Question: Assalam o Alaikum When me and my wife are offering prayer (Namaaz) to gether, but furada not jamaat. where will the place of my wife to stand with me for prayer (Namaaz)? Parrellel to me, Little back to me or behind me. Thanks
Answer: Salam un alaikum,As an obligatory precaution(aihtiyat-e-Lazim), women should stand behind men while praying. At least, her place of Sajdah should be in line with his thighs, when in Sajdah. Ref.http://sistani.org/html/eng/menu/3/inside/98.htm
Question: what should b the distance b/w ladies and gents while offering prayers,give me answer acc. to aqaye khoi sahib & aqaye seestani sahib.
Answer: A.Sistani kay nazdeek : Namaz parhtay waqt aurat ko mard say itna aagay kharay hona chahiye kay mard kay ghutnay rakhay ki jaga par aurat kay sajda karnay ki jaga ho aur Aihtiyat e Mustahib ye hay kay mard kay kharay honay ki jaga par aurat kay sajda karnay ki jaga ho.aur agar dono saath saath kharay hon to beech main koi aisi cheez Haail honi chahiye jis ki wajah say dono aik dosray ko na dekh sakain ya phir dono kay darmiyan 10 haath ka faasla ho.Is masalay main Mehram aur Na mehram aur Shohar aur Bewi main koi Farq nahi hay.Ref: Minhaajus Saliheen A.Sistani Pg.182,183 Masala No.545.... A.Khoie kay nazdeek : Agar mard aur aurat aik saath kharay hon ya aurat aagay ho to in kay darmiyan koi deewar ya pardah ya koi doosri cheez Haail ho kay jis say wo aik doosray ko na dekh sakain ya phir in dono kay darmiyan aik baalisht ka fasla hona chahiye.aur agar 10 haath say kam faasla ho to namaz makrooh hogi.Ref: Tauzeehul Masail A.Khoie Pg.163,Namaz parhnay ki jaga (6th shart).
Question: salamun alehkum janab mera sawaal ye hai ke mai madene me rahta hu our maine ye suna hai ke haram me jo jagah RIYAZUL JANNA hai usme sirf farz namaaz he pad sakte hai & RIYAZUL JANNA me kaleen bhi padi hai to is par namaaz padney ka kya hukm hai
Answer: Jee nahi riyazul janaanh main wajib or mustahab her qisam ki namaz perhi jaasakti hay bal k bohat ziyadah mustahab hay.is k alawah masjid e nabavi k or jagah bhi namaz perhna mustahab hay.laikin qaleen per sijdah kerna sahi nahi hay,balkeh wajib hay k sijdah zameen per kerna sahi hay or her os cheez per kerna sahi hay jo zameen say ugti hon,laikin insaan nah tu osko khaatay hon ,nah pehentay hon or naahi wo maadniyaat(minerals) main say ho.maslan mitti(sand),lekri(wood),darkht k pattay (leaf),sang e marmar(marble),patthar(stones),aqeeq(stone for finger ring), ghaas (grass),cement floor,kaagaz(paper) etc. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 854-880,1063-1070) .
Question: some people say that women cannot offer prayer in front of na mehram.is it right or wrong?
Answer: Jee nahi,auratm, merd k saamnay namaz perh sakti hay.laikin ehtiyaat e laazim ki bina per zarori hay k aurat merd say kam az kam itna peechay kharhi ho keh is k sijday kernay ki jagaah sijday ki halat main merd k guthnay rakhnay ki jagaah say aagay nah ho.agar aurat merd k baraber ya aagay kharhi ho or dono aik hi waqt main namaz perhnay lagain tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay namaz ko dobarah perhain or yehi hokum hay agar aik,dosray say pehlay namaz shuru kerdain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#874 & shart#6).
Question: A.A,mera sawal ye hai ke agar room men bichey hue carpete per bachay ne peshab or pakhana kia hua ho yani carpete napaak ho to us ke uper jaey namaz bicha kr namaz parrh sakte hen ya nahi?
Answer: Agar namaz prhnay ki jigha najis ho aur najasat aisi ho jo namaz ko batil kar danay wali ho to itni martoob(gilli) na ho k is ki ratoobat namaz parhnay walay badan ya libas tak pounchay. Lakin agar sijday me peshani rakhnay ki jigha najis ho to chahae wo khusk bhi ho namaz batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # namaz parhnay ki jigha ki panchwe (5) shrt) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namazi k aage se guzarna sakht gunah hai to namazi apne aage kia rakhe or satra ka minimum size kia hai
Answer: Agr koi shakhs logo ki rahghuzar(aam rasto) per namaz perh raha ho ya koi or shakhs is k saamne khara ho to namaze k lye mustahab hai k apne saamne koi cheeze rakh le or agr wo cheeze lakri(wood) ya rassi(roop) ho to bhi kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #886 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam 0 alaikum Mein ya jana chtaa hoon, agr mard ghr mein namaz parhay tou us ka koi nuksanat tou nahi ya agr hai tou wo kia hai.
Answer: Islam ki muqaddas shariyat main bohat takeed ki gae he k namaz masjid main perhi jay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 880). Mutaber riwayaat k mutabiq baa jamaat namaz , namaz e furada(alone) namaz se 25 guna afzal he.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1381) Bay perwaahi barat,tay hoay namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or insan k liay ye munasib nahi he k baghair majbori k namaz e jama,at ko chorhay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: me sudan me kam karta hu mere kamre me 7 log rahte he me jaha namaj padhta hu uske peeche hindu ke but ke tasveer he kya me waha namaj padh sakta hu
Answer: Jee haan aap os jagah namaz perh saktay hain.Laikin aisi jagah namaz perhna makhrooh hay jis gagah photo ho chahay nanamzi k saamne nah ho.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 854-886). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Road pe Namaz Parhna jaiz hai ya nai ? agar jaiz hai to wo kese or agar jaiz nai to wo bhi btaen
Answer: 1.Sarhak(Road) aur gali kochay may namaz parhna makrooh hay magar ye k ghuzarnay waloo k liay baa-ise zehmat nah ho aur agar inhain zehmat ho tu in k rastay may rokawat dalna haram hay. 2.Agar koe shakhs logo ki ghuzr gahoo par namaz parh raha ho to namazi k liay mustahab hay k apnay samnay koe cheez rakh lay aur agar wo cheez lakrhi ya rassi ho tu to bhi kafi hay.) Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 885-6). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: tasveer ya ainay ke samnay aap ki nazar na jaey tu namaz kabool huti hai ya nahi?
Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)