Question: Namaz me apny penis ko hath laga sakty hai jbke uljhan ho rahi ho?
Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1144). Update on dated 30-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sardion main namaz k doran chadr pehn k hath khan bandin zarori han chadr k andr bandh sakty hain k nai
Answer: Note:Is website par fiqh e jaffaria k mutabiq jawaab die jaatey hai. Agar koi insaan apney haathon ko adab or aajizi ki niyat sai baandhe tu us ki namaz ahtiyaat e wajib ki bina par baatil hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#1113 point 3). Update on dated 04-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alaikum Me pouchna chahti thi k Kuch log kehte hai k aurat balon me juda bana k namaz nhi phar sakti Plzz answer zarur dena
Answer: Ye amal namaz k mubtilaat ya makhrohaat main se nahi hay.(Ref:Ayatullah sistani, Urwatul wusqa,Part#2, pg#195-207, 208-209). [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum mera sawal Ye hai k kiYa faraz namaz k sajde mein dua mang sakte hain agr agr han tou wo lazim Arabic mein mangi hai Ya jo madri zuban hai us mein.?
Answer: Namaz me kisi jagah per bhi quran parhnay aur dua karne me koi haraj nahi kisi bhi zaban may dua mang saktay hain lakin ehtiyaat mustahb ye hay k arbi kay alawa may nah ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1122) [Updated on 07-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Can I say shahadat e salisa in prayer. Please advise. Why we say it in iqamat only.
Answer: wsalam. Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai parhna jaaiz nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/). Note: namaz main quran, zikr e ilahi or dua k alawa kisi qisim ka izafay ki ijazat shariat ne nahi di, laikin azan o iqamat main kalam karne se azan o iqamat batil nahi hoti. [Updated on 30-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa! Sir aik sawal tha k chars(hashish) peene ke baad banda kab tak namaz nhe parh skta I mean kitny ghanty tak nasha rehta hai?
Answer: 1-Har wo cheez jo mukammal ya juzvi taur per nasha aawer ho, chahe solid ho ya liquid ye sab haram hain. (Ref: Ayatullah Sistani, Jadeed fiqhi masael, Edition #5, Mafhoom e maslah #166). 2-Nashe ki halat main namaz nahi ho sakti. lehaza nasha utarne k baads hi namaz perhi jaa sakti hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #322). [Updated on 17-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Agr namaz k doraan khane k zaraat mou mn ajye to namaz again parni hu gi.
Answer: Agar koi shakhs namaz ke doran koi aisi ghiza nighal lay jo is ke munh(mouth) ya danton(teeth) ke rekhon men reh gayei ho to us ki namaz batil nahin hoti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1142). (Note: Jee nahin, Dobara namaz parhne ki zaroorat nahin hai. Q ke is tarah ke zarrat ko nighalne se namaz batil nahin hoti ). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi ne apni ghalat fehmi se imam ko awaz de di ke namaz tor de. To imam sahib ko namaz torne per aur sab namazio ko kya kaffara dena hoga?
Answer: Ikhtiari halat mai wajib namaz ka torna ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin hai lekin is se koi kaffara wajib nahin hota sewaye ye ke us namaz ko dobara parha jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1146). [Updated on 31-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nmaz k duran zamai aye tw hath rakh skty
Answer: Namaz ke dauran hathon ko harkat di jasakti hai, lehaza is tarah ka mamala paish aajaye to munh pe hath rakh sakte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sisitani(d.b), edition #42, masalah #954). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kea Namaz k doran bchey ka jhula jhula saktey hein
Answer: Namaz ko baatil karne waali cheezon mein se hai ke koi aisa kaam kiya jaye jis se namaz ki shakl baaqi na rahe. Is bina par Agar jhoola jhulane ko urf e aam me ye samjha jaye ke namaz ki shakal kharab nahin hui or namaz ke afaal or azkaar ko sahi taur par baja laa rahe hain to phir jhoola jhula sakte hain lekin is ke baraks agar urf e aam ye samjha jaye ke ye to namaz nahin ho rahi balke namaz ki shakal hi kharab ho gayei hai to is tarah ka amal anjam nahin de sakte. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, page #185, befor maslah #1139). [Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]