Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12987
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sunnat namaz ki teesri rakat mn surah fatiha k sath koe or surah parna bhool jay to kis tara namaz ki corrextion ki jay

Answer: Islam main 3 rakat nafila namaz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #752). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14230
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shia hazrat sunnat Namaz kyu nhi pharty

Answer: Sunnat namaz perhna sawab ka kaam hay laikin wajib o lazim nahi hay. lehaza agar koe sunnat namaz nah perhe tu azeem sawab se mehroom ho jata hay laikin phir bhi gunahgaar shumaar nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #752). Note: Kafi Shia hazrat mustahab namazain perhte hain. mustahab namaz ko nafil bhi kehte hain. Agar aap masajid main jaa kar daikhain tu aap per wazeh hoga keh maghrib or isha ki namaz k baad on k nawafi arhe jaate hain. [Updated on 15-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15129
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe wehem shak hota hai k shukrana k nafil mene parein h k nhi tau m kia karu

Answer: Agar koi shakhs shak kare keh mustahab namaaz parhi hai ya nahin aur us ka koi muqarrar waqt na ho jaise “namaaz-e-jafar-e-tayyar” to use samajh lena chahiye keh nahin parhi. Agar us mustahab namaaz ka yaumiah nawafil ki tarah waqt muqarrar ho aur us waqt ke guzarne se pehle shak kare keh use anjaam diya hai ya nahin to us ke liye bhi yahi hukm hai. (yani samajh lena chahiye keh nahin parhi). Laikin agar waqt guzarne ke baad shak kare keh woh namaaz parhi hai ya nahin to apne shak ki parwah na kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1185). [Updated on 04-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15281
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal yeh hai k mene dekha hy bht se log 4 rakkat sunnat ya farz ko 2 2 rakat me parhty hain matlb 4 sunnat ki 2 rakat parh kr salaam pheir kr phr baqi ki 2 parh kr salaam pheirty hain... kya yeh karna jaiz hai?

Answer: (Note: Is website par Fiqh e Jafferiya (Shia Mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Islam main 4 rakat nafila(sunnat) namaz nahin hay.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15392
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سنت نماز میں غلطی ہو جائے تو کیا کرنا چاہئے

Answer: nafl namaz mai agar aisi galti ho jaaye jis sai namaz baati hojaati hai tub bhi us namaz ka dobaara parhna zaroori nahi hai lekin agar dobaara parh le tou usey nafl namaz ka sawab milay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 mafhoom e maslah 752) [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15445
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam u alaikum. Kia nawafil ki namazo me tasbeeh parhna or har nawafil ki rakat me duaa mangna mushatahab hai?

Answer: Is website per fiqhe jaferia ke mutabiq jawabaat diae jate hain. Namaz main sirif Quarn or dua(ya salawaat) or Allah k zikr main izafah kernay ki ijazat hay,is k alawa ki ijazat nahi.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1121,1122). [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15868
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is a method to recite zeyarat e ashura...like if to stand and direct ourselves to the shrine of Imam Hussain or can we read it anywhere (sit or stand) ? And is namaz compulsory after it ?

Answer: 1: Ziyarat e Ashura kabhi bhi or kaheen bhi isi tarah khare ho kar ya bath kar bhi parhi ja sakti hai. 2: Ziyarat e Ashura ke baad namaz parhna zaroori nahin. (Ref: link; https://mafatih.net/?p=2025 + link; https://mafatih.net/?p=3169 ). [Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16091
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya har fareeza namaz ke baad Allah swt se apne haq mein ya dusron ke liye dua maangna wajib ya zaruri hai? Aur agar bhool kar ya jaan bujh ke chod diya jaye toh iske liye koi saza ya nuqsan hai? Kya ise chodna jayez hai?

