Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10797
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai k Ghar mein Zohrain ki namaz me jab zohar ki namaz parh li jaye to kya asar parhne se pehlay iqamat ka parhna zaroori hai?

Answer: Iqaamat zaroori nahi mustahabbat mai sai hai agar kisi bhi namaz sai pehle na kahi jaey tu namaz sahi hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail aytaullah seestani edition 41 maslah#903) [Updated on 19-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Farz namaz ghr me pharne me iqamat pharna lazmi ha or kya baghir papers ke ghr me namaz qabul ho sakhti hai

Answer: har mard aur aurat ke liay mustahab hai keh rozana ki wajib namazon se pehle azan aur aqamat kahe aur aisa karna dosri wajib ya mustahab namazon ke liay mashroo nahi.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Maslah#903). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اذان کے غلط ہونے کا نماز پر کیا اثر پڑتا ہے

Answer: Azan k ghalat hone se namaz batil nahi hoti. (mafhoom e masla) (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 903). [Updated on 11-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12290
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia hm pehli saff k left end ya right end py khary ho kar iqamat keh skty hen ??

Answer: Keh saktay hain.(Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Maslah#903). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozana ki namaz me azan aur eqamat ka kya hukm hai

Answer: har mard or aurat k liye rozana ki wajib namazon sai pehle azan or aqaamat ka kehna mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 903). [Updated on 05-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13106
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal he ke agr fajar ka waqt ho jai or azaan na ho tou kia hum azaan se pehle namaz parh sakte hen

Answer: Agar fajar ka Sharee waqt dakhil hone ke baad or Azaan se pehle fajar ki namaaz pharhi jaae to namaz sahi hai, lekin ager Sharee waqt dakhil hone se pehle namaz pharhi jaae to namaaz batil hai. aur Namaz sai pehle azan o iqaamat ka kehna mustahab hai in k baghair bhi namaz ho jati hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani edition # 39 maslah # 729,903)- [Updated on 07-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14518
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma na ghusla janabat ke halat main nomolud bacha ka kaan ma azan da de ha. Kia kia jay ab. Plz rahnumai farmay

Answer: Taharat ke bager azan o iqamat kahi ja sakti hai, azan o iqamat ke liye taharat ka hona zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #315,356,904). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14851
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ladki ki rukhsati ke waqt azan dene ka kya hukm hai

Answer: Sharaei taur par is ka koi hukum nahin hai. Q ke Azan o Iqamat ka do mawarid men kehna mustahab hai. 1. Har mard or aurat k liye rozana ki wajib namazon sai pehle azan or aqaamat ka kehna. 2. Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men azan or baain kaan men iqaamat kehna. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #, maslah #903,904). [Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15233
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mera sawal ha k aqamat Kon parh skta ha mean k koi Jawan ya bazurg ya Jo phly aajay aqat wali jaga py please rehumai farmyiye

Answer: Azan dene ke liye baaligh hona shart nahin hai, yani mumayyiz bacha (jo ache, bure ko samajhta ho), or jawan, or buzurg sab azaan de sakte hain. Albatta Iqaamat kehne men baaligh hona shart hai, yani Ehtiyat e lazim ki bina par mumayyiz bachay (jo ache, bure ko samajhta ho) ki Iqaamat dena kafi nahin hai balkeh zaroori hai hai ke baaligh Iqaamat de chahe wo jawan ho ya buzurg is men koi farq nahin hai aur is men bhi koi farq nahin hai ke Iqaamat agli saf men khare ho kar kahi jaye ya bad wali saf men. yani koie bhi desakta hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, page #216). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15417
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ایک اذان بولنے سے کتنا ثواب ملتا ہے

Answer: Jo shaks azan o iqamat k sath namza perhe tu os k peeche malaeka ki itni taweel saf namaz ada karti hay keh saf ka aakhri sira nazar nahi aata, or jo shaks iqamat k sath namaz perhe tu os k pechae farishta namaz perhta hay.(Ref: Sawabul amaal o iqabul amaal, sheikh sadooq pg#39) [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!