Question: Eid ki namaj me iqamat kab kahi jayegi
Answer: Har mard aur aurat ke liye mustahab hai ke rozana ki 5 wajib namazon se pehlay azan aur iqamat kahay aur aisa karna dosri wajib ya mustahab namazon ke liye mashro(مشروع) nahin (balke bidat/haram) hai. lekin eid e fitr aur eid e qurban se pehlay jabke namaz ko baa jamaat parhen to mustahab hai ke 3 martaba “as salaah (الصلاۃ)” kahen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #903). [Updated on 09-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aoa...aqamat is compulsory in every namaz...whether it is wajib or nafal? by ayatullah sistani
Answer: Har namaz ke liye nahin hai balke faqat rozana ki 5 wajib namazon se pehlay azan aur iqamat kehna mustahab hai aur aisa karna dosri wajib ya mustahab(nafil) namazon ke liye mashro(مشروع) nahin (balke bidat/haram) hai. lekin eid e fitr aur eid e qurban se pehlay jabke namaz ko baa jamaat parhen to mustahab hai ke 3 martaba “as salaah (الصلاۃ)” kahen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b) edition #42, maslah #903). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam..mera do sawaal h: 1) kia agr asar aur isha ki namaz se pehle aqamat ada kr di jae o sahi hoga ya phir usse pehle zuhr ya maghrib mai azan aur aqamat dno dena zaroori h? 2)kia aap mjhe wajib hijaab ki sharait bata skte h? agr koi aurat abaya ya coat na pehne lekin apne aap ko dupatta se mukamal dhanp le to kia yeh jaiz h? aur agr uska libas colored ho to kia hukm h? kia hijab mai jagah k hisaab se uska andaaz badla jaskta h? maslan market area mai abaya pehn li jae aur ksi k ghr jana hot dupatta pehn lia jae....pls mjhe iska answer zaroor de ga
Answer:
Question: السلام علیکم جمعہ کے دن دو اذانیں کیوں دی جاتی ہیں اور کب سے شروع ہوئی
Answer: