Question: Kia fajr ki namaz sunat parhay bagair qabool ho jati hai?
Answer: Jee, Mustahab namaz ko perhna lazim nahi hay or is k baghair bhi wajib namaz durust shumaar hoti hay. [Updated on 26-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar hum isha ki nmaz me 3 witar e bajaye 3 farz parh lain, phr sajda e sahav b Karen lain to kya krna pary GA
Answer: 1) Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Isha ki nafl 2 rakat beth kar parhi jati hai. aur fajar ki terah parhi jae gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752-55) 2) Islam main 3 rakat nafila namaz nahi hay. Note : namaz esha 4 rakaat wajib hote hain jo har haal me perhna zarori ,chae mustahab or sunnat us ke baad perhe ya na perhe (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752) [Updated on 17-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam kia ham sukrane ki namaz main sirf wajebat ada ker sakte hain ?
Answer: Mustahab ya Sunnat sai muraad har wo hukm jis ko karney mai sawab ho lekin na karney mai koi gunah na ho lehaza agar namaz mai faqat wajibaat ada kie jain or mustahabaat ko tark kar dia jaey ya nafil namazein chorh di jaey to namaz sahi ho jati hai albatta behtar hai k mustahabbaat ko tark nah kia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2366 ) [Updated on 29-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fajr me sunnat parhna lazmi h?
Answer: Nafil parhna laazim nahi hai wo mustahab hai lehaaza tark kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 752). [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salamkia fajar ki nmaz me 2 rakat farz k sath 2 rakat sunnat prhna b zrori he or o b farz rakat se phle
Answer: 1) Nafil parhna zaroori nahi hai wo mustahab hai lehaaza tark kia jaa sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 752). 2) Fajar ki nafal(sunnat) namaz e fajar sai pehlay perhi jati hai laikin agar koi shakhs subah ki nafal mashriq ki surkhi zahir honay tk na parhay to is surat mai behtr ye hai k pehlay subah ki namaz parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 760) [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr imam juhar 4 sunnat na pade to namaz padha sakta hai ya nahi
Answer: Nafila namazain alag mustahab hain in ka namaz e jamat se koi talluq nahi hota hai, is lie chahay imam e jamat ne nafil namazain na bhi parhi hon tab bhi namaz e jamat parha sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1434) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Yadi fazar ki namaj chhut Jaye to Kya Eid ki namaj hogi?
Answer: G han bilkul hogi, Q ke Imam a.s. k zamana e hozoor mai eid ul fitr aur eid e qurban ki namazain wajib hain aur in ka jamat k sath parhna zaroori hai. laikin hamaray zamanay mai jab k imam a.s. gaibat mai hain, ye namazain mustahabb hain aur ba-jamat aur furada donoo terh parhi ja sakti hain. aur fajar ki namaz ki qaza parhni hogi, Q ke fajar ki namaz khud wajib namaz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1497) [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is sunat necessary in fajar kasar safar
Answer: Is website per fiqhe jaferia ke mutabiq jawabaat diae jate hain. jee han, fajar ki mustahab namaz parh sakte hen laikin wajib or zarori nahe hay . zuhur aur asar ke nawafil safar mein nahi parhni chaiye aur agar isha ke nawafil rajaa ki niyyyat se parhe jaye to koi haraj nahi. (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla #755) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Wo kon sy 3muqam hain jaha mustahab ko farz sy pehle anjam diya jata ha
Answer: Fajr, zuhr or assr ki namaz wajib namaz se pehle on ki nafil namaz parhhi jati hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 130-131). [Updated on 15-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Simple routine mai Zohar ki namaz k sirf Farz parh skty hein? I mean azan hony k bd e bss farz parhna theak hy ? (Sunnat or nawafil chor k)
Answer: Jee bilkul jaiz hai kyun k nafil parhna mustahab hai wajib nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 malsah no 752). [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]