Answer: 1: Jee nahin, wajib aur zaroori nahin hai aur agar koi jaan boojh kar nah parhe to koi saza ya nuqsan bhi nahin. aur ise jaan boojh kar nah parhna bhi jaaiz hai. 2: Mustahab hai ke insaan namaz ke baad kuch dair ke liye taqeebat yani zikr, dua aur quran majeed parhe, (ya maslan apne liye ya apne azeez o aqaarib ya momineen, mominaan ke liye dua kare), Behtar ye hai ke namaz ke insaan apni jagh chorne aur wuzu, ghusl ya Tayemmum batil ho jane se pehle ru ba-qiblah ho kar taqibaat parhey. yeh zaroori nahin ke taqibaat arabi zaban main hon laikin behtar hai ke insaan wo duayen parhe jo duaon ki kitbon main batayei gayei hain aur tasbeeh Fatima Zahra (s.a) in taqibaat main se hai jin ki bahut ziyada takeed aayei hai. yeh tasbeeh is tarteeb se parhni chahiye: 34 dafa Allahhu Akbar, 33 dafa Alhamdu lillahi aur 33 dafa Subhanallahi. Aur Subhanallahi, Alhamdu lillahi se pehle bhi parha jaa sakta hai. laikin behtar hai ke Alhamdu lillahi ke baad parhe. 3: Insan ke liye mustahb hai ke namaz ke baad sajdah-e-shukr baja laye aur itna kafi hai ke shukr ki niyyat se paishani zameen par rakhe laikin behtar hai ke 100 dafa ya 3 dafa ya 1 dafa shukran lillahi ya afwan kahe aur ye bhi mustahb hai ke jab bhi insaan ko koi nemat mile ya koi musibat tal jaye, sajdah-e-shukr baja laye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1109,1110). [Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16239
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agha Jan mera sawal yeh hai k hum 2 namazen ek sath mila kr parhte h ye behtr h ya har namaz juda juda adaa krna zarori hai? Fazilat ka hisb kya hai

Answer: 1: Aik waqt main 2 namazain parhna jaiz hain. yani namaz e zuhar se farigh ho kar namaz e asr ko parha jaaye aur isi tarah namaz e magharib se farigh ho kar namaz e isha ko parha jaaye. aur beshak hamary nabi(s.a.w.w) ne is tarah zuhar aur asr ki namaz aur maghrib aur isha ki namaz ko baghair majboori ke jama kar kw parha tha. lekin afzal ye hai ke tamam namazon ko alag alag un ke fazeelat ke waqt main parha jaaye balkeh awwal e waqt main parha jaye. 2: Namaz e Zuhar ki fazilat ka waqt zawal aur shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdaar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say char 4 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai. 3: Namaz e Asr ki fazilat ka waqt shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say 6 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai. (ye waqt os waqt ka hay jab shadeed garmi na ho aur jab shadeed garmi ho to in dono namazon ki fazilat ka waqt shakhis ke barabar aur shakhis ki dugni (double) miqdaar ke darmiyaan baghair faaslay ke hai). 4: Namaz e Magharib ki fazilat ka waqt us ke liye jo musafir nahin hai magharib se shafaq ke chale jane tak yani humrae magharibiya (magrib ki surkhi) aur jo musafir ho us ke liye fazilat ka waqt raat ke 1/4 hissay tak hay. 5: Namaz e Isha ki fazilat ka waqt shafaq ke chale jane se yani humrae magharibiya se raat ke aik 1/3 hissay tak hai). 6: Namaz e Subah ki fazilat ka waqt fajr se lekar subah ke asmaan par zaahir hone tak hai, aur awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz parhna afzal hay. Isi tarah tamaam fazilat ke waqton me jaldi karna pehle bataye gaye waqtoon par afzal hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #964 to 969). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16529
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sallam Total 5 waqt nimaz mein kitne rakat hein farz or sunnat ans nawafil

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Or fiqhe jafferia ke mutabiq rozana 5 namaze wajib Hain namaz zohar 4 rakhat , namaz asar 4 rakhat ,namaz maqrib 3 rakhat ,namaz esha 4 rakhat or namaz fajar 2 rakhat Hain .insan agar safar me ho tu 4 rakhate namaz sharaait ke Sath 2 rakhate hote hain. Mustahab namaze bhut se Hain jinhe nafil namaze bhe khete hay roza ki mustahab namaze ye jumme ke ilawa 34 rakhate Hain Jin me se 8 rakhate zohar ki ,8 rakhate asar ki ,4 rakhate maqrib ki 2 rakhate esha ki ,11 rakhate namaz shab ki laikin jumme ke din zoharor asar ki 16 rakhate pe 4 ka izafa Hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#717,752 ) [Updated on 03-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!