Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1113
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal hai ki shadi ke bad kitne din ke bad jina karna chahiae. aur phir dubara karna hai too kitne din bad karna chahiae. kya har raat karna sahi hai pls. answer me. khuda hafiz.

Answer: Agar aurat haiz aur nifaas se paak ho to os se har din humbistri ki ja sakte hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448 )..Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kaya biwi ka dhood baccha hone se pahle ya baad mei shoher ke liye jayaz hai ya nahi?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam-u-Alikum; Kia aik bar jama(intercorse) ke bad baghair wazoo aur gusal k dubara apni biwi se jama kar saktain hai?

Answer: jima (intercourse) k baad dobara jama kerna jaiz hay balkeh pehlay jima k baad baghair ghusl e janabat k dosra jima kerna makroh bhi nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 , masla # 5) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1125
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mian biwi mein humbistari karnay say pehlay ki dowa kia hai jo naik olad kay maksad say bee pari ja sakay.. plz reply me soon

Answer: Hambistari ki dua: Mustahab hay k hambistari say pehlay apna haath bivi ki paishani k baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part#3,maslah#4) .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1126
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alakum; Aayat ul Seestani jee mera sawal haikay main nay apni bivi say mahwari kay doran back muqam e pkhana say humbistari ke hai es ka koi kafara hai ager hai toe kitna hai ore kasay ada karna hai plz tell me ALLAH HAFIZ

Answer: Dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho) or razi honay ki sorat main shaded makhroh hay.aap per is amal ki wajah say koe kaffara wajib nahi hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448, & Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1136
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is husband allowed to suck Breast Milk of his wife?

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1141
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Dear Sir Please give me verdict, A person who Drink Milk of his Wife when he suck the boobs

Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1152
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bivi k saat sex karney ki dua aur tarjumey k saat

Answer: Hambistari ki dua: Mustahabb hai k hambistari say pehlay apna haath biwi ki peishani k baal (hair of forehead) par rakhay aur ye dua perhay: ﺍﻠﻠﻬﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺑﻙ ﺘﺰﻮﺠﺘﻬﺎ ﻮ ﻔﻰ ﺍﻤﺎﻨﺘﻙ ﺍﺨﺬﺘﻬﺎ ﻮ ﺑﻛﻠﻤﺎﺘﻙ ﺍﺴﺘﺤﻠﻠﺖ ﻔﺮﺠﻬﺎ ﻔﺎﻦ ﻘﻀﻴﺖ ﻠﻰ ﻔﻰ ﺮﺤﻤﻬﺎ ﺷﻴﺌﺎ ﻔﺎﺟﻌﻠﻪ ﻤﺴﻠﻤﺎ ﺴﻮﻴﺎ ﻮ ﻻﺘﺠﻌﻠﻪ ﺸﺮﻚ ﺍﻠﺸﻴﻄﺎﻦ (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa bekalematekastahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”) Tarjuma: “Yaa Allah main nay tairi kitaab k mutabiq is say nikah kia or tairi amanat mian is ko liya hay or tairay kalimaat k zariye say is ki sharam gaah ko halaal kia, pas agar tu nay is k rehem me mairay liay koe cheez ka faisla kiya hay tu is ko muslam or kaamil qarar de or is main shaitaanki ki sharkat na qarar de.” (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, maslah # 4) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mian apni wife ki azaay-e-makhsosa ko kiss kr sakta hon

Answer: mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko kiss ker saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay..Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1161
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mian apni wife ki azaay-e-makhsosa ko kiss kr sakta hon choos sakta hon

Answer: shohar bivi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain or choos saktay hain,magar is baat ka khiyaal rakha jaay k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). .Update on dated 13-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!