERAY LIYAH BAISAY ZAHMAT HAY.

Answer:

Id: 22577
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: I Love Islam ·!!! اسلام و علیکم و رحمتہ اللہ آج کا بہت اہم سوال اگر کسی شخص کی عید کی نماز کی ایک رکات چهوٹ جاےء تو وہ اپنی نماز پوری کیسے کرے گا..... قرآن و حدیث کی روشنی میں اور مستند دلیل کے ساتهہ بتایئں

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!