Question: Kea Namaz k doran bchey ka jhula jhula saktey hein
Answer: Namaz ko baatil karne waali cheezon mein se hai ke koi aisa kaam kiya jaye jis se namaz ki shakl baaqi na rahe. Is bina par Agar jhoola jhulane ko urf e aam me ye samjha jaye ke namaz ki shakal kharab nahin hui or namaz ke afaal or azkaar ko sahi taur par baja laa rahe hain to phir jhoola jhula sakte hain lekin is ke baraks agar urf e aam ye samjha jaye ke ye to namaz nahin ho rahi balke namaz ki shakal hi kharab ho gayei hai to is tarah ka amal anjam nahin de sakte. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, page #185, befor maslah #1139). [Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nimaz may aysa konsa kam krnay say nazar ja sakti hai
Answer: Nazar se aap ki kya murad hai ? Waze nahe hay agar aap ki muraad mubtilaate namaz hay tu book tuizihul masail aqa sistani, PG no :181, masla no : 1113 se masla no 1142 Tak mubtilaate namaz moujood hay aap us ka mutaalla karsakte hay. Mubtilaate namaz me se khuch ye hay. mubtilate namaz me se tisri cheez yeh he k insan apne hatho ko ajezi or adab ki niyyat se bandhe likin is kam ki wajah se namaz ka batil hona ahteyat ki bina par he aur agar mashrueeyyat ki niyyat se anjam de to is kam k haram hone me koi ishkal nahi he. agar koi shaks bhule se ya majboori se ya taqyye ki wajah se ya kisi aur kam masalan hath khujane aur ayse hi kisi kam k liye hath par hath rakh le to koi haraj nahi he. tamam wajib aur musthab namazo me dusrari rakaat me rukua se pahele qunut padhna musthab he (is liye is ko aam halat me bhi tark kiya ja sakta he) (tauzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1138, 1139 ) [Updated on 28-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum.. Maira sawal ye hay k agar ahle sunnat k sath bajamat namaz parhnay key ilawa koi chara na ho tou kia aisay mahol me jahan shion key khilaf nafrat pai jaati ho..wahan namaz me hath bandh key bajamat namaz parhi ja sakti hay? aur Doosri rakat me qunoot chori ja sakti hay?
Answer:
Question: salam! sir i want to ask that sometime jb main wazoo kar ke namazparhnay lagta hoon to aisay feel hota he kh jesay peeshab ke khuch drops mtlb washroom ke bahr wh aisay lagta he jesay giray hoon to un se meray kapray napak ho gyae hoon to kia is se namaz ho jati hee.?? and kia is se chutkara paya ja sakta he.......?plz explain it i am tooo worrried about it....
Answer:
Question: Sir myny apni gf se bt ki sexy r mri niyat ni thi k kch nikal roza tha mra jb pishb krny gya bt k bd to pishb k sath white sa liquid nikla tar tar sa horha tha aik to ghara sa hta hy aik liquid sa aik wo hta hy jo hand practice se niklta hy aik ye hta hy to kya isky niklny se roza tpt jaega sir r gusal wajib hwi?
Answer:
Question: Agr namaz mein gas nikl jaye tw wazu tw tootta hai lekin kia agr uske bad wazu na kiya jaye or namaz parhli jaye tow kia ham Islam se kharij hojate hain ? .. or aik or question yeh hai keh agr namaz mein gas nai blke uski thori si jo gas ki feel jo awaz k bubble wali awaz ke sath ati hai to kia wazu toot jata hai ?
Answer:
Question: mera aik or sawal yeh hai ke namaz mein agr gas nikal jaye tow namaz toot jati hai lekin agar gas nikal jaye or wazu na kia jaye or namaz parhli jaye tw kia Islam se kharij hojatey hain ? Wese meri gas nai nikli thi sirf woh jo stool ane par bubble wali feeling hoti hai na
Answer:
Question: Namaz k mubtilat jo bte jaty hain.. main w Woh kia hain ? Kia hum sajdagah ise thori c nazar hatt jane pr b namaz khrb ho jati hai? Aksar is trha hota hai.. k kisi aspas hrkt hone pe khud ko rokne k bawajud yaha waha nazar pr jati hai.. namaz batil ho jati hai?
Answer:
Question: *السَّلاَمُ عَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ اللّهِ وَبَرَكَاتُه* Kia loohy peetal tanbe wagarah ky hath ya pair main kara pehanna jaiz hai mard k leye? Aur ye pehan ker namaz perhain to ho jaye gi ya namaz batil hai ? Aur ager Chandi ka kara ho to jaiz hai hath main pehanna?
Answer: