Question: salam. haram cheez se aftaar krne pe kaffara hota he k nai?
Answer: w.s. agar roze k darmiyan haram cheez istemal kar ke roze ko toda gaya he to zaroori he k ek ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaye he do mahine roze rakhe ya 60 faqiro ko pet bhar k khana khilaye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1632 & 1637)
Question: Agar jan bojh kar roza toda gia to os ka kaffara kia hota hai. Many thanks.
Answer: Agar koe shakhs ramzan k roze ko khana(food), peenay (drink),jima(hambistari), istimna, ya jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 2) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar roza kisi waja se batil ho jaye to os ka kaya kufara ha aur kitna kam se kam kufara aada kerna ho ga
Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. 2) Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630 , 1632).
Question: Kia main 60 Miskeeno ko Khana kay bajai is kay badlay paisay Sailab Zadgan ki madad kay liay dai sakta hon.
Answer: zurari he ke khana (food) hi dia jaay aur qeemat ka ada karna kafi nahi ho ga. Haan, kisi aisa ko qeemet ada kerna jaiz he jo qaabil e aytimaad ho aur usay vakeel banaya jaay k wo khana khareed kar faqeer ko day de. .(ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part roza , ques # 113 , pg # 59 Aytullah Seestani )
Question: mia biwi kai apsi taluq sai agar roza toot jai tu us ka kya kufara hoo gah ? main ap kai jawab ki mutazir hoon sukriya
Answer: 2 mahinoo ke musalsal roze rakhen ya 60 faqeroo ko pait bhar kar khana khilaae ya taqriban 750 gm khana 60 faqiroo main se her ik ko de. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1632 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: rozy ki halat main biwi kay sath humbister hona kya yeh gunah hai ager hai to ec ka kafarah kya hai plz mujay proper betainy ?
Answer: 1) Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553) 2)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima karnay ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koe mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1630) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kya ramadan me apne bewi ke saath intercourse karna jaiz hai . Or agar koi karta hai to kitna gunah hai .
Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker biwi sai intercourse ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar manine janbhojh kar kisi ke sath roze ki halat main sex kiya to uska kaffara ya phir uska qaza kya hain
Answer: Agar koe shaks ramzan k rozay ko jaanboojh ker or ikhtiyaar k saath jima(intercourse)k zerye se batil karay tu os ko os rozay ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko ¾ kilo ghandum ya jow ya roti wagaira day . (Ref : Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani d.b. masla #1632,1630 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: can i pay my kafarah through any organisation, person who feeds poor people ?
Answer: Is sorat main jaiz hoga jab is baat ka bharosa ho k wo kaffara mustahaqeen(yani ghareeb momin jo k ehtiyaat e lazim ki bina per bay-namazi, sharabi or khul ker zahir bazahir gunah kernay wala nah ho) tak pohncha dain gay.(Ref: A.Sistani d.b, Mujtahid se pochay gay sawalaat,pg#60). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia 60 logo ki aftari karwa dainay say kafara ho skta hy ya maskeen logo ko he khana khilana hay aftari ka karwana zarori nahi ????
Answer: Ghareeb logo ko hi ko khelana zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1632 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).