Question: fajr mai farz ke baad sonat
Answer: Farj ki 2 rakat sonnat namaz hay jo fajir se phely parhi jati hay. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #752,760 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: aslamo alikum mera sawal ye hai k kia hum fajar ki namaz ki sunat ko faraz raqaat k bad parh sakty hain k nai.
Answer: Fajar ki nafal(sunnat) namaz e fajar sai pehlay perhi jati hai laikin agar koi shakhs subah ki nafal mashriq ki surkhi zahir honay tk na parhay to is surat mai behtr ye hai k pehlay subah ki namaz parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 760)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia qasar namaazoon may tahhajud ki namaaz phar sakty hain
Answer: Jee han safar mai namaz e tahajud parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 782-55)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu alaikum mujhe malum krna hai ki 4 rkat sunnat namaaz ki hr rkat mai kya padhna chahiye?
Answer: Mustahab namaz mai sirf al-hamd per sakte hai. aur doosra surah parhna zaroori nahe hai. Laikin agar koi shakhs baz aisi mustahab namaz in k ahkam k mutabiq parhna chahae maslan namaz e wehshat k jin mai makhsoos surtain parhi jati hain to zaroori hai k wohi surtain parhay.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #973 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AoA, g mujhay ye malom karna hai k kya asr k bad koe nafil namaz nahi hote aur nahi hi quran pak ki tilawat kar saktay hai???
Answer: Namaz e Asr ki nafla 8 rakat namaz hai jo namaz e asr sai pehlay 2 2 kar k parhi jati hai. Aur quran ki tilawat to har waqt kar saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 757)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam mera sawal yeh he k krabala ki atraaf ki ziarat me 2rakaati mustahib namaz khre hokr parh sakti hoon
Answer: Nafal namazain halat e ekhtiar mai bhi beth kar parhi ja sakti hain aur ye bhi zaroori nahi hai k 2 rakatoo ko aik rakat samjha jae albetta behtr hai k inhain kharay rah kar parhay. Zaroori hai k namaz e isha k nawafil ehtiyat e wajib ki bina par beth kar parhain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 754 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: As salam alaikum.. Janab m yeh puchna chahti hu ki sirf farj namaz ada kr skte h kya?
Answer: Wssalam o alykum, G han bilkul ada kr sakte hen, sunnat ka ada karna wajib nahi hai, albatta sunnat namaz ka bhi apni jag ape both sawab hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 752 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Kya shukrane ke nafal beth kar ada kar sakte hein?
Answer: Jee haan. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 754 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: tahjudf namaa ke liye kya Pancha waqt namaaz padhna zaroori hai.kya kaza namaaz Ada Karen ye wajib hai ?
Answer: Rozana ki panjgana namazein wajib hai or namaz e tahajud mustahab e moakkada hai.wajib namaz har haal mai ada karna zaroori hai albatta ye wajib namazein mustahab namaz k liay shart nahi hain.(Ref:tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 753) Update on dated 17-08-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Nmaz e mughrab me kitna frz or kitna nmafil hota hnn
Answer: Maghrib ki wajib teen rakaat hain or nafil 4 rakaat hoti hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 752) [Updated on 13-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]