Question: if someone has sex before marriage and now wants to marry the same girl...is it possible?
Answer: Agar wo aurat bay shohar ho aur Iddat main na ho to aisi aurat kay saath zina karnay kay baad agar us say shadi karnay ka irada kiya hay to Aihtiyat-e-Wajib ki bina par is aurat kay tauba karnay say pehlay is say shadi nahi kar sakta.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2359. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam.. i asked u a ques regardin premarital sex.. u didnt reply..plzz reply asap. my ques was " if sum1 has sex before marriage .. if he/she is allowed to marry the same guy/girl.. in future?
Answer: Agar wo aurat bay shohar ho aur Iddat main na ho to aisi aurat kay saath zina karnay kay baad agar us say shadi karnay ka irada kiya hay to Aihtiyat-e-Wajib ki bina par is aurat kay tauba karnay say pehlay is say shadi nahi kar sakta.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2359. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: a.o.a molana shahib ager during sex husband wife kay breast ko suck keray aur aus kay moo (mouth)may milk aah jay tho kia sahi hai ya ghuna hai?as time kia kerna chahay aus ko plz reply me allah hafiz
Answer: Aihtiyat-e-wajib ki bina par doodh ka nigalna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-36 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia mard alai tanasul apni aurat ke jism ke kisi bhi hisa mai dakhil kar sakta hai?
Answer: Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho.Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam. Mera sawal ye hai k biwi agar ulti laiti ho aur is halat mein us say intercourse kia jaye to kia ye jaiz hai jab k is halat mein dakhoul us ki sharmgah mein hi ho na k peechay say. please answer as it is my third time to ask this question. Thanks.
Answer: agar jima peechay se nahi ho raha ho to jaiz hai. aur peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. REF: www.sistani.org .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya kisi ghair syed ki shadi kisi syed larki say ho sakti hay?
Answer: syedah shia aurat ka nikah ghair syed shia merd k saath hosakta hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 221). .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya kisi ghair syed larkay ki shadi kisi syed larki say ho sakti hay?
Answer: Ho sakti hay,Koi haraj nahi hay. Ref:I-07. istiftaat) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya kisi ghair syed ki shadi kisi syed larki say ho sakti hay?
Answer: Ho sakti hay,Koi haraj nahi hay. Ref:I-07. istiftaat) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya Nikah kay baad shadi ki pehli raat ko he jima karna zaroori hay ? agar bewi is kay liye kuch time mangay to kitna time day saktay hain ziada say ziada?
Answer: Aurat kay liye zaroori hay kay jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharee uzr kay baghair shohar ko hambistari say na rokay.Haan shohar ki razamandi say takheer karna jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani 2371. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: I want to ask that if we know about a person that he does not offer his prayers can we merry him and if propsole of any momin does not come what should we do?
Answer: Agar gumrahi aur inhiraaf ka darr ho to jaiz nahi hay.Ref:www.sistani.org (urdu) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).