Question: Roza torny ka khufara Kia hoga
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agar koe shaks jaan bouch kar ramzan k rozay ko khanay, peenay, jima, istiman ya janabat per baqi rehnay ki wajah se batil karay os per rozay ki qaza ka alawa kaffaray k taur per aik mahena aik din musalsal roze rakhna ya 60 sherhefaqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faer ko 750 gram gandum , roti waghaira daina wajib hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam mufti sb, Roze main jama karny ka kaffara mian biwi per alag alag hoga ya sirf mian per. aur is ka kaffara kia hai.
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agar shoar roze ki halat me apni apni rozedar biwi se jima kare to agar is ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kafara aur ehteyat ki bina per zarori hai k apni biwi k roze ka bhi kafara day aur agar biwi jima per razi ho to har aik per aik aik kafara wajib ho jata hai. Agar koe aurat apne roze daar shoar ko jima karne per majboor kare to is per shoar k roze ka kafara wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1649,1650 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AOA.jo banda roza na rakh sakta ho bemari ki waja say to kiya kerna chaheay.main es mislay ke waja say boht upset houn.
Answer: Jis shaks k lye roza rakhna sadeed takleef ka bais ho is per roza rakhna wajib nahe hai laikin zarori hai khar roze k badle 750 gram gandom ya roti waghera faqeer Agar koi bemari ki waja se ramzaan k roze na rakhe aur us ki bemari aainda ramzaan tak lambi ho jaay to jo roze us ne na rakhe hoon un ki qaza wajib nahi hai aur zarori hai k har roze k leye 750 gram gandom ya roti waghera faqeer de. Agar insaan ka maraz chand saal lamba ho jaay to zarori hai k tandorus ho jane k baad aakhari ramzaan k chutey hoe rozo ki qaza baja lahe aur is se phele saloo k mahino k har din k leye750 gram gandom ya roti waghera faqeer de . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1696, 1674,1678 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mera swal he k agar rozy dar jan bujh k mani kharij kry to os ka roza toot jata he kia??? or agar ha to kfara kia he g.
Answer: Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker istemna ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Ramzan ka roza torhne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565, 1630-33)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kiya Aap Log Rozay Ka Kaffara Lete Hai?? Hum apko paisay dede to aap unhe 60 12 imami faqeer ko dedenge??
Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar roza jaan boojh ke tora jaae toh uska sadqaa kese kia jaye??
Answer: Sadqa nahi Kuffara wajib hai, or wo is terhan ke ya to musalsal do mahine roze rakhain is tarah k ek maah or ek din k rozr ek sath musalsal rakhna wajib hen baqi roze k drmiyan agr musalsal nab hi rakhe to koi harj nahi hai ya phir 60 miskenoo ko pait bhar kar khana khilaain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # 1007 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: roza todny py kea kaffara ada krna jaez h?
Answer: 60 miskinoo ko pait bhar kar khana khelaae ya 2 mahine ke musalsal roze rakhna (jin men se kam se kam ek mahina or ek din mila kr rakhna zaruri hen).(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah # 1007 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: roze me mustrbation karne par agar kaffara dena chahe agar 60 gharibo ko khana khilana mumkin na ho to sadke ke taur par kya ada kar sakte hai?
Answer: To 2 mahino ke roze rakhen ap k liye zaruri hai k ek pura mahina or us se agle mahine k ek din tak musalsal roze rakhe or baqi roze musalsal na bhi rakhe to koi harj nahi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part #1st , Maslah # 1007 , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa frmaane wala hai).
Question: Salam. kya mah e ramzan k qaza rozay ka kaffaray ki jaga mujtahid k wakeel ko paisay da saktay hain ghareebon ko khana khilanay k liyay? rehbar mauzzam k mutabiq aik rozay aik ghareeb ya miskeen ko khana khilanay ka kya kharcha ha? Jazakallah
Answer: Roze k kaffaare me khana he dena zarori hai maslan ghehon, aata, kazoor waghaira aur qimat ka ada karna kaafi nahe hai . ha kise aise shaks ( ya idaare ) ko qimat ada karna jaiz hai jo qaable ahtemaad ho aur ise wakeel banaya jaye k wo khana khareed kar faqeer ko de de.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal #112, 113 pg #59) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam Agha mera sawal ye hai k mai ne 2 sal se roze nai rakhen pait dard ki waja se es sal meri bemari thori betr hai chon k meri haddiun mai pani nai ban raha jis waja se mai full parhez pe hn to mere leye kya hukam hai plzzz reply me me w8ing
Answer: Agr koi shakhs beemari ki waja se ramzan k roze na rakhe or uski beemari agle saal k ramzan tak lambi hojaye to jo roze us ne na rakhe hon unki qaza us pr wajib nahi hai lekin zaruri hai k har din k badle ek mudd (750 gram) fidya matlb gandum ya jao ya roti wgera faqeer ko de. Lekin agr saal k darmiyan men thik hojaen to rozon ki qaza krni paregi lekin agr thik hone k bad bhi na rakhe hatta k agla ramzan ajaye to is surat men rozon ki qaza or fidya dono wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1674-1676). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).