Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 308
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi nay jan kar wazoo kay baghier namaz ada ki halan kay wo janta hai kay us ka wazoo namaz mein toot gaya hai hai lakin wo namaz mein raha to ab kya karna chiyay us ko

Answer: Agar Namaz kay doraan hadas waqay ho jaey to namaz toor kar wuzu karna zaroori hay.Lihaza aap ki zimmedari hay kay agar waqt baqi ho to namaz dobara ada ki niyyat say anjam dain aur agar waqt khatam hogaya ho to us namaz ki qaza karain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.301.

Id: 1040
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Mein beghabri(La elmi)mein Surah Hamd kay bad Ameen kahta raha hoon to kia mujhe tamam namezay dobara parney ki zaroorat hai ya nahi ?

Answer: Ghalti say aameen kahnay say namaz batil nahi hoti (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah# # 1117(4) ).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1690
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar 4 rakat mein tash-had k baad ya pehle wazoo toot jaaye to wazoo k baad dobara 4 rakat shuroo se parhenge ya jaha se wazoo toota wahin se parhenge

Answer: Wazoo ka batil hona namaz ka batil hona hai aur dubara wazoo kar k puri namaz parhni ho gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1113 shart # 2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2153
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mulvi sahab mera ye sawal ha k kya namaz main seene pr haath bandhna aur rafaulyadain krna jaiz ha agr nahi ha to aurat aur mard kyun alag alag namaz parhte hain 1 seene pr aur 1 naaf kay neechay.

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Apnay hathoon ko aajizi aur adab ki niyat se baandhnay se namaz ehtiyaat e wajib ki bina per batil ho jati hay.or agar namaz main haath baandhnay ka kaam shariyat ka hokum samajh ker karay tu aisa kerna haram bhi he .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1113 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2523
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salamalekum. mera sawaal yeh hai ke kya namaz me ajilfarajahu jo hazir imam ke liye bola jata hai bolsakte hai ke nahi?

Answer: Jee haan jaiz hay Q k Namaz me quran parhne or dua karne me koi haraj nahi hai or ye bhi aik dua hai aur is ka parhna jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1122)

Id: 3118
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q:Hath Chor kar Nimaz Parna kesa?

Answer: Namaz ko haath khool ker perhna zarori hay.or agar koe shaks haatho ko aajizi ya adab ki niyat baandhay tu os ki namaz ehtiyaat ki bina par batil hogi.or agar is kaam ko mashroo,iyat(shariyat ka hukum samajh ker) ki niyat se anjam day tu is kaam k haram hone main koe ishkaal nahi.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1116). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3545
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kuch log namaj padhte waqt muh me kuch khate he to kya unki namaj kubul hoti he

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. 1-Mubtilaat e namaz may say aik khana pina hay. Agar koi shakhs namaz k doran is terah khaay k loog ye nah kahain k namaz parh raha hay to chahay os ka ye amal jaan boojh kar ho ya bhool chook ki wajah say ho, os ki namaz batil hojati hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Topic: Mubtilaat e namaz ki shart # 10, maslah #before 1141 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3711
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,ma ya pochna chahta ho k kia hum nimaz parhta hova agr azan ki awaz sun raha ho to kia HAZRAT MUHAMMAD PBUH ka name pa during namaz darood bhej sakta ho?

Answer: Jab bhi Insan Hazrat Rasool e Akram s.a.w.w. ka ism e Mubarak maslan Muhammad s.a.w.w. , Ahmed s.a.w.w. ya laqab aur quniyat maslan Mustafa s.a.w.w. , aur Abul Qasim s.a.w.w. zaban say ada karay ya sunay to chahay wo namaz may hi q na ho mustahabb hay k dorood bhejay. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1111). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)

Id: 3968
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main ye janna chahata hu ke jab hum niyat karte hai to hath kaha bandhne chahiye

Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Ye cheez mubtilaat e namaz main se hay k insaan apnay hatho ko aajizi or adab ki niyat se bandhay laikin is kaam ki wajah se namaz ka batil hona ehtiyaat ki bina per hay or agar mashroiyat ki niyat se anjaam day tu is kaam k haram honay main koe ashkaal nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1116). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4659
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam - mera sawaal ye h ki kya namaz mai kisi kaam ka ishara kar sakte h

Answer: Namaz main hath se ishara kerne main hoe haraj nahi. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1138). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!