Question: AOA, mera sawal ye k ek no molood bache ko beemari ki wajh se bina ghusal k Azaan o aqamat de sakte hn?
Answer: jee bilkul dee jaasakti hai is mai koi harj nahi.(Ref:https://www.sistani.org/arabic/qa/02003/). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr office ma azan ki awaz nahe aa rhe, tu kya ham hod azan dy sakty hain?
Answer: Har mard or aurat k liye rozana ki wajib namazon sai pehle azan or iqaamat ka kehna mustahab hai. Laikin wajib nahe hay ,is ke begaire be namaz hosakte hay ,lehaza agar office ki taraf se koi mana nahin hai azaan di ja sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #903). [Updated on 20-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k kan ma azan Dana bhol gay hoon Tu Kia nuksan Hoga???
Answer: Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men azan or baain kaan men iqaamat kehna mustahab hai. Agar azaan or iqaamat na kahi jaye to is se nuqsan nahin hoga. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #904). [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz ke aalawa kitni jagaho par aazan dena mustahab he
Answer: Azan or Iqamat do jagahon par kehna mustahab hai. 1. Har mard or aurat ke liye rozana ki wajib namazon se pehle Azan or Iqamat ka kehna. 2. Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men Azan or baain kaan men Iqamat kehna. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #, maslah #903,904). [Updated on 31-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Iqaamat k bad namaz foran parrna chaie hai ya nasihat karsaktay hain..k line waghaira tik karay ???
Answer: Is tarah ka amal kiya jaa sakta hai lekin Iqaamat aur namaz ke darmiyan ziyada faasla nahin hona chahiye, lekin agar Iqaamat aur namaz ke darmiyan itna faasla ho jaye ke wo Iqaamat us namaz ki Iqaamat shumaar nah ho to Iqaamat baatil ho jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #920). [Updated on 05-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia azaan khoobsurat awaaz me deni chahie
Answer: Khoobsurat awaz me Azan dena Jaiz hai, Albatta agar Azan aur Iqaamat mein awaaz ko gale mein ghumaye aur kaifiyat yeh ho ke gina ho jaye yani is tarah kahe jaisa ke lahu-o-laib ki mehfilon mein awaaz nikaalne ka dastoor hai to woh Haram hai aur agar gina na ho to makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #908,925). [Updated on 12-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k kaan m azaan deny k shrait kia h
Answer: Bache ki pedaish ke pehle din ya naaf ukharne se pehle us ke daain kaan men azan aur baain kaan men iqaamat kehna mustahab hai. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #904). [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bachy k kaan m azaan deny k shrait kia h
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia qaza namaz baghair Aqamat k parhi ja sakti Hy
Answer: Jee han, parhi jaa sakti hai, balke ada namaz bhi Iqamat ke baghair parhi jaa sakti hai. Q ke rozana ki wajib namazon se pehle Azaan o Iqamat kehna wajib nahin balke mustahab hai aur mustahab amal ko jaan boojh kar baghair kisi majboori ke chhorha jaa sakta hai. (Ref: Tuazeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #903). [Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia qaza namaz baghair Aqamat k parhi ja sakti Hy
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 20-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]