Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14324
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya roze ke kaffare ka sara amount ek hi gareeb ko de sakte h ?

Answer: Rozay ke kaffaray men khana hi dena zaroori hai maslan ghehon, aata, khazoor waghaira aur qimat ka ada karna kaafi nahin hai. Han kisi aise shaks (ya idaare) ko qimat ada karna jaiz hai jo qaable ahtemaad ho aur ise wakeel banaya jaye ke wo khana khareed kar faqeer ko de de.(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal #112,113, pg #59). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14499
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ek roz ka kaffara 60 roza hota hai agar 10 roza lagataar rakhe or baqi roze k badle 50 faqeer ko khana kilaye to kya kaffara sahi hai??

Answer: Jee, nahi ye amal durust nahi hay. 1) Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko khanay, peenay, jima, Istamna ya azan e fajr tak janabat par baqi rehnay ki waja say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga. 2). Aur jo koi kisi iskay ilawa kisi aur mubtilat-e-roza say batil karay to ehtiat-e-mustahab hai kay qaza kay ilawa kaffara de. Kaffara ye he ke in 2 men se koi ek kam anjam de: ya tou 2 Maheenay Rozay rakhay ya phir 60 sharae faqeero ko pait bar kar khana khelae ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera de. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1553,1630-1633)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) [Updated on 12-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14543
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine apne school days me roze nhi rkkhe aur mujhe kaffare ke baare me bhi ilm nahi tha. To mujhe kya karna hoga?

Answer: 1) maah e ramzan k roze torhna ya roze nah rakhna gunah hay or is ki taubah wajib hay. Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko khanay, peenay, jima, Istamna ya azan e fajr tak janabat par baqi rehnay ki waja say batil karay to is par qaza(repeat) k ilawa kaffara bhi wajib hoga. 2). Aur jo koi kisi iskay ilawa kisi aur mubtilat-e-roza say batil karay to ehtiat-e-mustahab hai kay qaza kay ilawa kaffara de. Kaffara ye he ke in 2 men se koi ek kam anjam de: ya tou 2 Maheenay Rozay rakhay ya phir 60 sharae faqeero ko pait bar kar khana khelae ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera de. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1553,1630-1633)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) [Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14932
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Alamo Alaikum. Ma roza rakhna chah rha tha or ma uth nahi paya suba azaan sy pahly or phr nashta kr k niyat kr li rozy ki k ma Allah ki raza k liye din ma kuch nahi khao ga . kya aisy meri niyat Qubool ho ge Allah pak pass.

Answer: Agar aap azan fajr (yani namaz e fajr) ke baad nashta na karte or roze ki niyat kar lete to aap ka roza sahi ho jata lekin chunke aap ne nashta kar liya hai or nashta karna roze ko baatil karne wali cheezon men se aik hai to aap ka ye roza sahi shumar nahin hai. or aap per is roze ki qaza wajib hay or 60 shia gharibo ko kaffare k taur per khana khilana wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1534,1546). [Updated on 06-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17046
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza na rkhne ka kaffara maa apni ghareeb shadi shuda beti ko desakti hai

Answer: Nahin day sakti Q ke beti wajib e nafaqa me aati hai aur wajib e nafaqa afraad (jese baap, maan, aulad) ko kaffara nahin diya jaa sakta. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #1148). [Updated on 31-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17083
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy ka fadia wk e insan ko dia jaey ya mujhtaluf logo ko???

Answer: Jis shakhs ke liye har rozay ke badlay aik mud taam (kaffaray e takheer ya fidiye ke taur par) faqeer ko dena zaroori ho to wo chand din ka kaffaray e takheer ya fidiya aik faqeer ko de sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #207). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17112
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy ka fidya kesy dita jy jo mother feed krati hain wo rozoo ka fidia kesy dy

