Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8686
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meray dost ahmed nai jaan poch kia roza tod dia hai tu wo ab boht afsoos kar raha hai tu is ka koi tod hai janab apkay paas

Answer: Maah e Ramzan k roze toorhne k kaffay k taur per insan ko chahiay k aik ghulam azaad kare ya 2 mahine k roze rakhe ya 60 faqiroon ko pait bhar ker khana khilaey ya har faqeer ko aik mud(taqiban 14 chitank) khana khilaey. Or roze ki qaza bhi anjaam de. (Ref:Ayat Ullah khoe (r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #1669). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8798
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere dost ke waleed sahib zaiyada kamzoor our budha hai our rozy nahi rakh sakta app se swal hai agarr wo rozy nahi raky to uss ka kya kaffara adaa karna hoga

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8812
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: overage aur suger ka patient hona ki waja sa ager koi roza nhe rakh skta to wo fiya greeb syed ko da skta ha

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8813
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr koi overage aur suger ka patient hona ki waja sa roza nhe rkh skta to us ka fidya greeb syed ko da skta ha

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8847
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: overage aur suger ka patient hona ki waja sa ager koi roza nhe rakh skta to wo fiya greeb syed ko da skta ha

Answer: Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shaded takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9452
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam kia 60 miskeno ko ek time per kahana khilana chayae ya adha 30 ko khilya or 30 ko baad main

Answer: 60 meeskino ko aik sath khilana zarori nahi hay aap k liay jaiz hay k alg alg time pay khilaen lekin ehtiyaat ki bina pr 60 alg alg log hoon yani aik miskeen ko 2 martaba khilana kafi nahi hay. (Ref: Minhajus saliheen, part#1, maslah#1017). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9458
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam . Kaffaray kay rozay rakhnay ka koi khaas tareeka hai.

Answer: . Agar aap ki murad ramzan k kaffary walay roze hain to un men pehla maheena or agly maheenay k aik din tak musalsal rozay rakhen , or baaki maheena bhi ihtiyaat ki bina per, pe dar pa baja laen or agar koi uzur aajey jesy haiz to uzur k door honay k baad baki rozy poray karain . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1633 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10519
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza torey ka kaffara kia gai

Answer: Roze ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bhi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko kilo ghandum ya jow ya roti wagaira day. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail 31st edition maslah 1632 1630). [Updated on 24-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10601
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamualaikum sir. Sir Apni B.V ky sath 2 dafa galti say rozy ky sath sex kia h..irada tha bus control nahe ho pea aur ho gia..touba bhe kia h

Answer: Ramzan k Rozay ko jaan bhooj kar Jima karnay ki wajah se Roza batil ho jata hai our is ki kaza kay ilawa kaffara bhi wajib hai.)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah #1630) [Updated on 11-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12961
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr Ramzan ky rozy bad main rakhain jain to us ki niyat kaisy krain gn???

Answer: bus irada hona kaafi hai k ramzan k rozay ki qaza kar raha hoon or koon se saal ki karraha ho .agar kise shaks per chand saalo ke razmzaan ke rozo ki qaza wajib ho or wo roze ki niyat karte waqt moaiyan na kare ke kon se ramzaan ke roze ki qaza karraha hay tu is ka shumaar aakhere ramzan kiqaza me nahe hoga or natejatan taakheer ka kaffara is per se khatam nahe hoga (Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1531,1670). [Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!