Question: A.O.A mera swal ye hai k hum zuhrain or maghrebain k lye ek ek azan q dety hen jo k hum tanqeed ki wja ban gya ha or jama slawtain ka Quran se koi refernce hai to wo b btaieye... dua go... mohsin ALI HAQ . . .
Answer: 1) Aam suratoon me jab k namazi mushtarak waqt rakhnay wali do namazoo ko pay dar pay(aik k baad aik) ada karay, agar is ne pehli namaz k lie azan kahi ho to to bad wali namaz k lie azan saqit he.in soratoon main azaan saqit honay ki shart ye hay k do namazo(yani zohor or asr ya maghrib or isha) k dermiyaan ziyada faasla nah ho laikin nafil namaz or taqibaat perhnay se koe faraq nahi perhta(yani ye kaam faasla shumaar nahi hotay) or ehtiyaat e wajib ye hay k in soratoon main azaan mashroo,eyat ki niyat se (shariyat ka hokum samjh ker) nah kahi jay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 909). 2)Quran ki sorah e bini isra,eel(sorah#17) ki ayat#78 main jama salatain ka zirk khuch is terah kia gaya hay k “Aap zawaal e aaftab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezaam kia gaya hay”. (Ref: Allama zeshan Hiader jawadi k tarjuma e quran ka pg#613) 1st Note: wazeh rahay k Quran e kareem ne namaz k 3 hi awqaat biyaan kiay hain. 2 namazo ko zawaal e aaftab se wabasta kia hay or 2 ko tareeki e shab se or 1 ko fajar se layhaza 3 awqaat per ayteraaz kerna naa waqifiyat ki wazeh daleel hay. (Ref: Allama zeshan Hiader jawadi k tarjuma e quran ka hashiyah ka bayaan, pg#613) 2nd Note: yaad rahay k kisi ko razi kernay ki khatir hokum e khuada ko tabdeel nahi kia jaskta.her cheez ko Islam per qurban kia jasakta hay laikin islam ko kisi cheez per qurban nahi kia jasakta. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam magreeb ki azan kitni dere take de sakte hai 10 mintes take de sakte hai
Answer: Zarori he k azaan aur iqamat, namaz ka waqt daakhil honay k baad kahi jay or maghrib or isha ki namaz ka waqt mukhtaar shaks(jis ko koe majobori nah ho) k liay aadhi raat tak rehta hay is liay jab tak maghrib or ish ki namaz ko os k waqt k andar perhna mumkin ho tu os waqt maghrib say pehlay azaan or iqmat kahi jasakti hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #723-4, 922). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: azan ka massla
Answer: 1)Har mard aur aurat k liay mustahab he k rozana ki 5 wajib namazoo se pehlay azan aur iqamat kahay .or aisa kerna dosri wajib or mustahab namazo k liay mashro nahi(bid’at/haram) hay.laikin eid e fitr or eid e qurban say pehlay jabkeh namaz ko baa jama’at perhain tu mustahab hay keh 3 mertaba “as salaah” kahain. 2)Azan 18 jumlo per mushtamil he aur iqamat 17 jumlo per mushtamil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 903-906)
Question: azan ka sahi jawab dene ka tareeqa kia hai
Answer: Agar koe shakhs kisi doosray ki azaan jo ai’laan ya jama’at ki namaz k lie kahi jaay sunnay to mustahib he k is ka jo hissa sunnay khud bhi ose aa’hista aa’hista dhoraay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 914) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: DURING MAJLIS AGAR AZAAN HO RAHI HAI TO TAQREER KO ROK DENA CHAHIYE YA NAHI
Answer: Agar koi shaks kisi dusray ki azan jo aylaan ya jamaat namaz k liay kahi jaey,sunay tu mustahab hai k uska jo hissa sunay khud bhi ahista ahista dohraeay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #914). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ha ke azan ke waqat bat karna mana ha ya nahi .yani apas me ghar me bhi bat karna mana ha ya nahi thanks
Answer: Agar koi shaks kisi dusray ki azan jo aylaan ya jamaat namaz k liay kahi jaey,sunay tu mustahab hai k uska jo hissa sunay khud bhi ahista ahista dohraeay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #914). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Doran e azaan baat kerna jaiz hay laikin mustahab hay k azaan k nkalimaat ko dohraya jaay.
Question: azan bagar wazoo ho sakti hai ya nhi tfsil bayn kary
Answer: Mustahab hai k azan kehtay waqt insan wazoo ya ghusl ki halat mai ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 925)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz e tahajud ke liye speaker main aazan dena kaisa hae
Answer: Namaz tahajjud me azan o akamat nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 903) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aoa ... mera question hai k kya women azaan k foran baad namaaz parh skti hain ya aqamat k baad parhain???
Answer: Mard or orat k liye mustahab hai ke rozana ki wajib namazo se pehle azaan o iqaamat kahe. Or esa karna dosri wajib ya mustahab namazo k liye mashroo(yani jaiz) nahi hai. Iqamat kehna wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 903 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: MAIN SUADI RAHTA HO AZAN AUR IQAMAT KE LIY BAAT KI TAQRARR HOGI
Answer: Azan o Iqamat wajib nahi balke mustahab hai. Namaz k liay alag se sahi azan o Iqamat kahi jain sunni azan o iqamat kafi nahi hay.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 903 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).