Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Masjid ki tamer aur murammat krna kaisa hai? W salam

Answer: Masjid ka tamer krna aur aisi masjid ki murammat krna jo toot phot gae ho, mustahab hai aur agar masjid is qadar toot phot gae ho k is ki murammat krna mumkin na ho to osay gira kr dubara tamer kia ja sakta hai bal k agar masjid tooti phooti na ho tb bhi osay logo ki zaroorat ki khatir gira kr bara kia ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 898)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5560
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: NMAZME AMIN BOLNA SUNNAT HE AGAR HE TO US HDESH KO BTAYE ME BHO T CONFUSH HU

Answer: Mubtilaat e namaz mai sai aik ye hai k al hamd parhnay k bad aameen kehay. Yani Surah e al hamd k bad Aameen kehnay sai namaz batil ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1117)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5893
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum. In the time of offering salat in jamat and phone ring at that time what should we do. Can we off ring with hand.

Answer: wssalam o alykum, if the form of salaat does not change because of having silent the ring so it is permisible to off the ring, except the salaat will be batil. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , mubtilaat e namaaz # 9th condition , pg # 185 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o Alikum !! agar aurat nay ballo ka joraa bnaya hoo means akhtay kar kay ball bandhay hooo too namaz jiaz hay...

Answer: Is sai namaz batil nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1113)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6481
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki halat main agar ehtlam ho jay tu ghusal kaisay kia jay . Because ghusal k liyeh kuli aur gharghray zaroori hota hay aur gharghray krnay se roZa toot jata hay . Plz tafseel k saath jawab dain ALLAH apko jaza e khair ata farmaye.

Answer: Ghusl e janabat k mustahabat mai sai hai k 3 bar qulli karnain aur 3 bar naak mai pani dalnain albetta wajib nahi hai aur agar kisi shakhs ko maloom ho k kulli karnay sai be-ikhtiar ya bhool janay ki wajah sai pani halaq mai chala jae ga to zaroori hai k kulli na kary. (Ref : Ayatullah sistani Tehreerul wasila part # 1, pg # 228 & Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1662)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6484
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir please tell me wajibat-e-namaz ...

Answer: Namaz k wajibat 11 hain: 1)niyat 2)takbeeratul Ehraam yani namaz ki ibteda me Allaho akbar kehna 3)Qiyam 4)Qaraa,at 5)zikr 6)ruku 7)sujood 8) tashahhud 9)salam 10)tarteeb 11)mawalat yani namaz k af,aal pay dar pay baja lana(one by one). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # Before 929)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6602
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia namaz main haath bandnay walay ki namaz ho jaye gi

Answer: Ager haath baandna is ALLAH TAALA ke hozoor adab ki niyat se ho to ehtiyaat wajib ki bina per is ki namaaz batil hai, or ager is niyat se ho ke ye ALLAH TAALA ka hokum hai to hath ka band na haraam hai, or ager Is ke ilawa kisi or waja se ho masalan taqye, majbori, bhoolne, khujane wagera ki waja se ho to is se namaaz main koi farq nahi pharta.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1117 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hm shia haat khol k quen namaz pharty han...plz is b bary mein kio ethentic daleel dy..

Answer: Ahle sunnat ki mustanad tareen kitab me hai. moujood hai k rasool akram namaaz hath khool kar perhte the. (sahe bukhari jild 1, pg: 385) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7100
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mein pehl karna kesa hai agar koi betha hai to kiya wo pedal chalte admi ko salam mein pehl kar sakta hai

Answer: Salaam karna mustahab hai aur is amar(kaam) ki bohot taaqeed ki gaye hai k sawaar pedal ko aur khara huwa shaks bethay huwe ko aur chota, baray ko salaam karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #1135)(Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 7376
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalan o alaikum janab mera sawal hai ki khana khate waqt salam ka jawab de sakte hai aur namaz padhte huwe bhi salam ka jawab de sakte hai in sawalon ke jawab baray meharbani de diye shukriya !

Answer: Zarori hai k insaan chahay namaz ki halat me ho ya nah ho salam ka jawab fouran de. Laikin zarori hay k jawab salam ki manind ho yani zarori hay k asal salam per izafa nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1124- 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!