Answer: Fidya aise shakhs ko diya jaye jis men darj zel sharaait maujood hon: 1: Faqeer ho. aur faqeer woh hai ke jis ke paas khud apne aur apne ehal-o-eyal ke salana akhraajaat apni shaan ke mutabiq nah hon aur us ka bandobast karne mein kamzor aur natwaan ho aur Miskeen woh shakhs hai jo apni zindagi faqeer se ziyada sakht guzarta ho aur us ki zindagi guzaarne ke andaaz ki haalat na munasib tar ho jaise ye ke woh apne rozana ki zaroorat ke silsilay ka nafqa bhi nah rakhta ho. 2: Ehtiyat e wajib ki bina par bara imami shia ho. 3: Fidya kisi aisay shakhs ko nahin diya jaa sakta jis ka nafaqa khud Fidya dainay walay par wajib ho (maslan walidain, aulaad), lekin dosray mustahiq rishta daaron ko dena jaaiz hai. balkay afzal hai. 4: Fidya ki raqam ko haraam kaam mein kharch nah karta ho aur ehtiyat e wajib ki bina par us ko Fidya dena ghunah mein madad aur bure kaamon me shauq dilana shumaar nah ho. 5: Ehtiyat e wajib ki bina par sharaabi aur be-namazi aur khulam khula ghunah karne wala nah ho. (Note: bachay ko doodh pilane waali aurat ke liye sharaei maslah). Woh aurat jo bachay ko doodh pilate hai aur is ka doodh kam ho agar roza is ke ya is ke bachay ke liye zarrar rakhta ho to is par roza wajib nahin hai, aur har din ke liye aik mud taam (ghehon, aatta, ya chawal) faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye, lekin ehtiyat e wajib ki bina par yeh hukum is maurid mein hai ke bacha ko doodh pilana sirf isi tareeqay par munhasir ho, lekin agar koi dosra tareeqa mumkin ho. maslan dabbay ke doodh se istifada karen, to ehtiyat e wajib ki bina par roza rakhna lazim hai. lekin agar maloom ho ke toolani muddat tak bachay ko dabbay ka doodh pilana is ke liye zarar ka baais hai maslan woh bacha jis ke doodh peenay ke ibtidayei ayyaam hon aur dabbay ka doodh pilana baais bane ke bacha mah Ramazan ke baad maan ka doodh nahin piye ga aur yeh is ke liye zarar rakhta ho to is soorat mein bhi guzashta soorat ki tarah roza wajib nahin hai balkay har din ke liye aik mud taam (gheehon, aatta, ya chawal) faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #807,1147,1148,1150,1151. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1700). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17134
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can husband give fidya of his wife or wife herself pay fidya for herself?

Answer: Fidya kisi aisay shakhs ko nahin diya jaa sakta jis ka nafaqa khud Fidya dainay walay par wajib ho (maslan walidain, aulaad and wife), lekin dosray mustahiq rishta daaron ko dena jaaiz hai, balkay afzal hai. Fidya khud apne ap ko bhi nhi dia jaskta (Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #807,1147,1148,1150,1151. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1700). [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17197
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hi, what is kaffara for roza in cash as I live in Germany

Answer: Rozay ke kaffare me qeemat ada karna kaafi nahin hai balke zaroori hai ke 60 sharaei faqeeron ko pet bhar ka khana khilayen, ya har faqeer ko 750 giram gandum, ata, roti, khajoor ya is jesi ghiza dain. Note .hah ye hosakta hai ke jis per aap ko yaqeen ho ke wo aap ki traf se mustahiqqeen tak sahe tarah se kaffara poucha de tu us ko rakam de ke taake wo ya aata khareed per mustahiqqeen tak poucha de .is bhe aata or is jise cheez he pouchana zarori hay warna zimmedari ada nahe hoghe . (Ref: Mujtahid se pooche gaye sawalat part #roza, sawal #110. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1632). [Updated on 14-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17209
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum. mujhe ye maloom karna hai k kuch sal tak rozy ka "Mud" cash ki sorat me b diye ja sakty thay. kia ab bhi cash ki soorat me de sakty hain? ya jins ki surat me hee dena hai? Taqleed Agha Sistani

Answer: Kaffare aur fidiye me qeemat ada karna kaafi nahin hai balke khana dena zaroori hai. Note: Han! ye ho sakta hai ke jis par aap ko yaqeen ho ke wo aap ki taraf se mustahiqeen tak sahi tarah se kaffara puhncha day ga to us ko raqam day sakte hain taake wo ya aata khareed par mustahiqeen tak puhncha day. Is me bhi aata or is jesi cheez hi puhnchana zaroori hai warna zimmedari ada nahin hogi. (Ref: Mujtahid se pooche gaye sawalat part #roza, sawal #104,110,111,112,113). [Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!