Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17293
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya fitrana rozo ka kaffara hota h? Mere teacher ne kaha tha ke fitrana rozy ka kaffara hota h jo hum se galitiya hui hn ramadan me.

Answer: 1: Aisa nahin hai, balke fitra (fitraana) maali wajibaat mein se aik hai jisay eid-ul-fittar ke din ada kiya jata hai. fitra ki miqdaar har shakhs ke liye teen kilo hai jisay gandum, jao, khurma, chawal aur kishmish jaisay roz marra ghiza se nikala jata hai. jabkay kaffara shariat ki roo se aik qisam ki saza hai jo baaz haraam kamon ke irtikaab ya wajibaat ke tark karne par us shakhs par laago hota hai. maslan kisi ghulam ko azad karna, ya 60 faqeeron ko khana khilana ya unhen libaas pehnana, ya 60 din roza rakhna (jis ke 31 rozon ko baghair kisi faaslay ke rakhna wajib hai). baaz woh umoor jin ki anjaam dahi kaffara ka moojib bantaa hai woh yeh hain: maslan Maah e Ramazaan ke rozon ko jaan boojh kar baatil karna, ahad, nazar aur qasam ki mukhalfat karna aur ehraam ke baaz muharmat. 2: Zakat e fitra ki adaaigi Maah e Mubarak e Ramazaan ke rozon ki qubooliyat baais banti hai (na ke us ka kaffara hai). aur hadees me naqal hua hai ke "Zakat e fitra, rozay ko kaamil karta hai, jis tarah Paighambar(s.a.w.w) par durood, namaz ko kaamil karta hai". (Ref: Link, https://ur.wikishia.net/view/%D9%81%D8%B7%D8%B1%DB%81 + Link, https://ur.wikishia.net/view/%DA%A9%D9%81%D8%A7%D8%B1%DB%81 + Ahkaam e Khums o Fitra, pg #161). [Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17294
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kafara ksi imam bargah mein as a iftari diya ja sakta hai ?

Answer: Kaffara, fuqra o misakeen (yani wo afraad jo shrhan gareeb hain ) ko dena hota hai wo bhi sharait ke sath, lekin iftaari ke taur par imam barghah main har (Ameer, ghareeb, sharait hon ya na hon) ko khana khilne se kaffara ada nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1632,1657). [Updated on 02-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: رمضان میں مجبوری میں کسی کو منی دینا جائز ھے کے نہی Reply

Answer: Agar mani dene se muraad ye hai ke Istimna (mani nikalna / masturbation) kar ke kisi ko mani dena hai to ye Haram or Gunahaan e kabeera me se hai aur Istimna karne se roza bhi baatil ho jaye ga, aur ramzan ke baad is ki qaza karna zaroori hogi aur is ke sath sath kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1569,1625,1630). [Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Raat ko hand practice karo or suba roza rak lo baghair kusal Kay tu ya sahi hai

Answer: 1: Istimna (mani nikalna) or khud lazzati (hand practice/masturbation) karna ye Haram or Ghunahaan e kabeera me se hai chahe hath ke zariye ho ya film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. aur baaz riwayaat me ise zina se bhi barah ghunah shumaar kiya gaya hai Q ke ye fitri amal nahin hai. 2: Maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna laazmi or zaroori hai Q ke maah e ramazan ya main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1591,1625,1630). [Updated on 17-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Rozay ki halat mein biwi k sath romance karen or khadsha hojaye mani khaarij honey ka, tou iska kaffara kia hai? agr 60 miskeenon ko khaana khilaane ki iste'taat na ho tou fidya dey sakty hain?

