Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7854
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salamun Alaykum Kya mummaiz bachcha azan aur iqamat kah sakta hai aur kya uski azan namaze JAMAAT me dusre logon ke liye kafi hogi? Shukriya

Answer: Wssalam o alykum, Azaan kafi hai, lekin ehtiyat ki bina iqamat dene wale ko balig hona chahiye.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , topic # Azan o Aqamat ki sharait main 2 or 3 shart , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8359
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: HELLO ASSLAMUALAIKUM JANAB MERA SAWAL YE HAI KI AZAN TEZI SE MERA MATLAB LOUDLY KYO HOTI HAI KYA VAZAH HAI ISKI YE JARUR BATAYE

Answer: Wssalam o alykum, ager ap Azan ke loud speaker per hone ki waja pochna chahte hain to ye logo ki zarorat ke lehaaz se hai, kun ke Shariat e Muqaddasa main is ka loud speaker per hona or na-hona dono jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 925 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8560
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mozin ka adil hona kia hai

Answer: Mustahab hai k jis shaks ko azaan dene per muqarar kiya jaay wo aadil ho. Laikin azaan dene k lie aadil hona zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #928). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As Salam , kon kon c azazn k waqat uth k beathna chahiye,

Answer: Jo shaks kisi ko azaan o iqamat khete sune to mustahab hai k jitna hissa sune utna hissa (khud bhi ) khe. laikin azaan k waqt uth k baitna zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #926). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8664
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Azan or aqamat kehna zaruri hai? If yes tou us main kia kehte hain?

Answer: Azan o iqamat mustahab hain. Or azan o iqamat k liay is link http://www.sistani.com/urdu/book/61/3637/ per click karain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #903). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9317
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sunni aur shia azaan alag kyun hai?madine me to sunni azan hoti hai to nabi s.a.w.w ke zamane me bhi to sunni azan hi hoti hogi.

Answer: Shia hazraat nabi s.a.w.w or on k ehl e bait a.s k bataey hoay raaste ki pairwi kerte hain or qiyaas ko deen main dakhil nahi kerte, sunnat e nabi s.a.w.w or sunnat e ehl e bait a.s or degar ashaab e paighaber bhi osi azaan ko kaha kerte thay jo aaj kal shia hazraat kehte hain. Mazeed tafsilaat k liay aap is lin per click karain. (Ref: http://www.sadeqin.net/ur/shobahat.php?mod=4&id=25 ). Update on dated 15-02-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9983
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal hai kia ladies namaz say pahle azan o aikamat parh sakti Hain ya nahi?? Kia ladies k liye parhna zrori hai????

Answer: Mard or orat k liay mustahab hay keh rozana ki wajib namazo k liay azan kahain. Ref: (Aayat-ul-Allah Seestani (d.b), Tauzeehul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 903 ) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10186
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Azan ka jikr Quran me kounse surat me aur kounsi aayat me diya hai aur koi aur hadis me bhi iska jikr hai kya

Answer: Surah maaida ayat#58, surah juma ayat#9, in ayaat main azaan ki taraf ishaara kia gaya hai is k alawaa ahadees main tu mufassal tour par azaan ko bayaan kia gaya hai, Riwayaat k mutaalay k liye kitaab wasaelush shia ki taraf rujoo karein. [Updated on 15-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10202
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaj padte waqt kisi dusri masjid ki azaan ho to kya namaj jari rkhe Jwab kese de

Answer: Azaan ka jawab dena wajib nahi hai lehaza aap par laazim hai k namaz ko jaari rakhain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 914). [Updated on 24-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10772
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it important to listen to Azaan and then offer prayers?

Answer: jee nahi namaz sai pehle azan o iqaamat mustahubaat mai sai hai in k baghair bhi namaz ho jati hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 903) [Updated on 14-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!