Answer: 1: Rozay ki halat main makhrooh(acha nahe ) hai ke insaan mani nikaalne ke iraade ke baghair insaan apni biwi ka bosa le ya koi shehwat angaiz karam kare. 2: Jo shakhs mani nikaalne ke iraade se cherh chaarh aur dil lagi kare lekin uski mani na nikle to agar dobara roze ki niyyat na kare to us ka roza baatil hai aur agar dobara roze ki niyyat kar lat to ehteyaat-e-laazim ki bina par zaroori hai ke roze ko tamaam kare aur ramzan ke baad is ki qaza bhi baja laaye. 3: Agar rozedaar mani nikaalne ke iraade ke baghair misaal ke taur par apni biwi se cherh chaarh kare aur hasi mazaak kare aur use itmenaan ho ke mani khaarij nahin hogi to agarche ittefaqan mani khaarij ho jaaye, to us ka roza sahi hai. Albatta agar use itmenaan na ho to is soorat mein jab mani khaarij hogi to us ka roza baatil ho jaaye ga. 4: Agar koi shakhs Ramazan ke roze ko khaane, peene, Jimaa, istimna ya janabat pe baaqi rehne ki wajah se baatil kare jabke jabr aur nachaari ki bina par nahin balke jaan bhooj kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to us par qaza ke alawa kaffara bhi wajib hoga. 5: Ramazan ka roza torne ke kaffare ke taur par do mahine musalsal rozay rakhne hote hain ya 60 faqeeron ko pait bhar ke khaana khilaana hota ya phor har faqeer ko aik mud yani 3/4 kilo taaam yani gandum ya jao ya roti waghaira dena hota or agar ye afaal anjaam dena is ke lie mumkin na ho tu baqadre imkaan sadaqa dena zarori hay or agar ye mumkin na ho tu tuba o istegfaar kare or ehteyaat wajib ye hay ke jis waqt kaffara dene ke qabil hojaae kaffara de. Note: Agar 60 faqeeron ko khaana khilaane ya har aik faqeer aik mud yani 4/3 kilo taaam dene ki istetaat na ho to is soorat ne 2 mahine musalsal rozay rakhne hon gay lekin fidya nahin day sakte. Aur 2 mahine rozay musalsal is tarah rakhne hain ke zaroori hai ke aik poora mahina aur us se agle mahina ke aik din tak musalsal roze rakhne hai aur agar baaqi bache hue rozay musalsal na bhi rakhe jayen to koi haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #47, maslah #1628,1574,1575,1631,1632,). [Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17352
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 2017 ky Rozy kakaffara 2023 ky rate ky hisab sy dengy ya phir 2017 ky?

Answer: Rozay ke kaffare aur fidiye me qeemat ada karna kaafi nahin hai balke har faqeer ko 750 giram khana dena zaroori hai aur ye khana aata, ghehon, kishmish, roti ya in jesi ghizoon ki soorat ma ho. Note: Jab har faqeer ko khana den gay to zaaher si baat hai ke dukandaar aap ko maujooda qeemat ke hissab se wo cheez dega na ke 2017 ke hisaab se. (Ref: Mujtahid se pooche gaye sawalat part #roza, sawal #104,110,111,112). [Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17712
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia kisi trust(60 miskenoo ko khana) ky through roza ka kafara da sakhta hai

Answer: Note : jis idare ya trust per aap ko yaqeen hay ke wo aap ka fidiya ya kaffara sharhe faqeer tak poucha de ga us ke zarie se ye kaam karwaya jasakta hay or hamaray idare quran o itrat me ye intezaam moujood hay . is number per rabta karan 021-32226948 or 021-32237207 [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19439
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr ghusal e haiz din mn 10 bje kia jaye to roza rkh skte hain ya nhi?

Answer: Agar yaqeen ho jaye ke Azaan e subh pehlay haiz se paak ho gayei thein to Roza rakhne ke hawale se sharaei maslah ye hai Azaan e subh se pehle ghusl karna zaroori hai lehaza ghusl kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye roza rakhne ke liye Azaan e subh se pehle ghusl karna zaroori hai Aur agar jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum bhi na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare. Lekin agar Azaan e subh ke baad haiz se paak huei thein to roza nahin rakh saktein aur Ramazan ke baad is ki qaza karna zaroori hai. Agar koi aurat jaan bouge waqt namaz fajar tak gusal haiz na kare tu is per ehtiyat wajib ki qaza bhe hay or kaffara bhe hay . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608,1612, tauzihul masail jame jild no :2, masla 156). [Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 20157
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam.i hope you are busy in karezainbi.i ask 2question. plz rply soon,1)i receved ZAKAT IN RS form .i want a permiton to use or spend in MADRASA,to give knowledge and spend in hostel life on tullab(students)2)its must KAFAR-E-ROZA used in food of begger(faqeer)??or we used in MADRASA???WE WANT USED IN MADRASA,S,NEEDS???plz. guide us .soon.we in trouble.w/salam.iltemasedua

Answer:

Id: 21683
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam-o-alikum aik kam mein ap ki madad chaiyai, ye bataein k agar kisi nein waday ka kaffara ada karna hai es tarhan se k wo (60 faqiroon) ko ya (120 Faqiroon) ko khana khilana chahay toa kia ap ki liye ye mumkin hai k agar apko paisey bhej diay jaein jitney bantay hein aur ap ye kam pura kar dein,(kaffara ada karney waley ki taraf se) ALLAH ap ko es ki jaza de ga ameen. agar mumkin hai toa bata dein aur sath ye bhee k 60 faqiroon ko khana khilaney k liye kitnay paisey chaiyai? aur ese tarhan 120 faqiroon k liye bhee bata dein . buhat meharbani ho ge. jawab ka entezar rahay ga. shukria es ka jawab sirf email per he dein.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!